Surah As Saf (61)
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
Ayat 1
سَبَّحَ لِلّٰهِ مَا فِی السَّمٰوٰتِ وَ مَا فِی
الْاَرْضِ١ۚ وَ هُوَ الْعَزِیْزُ الْحَكِیْمُ۱
“Allah ka paak hona bayaan kiya har cheez ne, jo
aasmãno mein hai aur jo zameen mein hai aur wo hi sab par ghãlib, kamaal hikmat
wãla hai.”
Allah Ta’ala ne farmãya ke aasmãno aur
zameen mein jitne haiwãnaat, nabãtaat aur jamãdaat hai sab apne rab ki apne
apne andaaz mein paaki aur badaai bayaan karte hai. Aakhir mein farmãya ke woh
bada hi qawi hai jo aasmãno aur zameen ki har cheez par ghãlib hai aur usne
tamaam maujudaat ko apni hikmat ke mutãbiq munazzam o murattib kiya hai, jis se
koi cheez sarmoinhiraf (Serious Deviations) nahi kar sakti.
Ayat 2 & 3
یٰۤاَیُّهَا
الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا لِمَ تَقُوْلُوْنَ مَا لَا تَفْعَلُوْنَ۲ كَبُرَ مَقْتًا عِنْدَ اللّٰهِ اَنْ
تَقُوْلُوْا مَا لَا تَفْعَلُوْنَ۳
“Ae logo jo imaan lãye ho! Kyun kahte ho jo tum naheen karte. Allah ke
nazdeek nãraaz hone ke aitebaar se badi baat hai ke
tum woh kaho jo tum naheen karte.”
Kuchh musalmaan
jihãd farz hone se pahle kahte the ke agar hamein maaloom ho jata ke Allah Ta’ala
ko sabse ziyãda kaun sa amal pasand hai to ham use karte, to Allah Ta’ala ne
bazariye Wahi apne Rasool ko Khabar di ke sabse behtar amal Imaan-Billah aur
Jihãad Fi-Sabil-Lillah hai. Jab jihãd farz huwa to un musalmãno par jihãd karna
shaak guzra, to ye ãyat nãzil hui jin se Allah ne unhen ataab kiya. Isliye ke
imaan sãdiq ka taqãza to yeh hai ke momin na jhoot bole aur na waada Khilãfi
kare, jo kahe uske mutãbiq amal kare aur jo nek kaam na kiya ho, use apni taraf
mansoob na kare, kyunke Allah ke nazdeek sabse ziyãda mabghoos baat ye hai ke
aadmi apni taraf se aisa bhalaai ka kaam mansoob kare jo usne na kiya ho, ya
kahe ke main falãh Khair ka kaam karonga aur phir use na kare.
Saiyyadna
Abdullah bin Salam (Razi Allahu anhu) bayaan karte hai ke hamne aapas mein
muzãkira kiya. Hamne kaha, ham mein se kaun hai jo Allah ke Rasool (ﷺ) ke paas
jãye aur aapse daryaaft kare ke kaun sa amal Allah Ta’ala ko sabse ziyãda
mahboob hai, lekin ham mein se har Shakhs jaate huye dar raha tha. Itne mein
hamãre paas Allah ke Rasool (ﷺ) ka ek qãsid pahuncha hum mein se ek ek ko bula
kar Allah ke Rasool (ﷺ) ke paas le gaya. Jab ham jama hogaye to ek doosre ke
taraf ishãra karne lage to Allah ke Rasool (ﷺ) ne hamãre saamne (in ãyat ke )
tilãwat ke :
سَبَّحَ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۖ
وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُٱلۡحَكِيمُ ١
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لِمَ تَقُولُونَ مَا لَا تَفۡعَلُونَ ٢ كَبُرَ
مَقۡتًا عِندَ ٱللَّهِ أَن تَقُولُواْ مَا لَا تَفۡعَلُونَ ٣
[As-Saf # 61: 1 to 3] phir aapne is (Surah) ko awwal se Aakhir tak
mukammal padha. [Musnad Ahmad : 452/5, 23851]
يٰٓاَيُّهَا الَّذِيْنَ اٰمَنُوْا لِمَ تَقُوْلُوْنَ مَا
لَا تَفْعَلُوْنَ
Irshãd farmãya:
اَتَاْمُرُوْنَ النَّاسَ بِالْبِرِّ وَ تَنْسَوْنَ
اَنْفُسَكُمْ وَ اَنْتُمْ تَتْلُوْنَ الْكِتٰبَ١ؕ اَفَلَا تَعْقِلُوْنَ۴۴
[Al-Baqarah # 2: 44] “Kya tum logon ko neki ka hukum dete ho aur apne
aapko bhool jãte ho, halãnke tum kitaab padhte ho, to kya tum naheen samjhte?”
