Surah Al-Asr (103)
Aayat 1 to 3
وَٱلۡعَصۡرِ ١ إِنَّ ٱلۡإِنسَٰنَ لَفِي خُسۡرٍ ٢ إِلَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ
وَتَوَاصَوۡاْ بِٱلۡحَقِّ وَتَوَاصَوۡاْ بِٱلصَّبۡرِ ٣
“Zamãne ki qasam! Ke
beshak har insaan yaqinan ghãte mein hai. Siwãe un logon ke jo
imaan lãe aur unhone nek ãmaal kiye aur ek
doosre ko haq ki wasiyat ki aur ek doosre ko sabar ki wasiyat ki.”
وَٱلۡعَصۡرِ
Saiyyadna Abdullah bin Umar (Razi Allahu
anhuma) bayãn karte hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “Jis shakhs ki
asar ki namãz zãe hogai goya uske ahl o ayaal ka maal sab kuchh tabãh hogaya.” [Tirmizi
175]
إِنَّ
ٱلۡإِنسَٰنَ لَفِي خُسۡرٍ
Allah tãla ne zamãne ki qasam kha
kar farmãya ke qayãmat ke din tamãm insaan khasãre mein rahenge
aur unhe falãn naseeb nahin hogi. Yeh wohi log honge jinhone apni dunyãwi zindagi mein
Allah Tãla ki nãfarmãni ki, shaitãn ki itaat karte rahe, imaan nahin laae,
nek amal nahin kiye, haq ki tableegh nahin ki aur sabar ki talqeen nahin ki,
jaisa ke irshãd farmãya:
وَمَن يَتَّخِذِ ٱلشَّيۡطَٰنَ
وَلِيّٗا مِّن دُونِ ٱللَّهِ فَقَدۡ خَسِرَ خُسۡرَانٗا مُّبِينٗا ١١٩
“Aur jo koi shaitãn ko Allah ke
siwa dost banãya yaqinan usne khasãra uthãya, wãze khasãra.” [An-Nisa # 4: 119] Aur farmãya:
ٱلَّذِينَ يَنقُضُونَ
عَهۡدَ ٱللَّهِ مِنۢ بَعۡدِ مِيثَٰقِهِۦ وَيَقۡطَعُونَ مَآ أَمَرَ ٱللَّهُ بِهِۦٓ
أَن يُوصَلَ وَيُفۡسِدُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ أُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ ٢٧
“Woh log jo Allah ke ehad ko, use pukhta
karne ke baad tod dete hai air us cheez ko qata karte hai jiske mutãliq Alalh ne hukum
diya ke use milãya jãe aur zameen mein
fasaad karte hain, yahi log khasãra uthãne wãle hain.” [Al-Baqarah
# 2: 27] Aur farmãya:
وَمَن يَكۡفُرۡ بِٱلۡإِيمَٰنِ
فَقَدۡ حَبِطَ عَمَلُهُۥ وَهُوَ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ مِنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ ٥
“Aur jo imaan se inkaar kare to yaqinan
uska amal zãe hogaya aur woh aakhirat
mein khasãra uthãne wãlon se hai.” [Al-Ma'idah
# 5: 5]
إِلَّا
ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ
Imaan lãna bada zaroori
hai, imaan ke baghhair nijaat nahin, baghhair imaan ke tamãm ãmaal sãleh bekaar hai, irshãd farmãya:
وَمَنۡ أَرَادَ ٱلۡأٓخِرَةَ
وَسَعَىٰ لَهَا سَعۡيَهَا وَهُوَ مُؤۡمِنٞ فَأُوْلَٰٓئِكَ كَانَ سَعۡيُهُم
مَّشۡكُورٗا ١٩
“Aur jisne aakhirat ka irãda kiya aur uske liye
koshish ki, jo uske lãyaq koshish hai, jabke
woh momin ho to yahi log hai jinki koshish hamesha se qadar ki huwi hai.” [Al-Isra #
17: 19] Aur farmãya:
وَمَن يَعۡمَلۡ مِنَ ٱلصَّٰلِحَٰتِ
مِن ذَكَرٍ أَوۡ أُنثَىٰ وَهُوَ مُؤۡمِنٞ فَأُوْلَٰٓئِكَ يَدۡخُلُونَ ٱلۡجَنَّةَ
وَلَا يُظۡلَمُونَ نَقِيرٗا ١٢٤
“Aur jo shakhs nek kaamon mein se (koi
kaam) kare, mard ho ya aurat aur woh momin to yeh log jannat mein dãkhil honge aur
khajoor ki ghutli ke nuqte ke barãbar un par zulm
nahin kiya jãyega.” [An-Nisa #
4: 124]
وَعَمِلُواْ
ٱلصَّٰلِحَٰتِ
Nek ãmaal karna bhi
zaroori hai, qayãmat ke roz nek ãmaal hi kaam
aaenge, jiska nek ãmaal wãla palda jhuk jãyega woh jannat
mein jãyega, irshãd farmãya:
فَلَا تَعۡلَمُ نَفۡسٞ
مَّآ أُخۡفِيَ لَهُم مِّن قُرَّةِ أَعۡيُنٖ جَزَآءَۢ بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
١٧ أَفَمَن كَانَ مُؤۡمِنٗا كَمَن كَانَ فَاسِقٗاۚ لَّا يَسۡتَوُۥنَ ١٨ أَمَّا ٱلَّذِينَ
ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ فَلَهُمۡ جَنَّٰتُ ٱلۡمَأۡوَىٰ نُزُلَۢا
بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ ١٩ وَأَمَّا ٱلَّذِينَ فَسَقُواْ فَمَأۡوَىٰهُمُ ٱلنَّارُۖ
كُلَّمَآ أَرَادُوٓاْ أَن يَخۡرُجُواْ مِنۡهَآ أُعِيدُواْ فِيهَا وَقِيلَ لَهُمۡ
ذُوقُواْ عَذَابَ ٱلنَّارِ ٱلَّذِي كُنتُم بِهِۦ تُكَذِّبُونَ ٢٠
“Bas koi shakhs nahin jãnta ke unke liye
aankhon ki thandak mein kya kuchh chhupa kar rakha gaya hai, us amal ki jaza ke
liye jo woh kiya karte the. To kya woh shakhs jo momin ho woh uski tarah hai jo
nãfarmãn ho? Barãbar nahin hote.
