Surah
Al-Fil (105)
Aayat 1 to 5
أَلَمۡ تَرَ كَيۡفَ فَعَلَ
رَبُّكَ بِأَصۡحَٰبِ ٱلۡفِيلِ ١ أَلَمۡ
يَجۡعَلۡ كَيۡدَهُمۡ فِي تَضۡلِيلٖ ٢
وَأَرۡسَلَ عَلَيۡهِمۡ طَيۡرًا أَبَابِيلَ ٣ تَرۡمِيهِم بِحِجَارَةٖ مِّن
سِجِّيلٖ ٤ فَجَعَلَهُمۡ كَعَصۡفٖ
مَّأۡكُولِۢ ٥
“Kya tune nahin dekha
tere Rab ne haathi wãlon ke saath kis
tarah kiya? Kya usne unki tadbeer ko bekaar nahin kar diya? Aur un par jhund ke
jhund parinde bhej diye. Jo un par kankar (paki huwi mitti) ke patthariyãn phenkte the. To
usne unhe khãe huwe bhus ki
tarah kar diya.”
Allah Tãla ne ahl e
quresh par ehsaan jatãte huwe Nabi kareem (ﷺ) se farmãya, kya aapne
Allah ki qudrat, uski azmat, bandon par uski rehmat aur uski tauheed aur uske
rasool ki sadãqat ke dalãel ka ashaabe feel ke wãqiya mein nazãra nahin kya ke usne khãne kãba ke khilãf ashabe feel ki
sazish ko kis tarah nãkaam bana diya? Unko halaak o barbaad karne
ke liye parindo ke jhund ke jhund bhej diye jo samandar ki taraf se aae the.
Ahle Makka ne, jo pahãdon ki chotiyon par chadh gae the, unhe
apni aankhon se dekha ke woh abrãha ki fauj ke upar aae apni chonchon aur
pankhon mein maujood kankariyon ko un par barsãne lage aur dekhte
hi dekhte unki laashon ke dher lag gae, to usne unhen khãe huwe bhus ki
tarah kar diya. Allah Tãla ne Makka moazzama ko jo hurmat ata farmãi thi usko
barqaraar rakha aur takhrebi karwãe ki niyat se aane wãlon ko tabãh o barbãd kar diya.
Saiyyadna Abdullah bin Abbãs (Razi Allahu
anhuma) bayãn karte hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: Allah Tãla ne jis din
aasmãnon aur zameen ko paida kiya, usi din se Makka Mukarrama ko hurmat wãla qaraar de
diya. Ab Allah Tãla ka use hurmat wãla qaraar dene ki
wajah se woh qayãmat tak hurmat wãla rahega. (Us
mein qatal waghhaira) mujhe se pehle bhi kisi ke liye halaal nahin huwa aur na
mere baad kisi ke liye halaal hoga aur mere liye jo halaal huwa to woh bhi sirf
ek ghadi ke liye.” [Bukhãri 4313, Muslim
1353]
Saiyyadna Abu Huraira (Razi Allahu anhu)
bayãn karte hai ke jab Allah Tãla ne apne Rasool ko Makka Fatah karwa
diya, to aap (ﷺ) logo ke samne khade huwe, Allah Tãla ki hamd va
sana bayãn ki aur farmãya: “Yaqinan Allah ne hatiyo (ke lashkar)
ko Makka se rok diya tha, lekin apne Rasool aur momino ko Makka par galba diya.
To (us mein qital wagerah) mujhse phele kisi ke liye halal nahi huwa aur mere
liye bhi sirf din ki ek ghadi ke liye hala huwa
hai, ab mere baad kisi ke liye halal nahi hoga.” [Bukhãri 2434, Muslim
1355]
Saiyyadna Maswar bin Makhrama aur Saiyyadna
Marwãn (Razi Allahu anhuma) bayãn karte hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) sulah
hudaibiya ke mauqe par (makka jãne ke liye madinah se) bãhar nikle aur jab
aap rãste mein ek jagah pahunche to aap (ﷺ) ne farmãya: “Khãlid bin waleed
quresh ke (200) sawãron ke saath hamãri naqal o harkat
ke andãza lagãne ke liye ghameem mein faroksh hai, lehaza tum dãen taraf ka rãsta ikhtiyãr karo.” Allah ki
qasam! Khãlid ko khabar hi nahin hui, yahãn tak ke (islãmi) lashkar ka ghhubãr unhen dikhãi diya. To (un
mein se) ek shakhs fauran quresh ko itela dene ke liye rawãna hua. Allah ke
Rasool (ﷺ)
barãbar chalte rahe, yahãn tak ke aap us ghãti par pahunche
ke jahãn se un par utra jãe to aapki ootni baith gai. Logon ne (use
uthãne ke liye) kaha, {Halu, Halu} lekin woh nahin uthi, to logon ne kaha,
qiswa ad gai. Nabi (ﷺ) ne farmãya: Qiswa nahin baithi aur ne yeh uski aadat
hai, balke use us hasti ne rok diya jis hasti ne haathi (wãlon) ko rok diya
tha.” [Bukhãri 2731, 2732]
No comments:
Post a Comment