Search This Blog

Saturday, May 15, 2021

Surah Quraysh (106)

 

Surah Quraysh (106)



Aayat 1 to 4

لِإِيلَٰفِ قُرَيۡشٍ ١  إِۦلَٰفِهِمۡ رِحۡلَةَ ٱلشِّتَآءِ وَٱلصَّيۡفِ ٢  فَلۡيَعۡبُدُواْ رَبَّ هَٰذَا ٱلۡبَيۡتِ ٣ ٱلَّذِيٓ أَطۡعَمَهُم مِّن جُوعٖ وَءَامَنَهُم مِّنۡ خَوۡفِۢ ٤

“Quresh ke dil mein mohabbat dãlne ki wajah se. unke dil mein sardi aur garmi ke safar ki mohabbat dãlne ki wajah se. to un par lãzim hai ke us ghar ke rab ki ibãdat kare. Wo jisne unhen bhook se (bacha kar) khãna diya aur khauf se (bacha kar) aman diya.”

Is surat mein Allah Tãla ne quresh par apne kai ehsanãt zikar farmãe hain. Quresh Makka Moazzama mein rehte the aur Kãba ke mutawalli the. Yeh log asal mein 2 tijãrati safar karte the garmi ke mausam mein shaam ki taraf, kyunke woh sard ilãqa hai aur sardi mein yaman ki taraf, kyunke woh garam ilãqa hai.

Pehla ehsaan to yeh ke unke dil mein safar ki mohabbat dãl di. Na unhen sardi ke safar mein mushaqqat mehsoos hoti hai aur na garmi mein. Safar hi duniya mein waseela zafar hai, agar Allah tãla unke dilon ko safar se mãnoos na karta to woh bhi apne gharon mein baithe rehte aur safar se jo maal o daulat, tajruba o ilm aur duniya bhar ke logon aur ilãqo se waqfiyat hãsil hoti hai woh kabhi hãsil na hoti. Safar se mãnos hone ki yahi nemat musalmãnon ke aage chal kar hijrat ke safar mein kaam aai, phir kuffãr ke saath ladãi mein aur uske bad rom o shaam, iraq o fãrish, hind o sindh, misar o afreeqa balke mashriq o maghhrib ki fatuhaat mein kaam aae. Haqeeqat yeh hai ke muslim qaum ke duniya par ghhãlib aane aur ghãlib rehne ke liye pehla qadam yeh hai ke woh safar se na ghabrãe aur jab nikalne ka mauqa ho to zameen ke saath chimat hi na jãye. Ab ham dekhte hain ke kãfir aqwãm hi bure, behri aur fizãi safron ki ijãradaar hain, jabke musalmãn aksar o beshtar yeh sabaq bhool chuke hain.

Doosra ehsaan yeh ke us waqt tamãm arab mein sakht bad amni thi, kisi ko khabar na thi ke kab us par hamla ho jãe aur use qatal kar diya jãe? Utha liya jãe, maal loot liya jãe ya aurten aur bachche ghulãm bana liye jãen. Aise hãlãt mein sirf ahl e makka hi ko yeh aman hãsil tha ke koi unki taraf maili aankh se bhi nahin dekhta tha, jaisa ke irshãd farmãya:

أَوَ لَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّا جَعَلۡنَا حَرَمًا ءَامِنٗا وَيُتَخَطَّفُ ٱلنَّاسُ مِنۡ حَوۡلِهِمۡۚ أَفَبِٱلۡبَٰطِلِ يُؤۡمِنُونَ وَبِنِعۡمَةِ ٱللَّهِ يَكۡفُرُونَ ٦٧

Aur kya unhone nahin dekha ke beshak hamne ek haram aman wãla bana diya hai, jab ke log unke gird se uchak liye jãte hain, to kya woh bãtil par imaan lãte hain aur Allah ki nemat ki nãshukri karte hain?” [Al-Ankabut # 29: 67]