Lekin woh log jo imaan lãe aur unhone nek ãmaal kiye to unke
liye rehne ke bãghãt hain, mehmãni uske badle jo
woh kiya karte the. Aur rahe woh log jinhone nafarmãni ki to unka
thikãna aag hi hai, jab kabhi chãhenge ke usse
nikle us mein lauta diye jãyenge aur unse kaha jãyega ke aag ka woh
azaab chako jise tum jhutlãya karte the.” [As-Sajdah #
32: 17 to 20]
وَتَوَاصَوۡاْ
بِٱلۡحَقِّ
Yãni jo haq Alalh tãla ne nãzil farmãya hai usko logo
tak pahunchãna, uske mutãliq amal karne ki nasihat aur wasiyat
karna. Agar koi shakhs imaan bhi lãta hai aur nek
amal bhi karta hai lekin islaam ki tableegh nahin karta aur amar bin mãroof aur nahin
anil munkar ka fareeza anjaam nahin deta to to nuqsaan mein rahega. Sirf mulalmãn hona kãfi nahin, balke
islaam ki dãwat dena, nek kaam ka hukum dena aur burãi se rokna bhi
zaroori hai, jaisa ke Allah Tãla ne irshãd farmãya:
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ
ءَامَنُواْ قُوٓاْ أَنفُسَكُمۡ وَأَهۡلِيكُمۡ نَارٗا وَقُودُهَا ٱلنَّاسُ وَٱلۡحِجَارَةُ
عَلَيۡهَا مَلَٰٓئِكَةٌ غِلَاظٞ شِدَادٞ لَّا يَعۡصُونَ ٱللَّهَ مَآ أَمَرَهُمۡ
وَيَفۡعَلُونَ مَا يُؤۡمَرُونَ ٦
“Ae logo jo imaan lãe ho! Apne aapko
aur apne ghar wãlon ko us aag se bachão jiska endhan
log aur pathar hai, us par sakht dil, bahot mazboot farishte muqarrar hai, jo
Allah ki nãfarmãni nahin karte jo
woh unhen hukum de aur woh karte hai jo hukum diye jãte hai.” [At-Tahrim #
66: 6]
Saiyyadna Abu Bakar (Razi Allahu anhu) bayãn karte hai ke Allah
ke Rasool (ﷺ)
ne hajj ke khutbe mein irshãd farmãya: “jo yahãn maujood hai woh
use jo yahãn maujood nahin (meri baat) pahuncha de, kyunke kabhi aisa bhi hota hai
ke jise baat pahunchãya jãe woh (use) sunne
wãle se ziyada yaad rakhne wãla hota hai.” [Bukhãri 1741]
وَتَوَاصَوۡاْ
بِٱلصَّبۡرِ
Haq ki wasiayt yãni tableegh ka
kaam bahot mushkil hai, is raah mein bahot si rukãwaten aati hain,
bahot si takleefen jhelna padti hain aur bahot si dil aazaariyãn baaten sunni
padti hai. In masãib ko bardãsht karna sabar
ke baghhair mumkin nahin aur yeh cheez baghhair Allah ki taufeeq ke mukin nahin.
Is raah mein bahot se logon ke pair phisal jãte hain, bahot se
dagmagãne lagte hain aur himmat haar jãte hain. Aisi
soorat mein aise logon ko sabar ki talqeen karna bahot zaroori hai. Yãni sirf tableegh
karna hi kãfi nahin, balke tableegh karne wãlon ko sabar o
isteqãmat ki nasihat karna bhi zaroori hai, tãke woh pãmardi ke saath
tableegh mein masroof rahe. Jis muashre mein aur uske afraad mein yeh chaaro
sifat paai jãe unke mutãliq yaqeen se kaha ja sakta hai ke unhone
apni zindagi ke lamhaat se bharpoor fãida uthãya aur aakhirat
mein woh khasãre se mehfooz rahenge.
No comments:
Post a Comment