Surah
Al-Masad (111)
Ayat 1 to 5
تَبَّتۡ يَدَآ أَبِي
لَهَبٖ وَتَبَّ ١ مَآ أَغۡنَىٰ عَنۡهُ
مَالُهُۥ وَمَا كَسَبَ ٢ سَيَصۡلَىٰ
نَارٗا ذَاتَ لَهَبٖ ٣ وَٱمۡرَأَتُهُۥ
حَمَّالَةَ ٱلۡحَطَبِ ٤ فِي جِيدِهَا حَبۡلٞ مِّن مَّسَدِۢ ٥
“Abu laheb ke donon haath
halaak ho gaye aur woh (khud) halaak ho gaya. Na uske kaam uska maal aaya aur
na jo kuchh usne kamãya. Anqareeb wo
shole wãli aag mein dãkhil hoga. Aur
uski biwi ( bhi aag mein dãkhil hogi) jo endhan
uthãne wãli hai. Uski
gardan mein mazboot bati huwi rassi hogi.”
Allah Tãla ne farmãya ke Abu laheb
halaak o barbãd huwa, shaqawat va badbakhti ne use gher liya aur woh kabhi kãmyãb nahin huwa.
Uska jama kiya huwa maal aur aulaad uske kisi kaam nahin aai aur use us azaab
se na bacha sake jo Allah Tãla ki taraf se us par naazil huwa. Woh
islaam aur paighhambar e islaam ki adãwat ki wajah se
anqareeb bhadakti aag mein dãkhil hoga aur uski biwi umme jameel jo
zabardast chughhal khor thi, logon ke darmiyãn aag lagãti phirti thi,
qayãmat ke din uski gardan mein moonjh ki rassi bandhi hogi jiske zariye se
use jahannum mein ghaseeta jãyega.
Saiyyadna Abdullah bin abbãs (Razi Allahu
anhuma) bayãn karte hai ke jab yeh ãyat naazil huwi:
وَأَنذِرۡ عَشِيرَتَكَ ٱلۡأَقۡرَبِينَ
٢١٤
[Ash-Shu'ara # 26: 214] to Rasool Allah
(ﷺ)
batha ki taraf tashreef le gaye aur pahãdi par chadh kar
pukãra : { يَا صَبَاحَاهْ}
to [is ãwãz par} aapke paas quresh jama ho gaye, to aapne farmãya: “batão agar mein tum
ko yeh khabar doon ke dushman tum par subah ke waqt ya shaam ke waqt hamla
karne wãla hai, to kya tum meri baat sach mãnoge?” Sabne jawaab
diya, jee haan! Aap ne farmãya: “suno! Mein tumhe Allah ke sakht azaab
se darãta hoon jo tumhãre saamne hai.” To Abu Laheb ne kaha, tu
tabãh ho jãye, kya isi liye tune hame jama kiya tha? To us par Allah Tãla ne yeh surat naazil
ki { Surah Al-Masad
(111)} aakhir tak muakkammal . [Bukhãri 3525, 3972]
Abu zanad (rahima Allah) bayãn karte hai ke
mujhe qabeela banu deel ke ek shakhs ne batãya, jiska naam rabiya
bin abad (Razi Allahu anhu) tha aur woh abhi musalmãn nahin hue the,
woh kehte hain ke maine Nabi kareem (ﷺ) ko zamãne jãhiliyat mein zawa
almijaz bãzãr mein dekha, aap farma rahe the {Ya ayyuhannasu! Qulu Lailah illallhu
Tuflehu} “logo! Lailaha Illallah kaho, tum falãh pa jãoge.” Log aapki
baat sunne ke liye jama ho jãte magar aap ke peechhe peechhe ek shakhs
tha, uska chehra roshan, aankhe bhengi aur sar par bãlon ki do medniya
the. Woh (aap ke bãre mein) kehta (logo! Iski baat na sunna)
yeh be deen aur kazzãb hai. Aap jahãn bhi tashreef le
jãte, woh aapke peechhe peechhe hota. Maine aap (ﷺ) ke bãre mein poochha
to logon ne mujhe Allah ke Rasool (ﷺ) ka nasab batãya aur unhone
mujhe batãya ke aap (ﷺ) ka chãcha Abu Laheb hain. [Musnad Ahmad 19028]
مَآ
أَغۡنَىٰ عَنۡهُ مَالُهُۥ وَمَا كَسَبَ
Aakhirat mein na daulat kaam aayegi aur na
jaah o hashmat, jaisa ke irshãd farmãya:
وَأَمَّا مَنۡ أُوتِيَ
كِتَٰبَهُۥ بِشِمَالِهِۦ فَيَقُولُ يَٰلَيۡتَنِي لَمۡ أُوتَ كِتَٰبِيَهۡ ٢٥ وَلَمۡ
أَدۡرِ مَا حِسَابِيَهۡ ٢٦ يَٰلَيۡتَهَا
كَانَتِ ٱلۡقَاضِيَةَ ٢٧ مَآ أَغۡنَىٰ
عَنِّي مَالِيَهۡۜ ٢٨ هَلَكَ عَنِّي
سُلۡطَٰنِيَهۡ ٢٩
“aur lekin jise uska aamal nãma uske bãen haath mein
diya gaya to woh kahega ae kaash! Mujhe mera aamal nãma na diya jãta. Aur main na jãnta mera hisaab
kiya hai. Ae kaash ke woh (maut) kaam tamãm kar dene wãli hoti. Mera
maal mere kisi kaam na aaya. Meri hukumat mujh se barbãd ho gayi.” [Al-Haaqqa
# 69: 25 to 29] Aur farmãya:
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ
لَن تُغۡنِيَ عَنۡهُمۡ أَمۡوَٰلُهُمۡ وَلَآ أَوۡلَٰدُهُم مِّنَ ٱللَّهِ شَيۡٔٗاۖ
وَأُوْلَٰٓئِكَ هُمۡ وَقُودُ ٱلنَّارِ ١٠
“beshak jin logo ne kufr kiya unke maal
aur unki aulaad unhen Allah (ki pakad) se hargiz kuchh kaam na aayegi aur wahi
aag ka endhan hai.” [Al Imran # 3: 10]
Casino, poker, casino, poker, casino. Play online. Play for real.
ReplyDeletePlay for real. 이천 출장안마 Play for free. No signup 이천 출장샵 and 나주 출장샵 download 동해 출장안마 necessary! Just sign up today and 아산 출장마사지 start playing!