Search This Blog

Saturday, May 15, 2021

Surah Al-Kawthar (108)

 

Surah Al-Kawthar (108)

Aayat 1

إِنَّآ أَعۡطَيۡنَٰكَ ٱلۡكَوۡثَرَ ١

“Bila Shubha hamne tujhe kausar ata ki.”

Yãni dushman to yeh samajh rahe hain ke aapke paas kuchh nahin, magar haqeeqat yeh hai ke hamne aapko bahot kuchh diya hai. Kausar mein woh sãri cheez kaseer shãmil hai jo Allah Tãla ne aapko ata farmãi. Maslan islaam, nabuwat, akhlãq husna, behtareen farma bardãr ummat, jannat aur doosri nematen jo shumãr nahin ho sakti. Lughhat ke lihãz se kausar ke mãyene yahi hai.

Albatta bahot si sahi ahãdees mein aaya hai ke Allah ke Rasool () ne farmãya ke kausar ek nehar hai jo Allah ne mujhe ata farmãe hai. Isi tarah aapne mehshar mein aapko ata kiya jãne wãla hauz ka naam bhi kausar batãya, is lehãz se yeh tasfeer muqaddam hai, magar tawajjeh ki zaroorat tab hai jab donon tafseeron mein taaraz ho, jo yahãn hai hi nahin.

Saeed bin Jabeer (Rahimaullah) ne Saiyyadna Abdullah bin Abbas (Razi Allahu anhuma) se riwãyat ki ke unhone kausar ke mutãliq farmãya, usse murãd woh khair hai jo Allah ne aap () ko ata farmãi. Rãwi kehta hai ke maine Saeed bin Jabeer (Rahimaullah) se poochha ke log kehte hai ke woh jannat mein ek nehar hai to unhone kaha, jannat mein jo nehar hai woh bhi is khair mein shãmil hai jo Allah ne aapko ata farmãi. [Bukhãri 4966]

Saiyyadna Anas (Razi Allahu anhu) bayãn karte hai ek din Allah ke Rasool () hamãri majlis mein bethe huwe the aap par oongh tãri huwi, phir muskurãte huwe aapne sar uthaya. Hamne arz ki, Ae Allah ke Rasool! Kis cheez ne aapko hansãya? Irshãd farmãya: “Mujh par abhi abhi qurãn ki ek surat nãzil huwi hai.” Phir aapne uski tilãwat ki

إِنَّآ أَعۡطَيۡنَٰكَ ٱلۡكَوۡثَرَ ١  فَصَلِّ لِرَبِّكَ وَٱنۡحَرۡ ٢  إِنَّ شَانِئَكَ هُوَ ٱلۡأَبۡتَرُ ٣

phir farmãya: “kya tum jãnte ho ke kausar kya hai?” Hamne kaha, Allah aur uske Rasool behtar jãnte hain? Farmãya: “kausar ek nehar hai, jiska mere Rab ne mujhe se wãda farmãya hai, usmein bahot khair hai, roze mehshar mere ummati is hauz ka paani peene ke liye aayenge. Us hauz par utne gilãs honge jitne aasmãn ke tãre. Un mein se ek shakhs ko wahãn se bhaga diya jãyega, main kahonga, Ae Allah! Yeh mera ummati hai, Allah Tãla farmãyega, aap nahin jãnte ke isne aap ke baad kaisi kaisi biddaten nikãli thi.” [Muslim 400]

Saiyyadna Uqba bin Aamir (Razi Allahu anhu) bayãn karte hain ek Allah ke Rasool () ne aath baras ke baad ohad ke shaheedon par is tarah namãz padhi jaise koi zindon aur murdon ko rukhsat karta hai, phir aap member par chadhe aur farmãya: “main tumhãra besh khema hoon, tumhãre ãmaal ka gawãh hoon aur mujhse (qayãmat ke din) tumhãri mulãqãt hauz (kausar) par hogi. Main apne is muqãm se hauz ko dekh raha hoon.” [Bukhãri 4042, Muslim 2296]

Saiyyadna Abdullah bin Umar (Razi Allahu anhuma) bayãn karte hai ke Allah ke Rasool () ne farmãya: “kausar ki ek aisi nehar hai jiske kinãre sone se bane huwe hain, woh yãqoot aur motiyon par behti hai. Uski mitti kastoori se ziyãda umdah aur uska paani shahed se ziyãda meetha aur barf se ziyãda safed hai.” [Tirmizi 3361, Ibne Maja 4444]

Saiyyadna Anas (Razi Allahu anhu) bayãn karte hain ke ek Shakhs ne poochha, Ae Allah ke Rasool! Kausar kya hai? Aapne farmãya: “woh ek nehar hai jo mere rab ne jannat mein mujhe ata farmãi hai. Uska paani doodh se ziyãda safed aur shahed se ziyãda sheereen hai, usmein aise parinde honge jinke gardane oonton ki tarah hongi.” Saiyyadna Umar (Razi Allahu anhu) ne arz ki, Ae Allah ke rasool! Yeh parinde bade khush o khurram honge? Aap ne famrãya: “Umar! Unke khãne wãle unse bhi ziyãda khush o khurram honge.” [Musnad Ahmad 13486]