Teesra ehsaan yeh ke haram ke bãshinde hone ki wajah se tijãrati safron mein koi na unka qãfila loota aur na usne woh tax liye jãte, jo har qabeele aur har qaum apne ilãqe se guzãrne wãlo se leti thi. Unhe kaheen aane jãne se bhi nahin roka jãta tha. Chhota ehsaan yeh tha ke tamãm duniya ke log hajj aur umrah ke liye Makka mein aate aur duniya bhar ka saamne tijãrat yahan pahunchta. Uske ilãwa har qisam ke phal Ibrãheem {(AS)Alehis Salãm} ki dua ke nateeje mein yahan pahunchte, jaisa ke Allah Tãla ne irshãd farmãya:

وَقَالُوٓاْ إِن نَّتَّبِعِ ٱلۡهُدَىٰ مَعَكَ نُتَخَطَّفۡ مِنۡ أَرۡضِنَآۚ أَوَ لَمۡ نُمَكِّن لَّهُمۡ حَرَمًا ءَامِنٗا يُجۡبَىٰٓ إِلَيۡهِ ثَمَرَٰتُ كُلِّ شَيۡءٖ رِّزۡقٗا مِّن لَّدُنَّا وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ ٥٧

Aur unhone kaha agar ham tere hamrãh is hidãyat ki pairwi kare to ham apne zameen se uchak liye jãyenge. Aur kya hamne unhe ek ba aman haram mein jagah nahin di? Jis ki taraf har cheez ke phal kheench kar lãe jãte hain, hamãri taraf se rozi ke liye aur lekin unke aksar nahin jãnte.” [Al-Qasas # 28: 57]

In tijãrati safron aur Makka ki tijãrat ke mãilk hone ki wajah se quresh bade maaldaar the aur haram ki barkat se ama o amaan se bhi behra dar the. Zãhir hai ke yeh tamãm nematen Allah ke ghar ki barkat se hai aur sirf aur sirf Rab Tãla ka atiya hai. Lehãza unhen bhi yeh chãhiye ke sirf aur sirf usi wahdau lãsharek lah ki ibãdat kare aur uske siwa kisi bhi sanam, shareek aur but ki ibãdat na kare. Jo shakhs Allah Tãla ke is hukum ko baja lãta hai Allah Tãla use duniya o aakhirat mein aman se nawãzte hain aur jo shakhs Allah Tãla ke is hukum ki nãfarmãni karta hai to Allah Tãla use dono jahãnon mein aman se mehroom kar deta hai, jaisa ke Allah Tãla ne irshãd farmãya:

وَضَرَبَ ٱللَّهُ مَثَلٗا قَرۡيَةٗ كَانَتۡ ءَامِنَةٗ مُّطۡمَئِنَّةٗ يَأۡتِيهَا رِزۡقُهَا رَغَدٗا مِّن كُلِّ مَكَانٖ فَكَفَرَتۡ بِأَنۡعُمِ ٱللَّهِ فَأَذَٰقَهَا ٱللَّهُ لِبَاسَ ٱلۡجُوعِ وَٱلۡخَوۡفِ بِمَا كَانُواْ يَصۡنَعُونَ ١١٢ وَلَقَدۡ جَآءَهُمۡ رَسُولٞ مِّنۡهُمۡ فَكَذَّبُوهُ فَأَخَذَهُمُ ٱلۡعَذَابُ وَهُمۡ ظَٰلِمُونَ ١١٣

Aur Allah ne ek basti ki misaal bayãn ki jo ama wãli, itminãn wãli thi, uske paas uska rizq khula har jagah se aata tha, to usne Allah ki nematon ki nãshukri ki to Allah ne use bhook aur khauf ka libaas pehna diya, uske badle jo woh kiya karte the. Aur bila shubha yaqinan unke paas unhi mein se ek rasool aaya to unhone use jhutla diya, to unhen azaab ne is haal mein pakad liya ke woh zãlim the.” [An-Nahl # 16: 112 & 113]

1 comment:

  1. Paddy Power Casino Review 2021
    › games › games 위닉스사이트 Learn about the Paddy 바퀴벌레 포커 Power Casino 슬롯 게임 app, 오공슬롯 and learn how to download the app for iOS 인천 휴게텔 and Android devices. It's quick, easy, and offers a wide range of sports,

    ReplyDelete

Tafseer Dawat ul Quran (Hindi Translation) Part 8

 أَعـــــــــــــــــــــــوذ بالله من الشيطان الرجيم● 🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃 📒 तफ़सीर दावतुल क़ुरआन 📒 ✒️ लेख़क: अ...