Saiyyadna Abuzar (Razi Allahu anhu) bayãn karte hain ke maine arz ki, Ya Allah ke Rasool! Hauz ke bartan kaise honge? Aapne farmãya: “us zaat ki qasam jiske haath mein muhammad () ki jaan hai! Uske bartan aasmãn ke tãro se bhi ziyãda hain. Yaad rakho! Tãre bhi us raat ke, jo tãreek ho aur bãdal ke baghhair ho. Jannat ke bartan aise hain ke jo unse piyenge kabhi piyãse nahin honge, us waqt ke aakhir tak jo us par guzrega. Us hauz mein jannat se do parnale girte hain. Jo usse piyenge kabhi piyãse nahi honge. Uska arz taweel ke barãbar hai, jitna omãn se ayela tak fãsla hai. Uska paani oodh se ziyãda safed aur shahed se ziyãda meetha hai.” [Muslim 2300]

Saiyyadna Anas (Razi Allahu anhu) bayãn karte hai ke Allah ke Rasool () ne wãqiye meraaj bayãn karte huwe farmãya: “main ek nehar par pahuncha, uske donon kinãron par khokhle motiyon ke kheme lage huwe the. maine poochha, yeh kya hai? To jibreel {(AS)Alehis Salãm} ne kaha, yeh kausar hai.” [Bukhãri 4964]

Saiyyadna Abdullah bin Amar bin Aas (Razi Allahu anhuma) bayãn karte hai ke Allah ke Rasool () ne famrãya: “mera hauz ek maah ki masãfãt ke barãbar lamba hai, uska paani doodh se ziyãda safed hai, uski khushbu mushk se ziyãda khushgawãr hai, us par rakhe huwe aab khoron ki tãdãd aasmãn ke sitãro jais hai. Jo shakhs us hauz ka paani pee lega woh kabhi piyãsa nahin hoga.” [Bukhãri 6579, Muslim 2292]

Aayat 2

 فَصَلِّ لِرَبِّكَ وَٱنۡحَرۡ ٢

“Bas tu apne Rab ke liye namãz padh aur qurbãni kar.”

Allah Tãla ne aapko khair kaseer ya kausar ata karne ki jo khushkhabri di hai is ãyat mein aapko us par shukar ada karne ki nasihat ki hai aur kaha ke aap sirf apne rab ki khushnudi aur uski raza ke husool ke liye namãz padhte rahiye aur sirf uski naam se qurbãni kiya kijiye, jaisa ke doosri jagah Allah Tãla ne irshãd farmãya:

قُلۡ إِنَّ صَلَاتِي وَنُسُكِي وَمَحۡيَايَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ ١٦٢ لَا شَرِيكَ لَهُۥۖ وَبِذَٰلِكَ أُمِرۡتُ وَأَنَا۠ أَوَّلُ ٱلۡمُسۡلِمِينَ ١٦٣

Kehde beshak meri namãz aur meri qurbãni aur meri zindagi aur meri maut Allah ke liye hai, jo jahãnon ka Rab hai. Uska koi shareek nahin aur mujhe usi ka hukum diya gaya hai aur mein hukum mãnne wãlon mein se bhi pehla hoon.” [Al-An'am # 6: 162, 163]

Allah ke Rasool () Eidul Azha ke din pehle namãz padhte the, phir qurbãni karte the aur isi tarteeb ka hukum diya karte the. Jaisa ke Saiyyadna bra bun azib (Razi Allahu anhu) bayãn karte hain ke Allah ke Rasool () ne hamko Eidul Azha ke din namãz ke baad khutba diya, farmãya: “Jo shakhs namãz hamãri jaisi namãz padhe aur hamãri qurbãni ki tarah qurbãni kare, uski qurbãni sahi huwi aur jo shakhs namãz se pehle qurbãni kare woh namãz se pehle (hi gosht khãta) hai, uske koi qurbãni nahin.” [Bukhãri 955]

Aayat 3

 إِنَّ شَانِئَكَ هُوَ ٱلۡأَبۡتَرُ ٣

“Yaqinan tera dushman hi lãwalad hai.”

Is ãyat kareema mein Allah Tãla ne khabar di hai ke Nabi kareem () ki shaan mein gustãkhi karne wãle har daur mein aur har jagah zaleel o khuwãr honge. Unhi ki nasal bãqi nahin rahegi aur unhi ka naam duniya se mit jãyega. Nabi kareem () to tamãm sifaat o kamãlãt mein un hadon ko chhoo chuke the jo khatamul nabiyyen ke liye Allah ne muqarrar kardi thi. Unke zikar jameel ne sãre alam ko bhar diya tha aur unke ansaar o madadgãr unke perokãr poori duniya mein phail gae the.


 

No comments:

Post a Comment

Tafseer Dawat ul Quran (Hindi Translation) Part 8

 أَعـــــــــــــــــــــــوذ بالله من الشيطان الرجيم● 🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃 📒 तफ़सीर दावतुल क़ुरआन 📒 ✒️ लेख़क: अ...