Saiyyadna Usãma Bin Zayed (Razi Allahu
anhu) bayaan karte hai ke Allah ke
Rasool (ﷺ) ne farmaya : “Ek Shakhs ko qamãyat ke din lãya jãyega, phir use dozakh
mein daal diya jãyega, aag mein uske antdhiyaan båhar nikal padhengi aur woh
(antdhiyon ke gird) chakki ke ghade ki tarah ghoomta rahega. Dozakhi uske paas
jama hokar kahenge, Ae Falah ! yeh tera kya mãmla hai? Kya tu (duniya mein) hamein
achi baat ka hukum deta aur buri baat se mana nahi karta tha? Wo kahega beshak mein
tumhen achchhi baat ka hukum deta tha, lekin khud nahi karta tha aur tumhen
bure kaam se mana karta tha, lekin khud wahi kaam kiya karta tha.” [Bukhari :
3267- Muslim :2989]
Saiyyadna Abdullah bin Masood (Razi Allahu
anhu) bayaan karte hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya “Allah Ta’ala ne jo
nabi bhi kisi ummat mein mujhse pahle bheja to uski ummat mein uske hawãri aur
uske ashaab hote the, jo uski sunnat par amal karte aur uske hukum ki tãmeel
karte the. Phir uske baad aise naqalf log unke jãnasheen huye jo woh kahte woh
karte naheen the aur jo karte uska unhen hukum naheen diya gaya tha. To jo Shakhs
aise logon se apne haath se jihaad kare to woh momin hai, jo unse apni zabaan
se jihaad kare to woh momin hai aur jo unse dil se jihaad kare woh bhi momin
hai, iske baad to rai ke daane ke barãbar bhi imaan nahi rahta”. [Muslim : 50]
Saiyyadna Abdullah bin Umar (Razi Allahu
anhu) bayaan karte hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “Chaar baaten jis mein
ho woh khãlis munãfiq hai aur jismein in chaar mein se koi ek ho usmein nifãq
ke ek khaslat hai, Jab tak woh use chhorh na de. (Woh yeh ke) Jab use ameen banãya
jãye to khayãnat kare, jab baat kare to jhoot kahe, jab ahed kare use tod daale
aur jab jhagde to badzabãni kare”. [Bukhari : 34, Muslim : 58]
Saiyyadna Abdullah bin Amir bin Rabia (Razi
Allahu anhu) bayaan karte hai ke hamãre paas Allah ke Rasool (ﷺ) tashreef lãye,
jabke main abhi bachcha hi tha. Mein khelne ke liye bãhar nikla, meri ammi ne
kaha, Ae Abdullah! Aao main tumhen kuchh doon. Allah ke Rasool (ﷺ) ne unse
poochha: “Tum use kya dena chãhti ho?” unhone kaha ke main use khajoor dena
chãhti hoon. Aapne farmãya: “agar tum use kuchh na deti to tumhãre naam-e-ãmaal
mein ek jhoot likh diya jãta.” [Musnad Ahmad : 447/3, 15807, Abu Dawood : 4991]
Ãyat 4
اِنَّ اللّٰهَ یُحِبُّ الَّذِیْنَ یُقَاتِلُوْنَ فِیْ
سَبِیْلِهٖ صَفًّا كَاَنَّهُمْ بُنْیَانٌ مَّرْصُوْصٌ۴
“Bila Shubah
Allah un Logon Se Mohabbat Karta Hai Jo uski Rãh Mein Saf Bandh Kar ladte Hain,
Jaise woh Ek sisa Pilai Hui imãrat hon”
Sisa Pilai Hui Deewar se Murãd yeh Hai Ki
Maidãn-E-Jang mein Unki Saf Itni mazboot hoti hai goya woh Sisa Pilai Hui
Deewar Ho,Dushman usko Tod Naheen Sakta aur Shikast kha jãta hai. Maidãn-Jihãd
ki Saf Mein khada hona Kitna Bais ajr wa sawaab hai, ise jaanne ke liye
Darjezail Farãmeen Rasool (ﷺ) ka mutaalla zaruri hai.
Saiyyadna Abu hurairah (Razi Allahu anhu)
Bayaan Karte Hain ke Sahãba Mein Se Ek Shakhs ka Guzar Ek Ghãti Se hua, Jahãn
Meethe (Wa-khushgawar) paani ka ek Chashma Behta tha. uska zãiqa use Achchha
Laga, usne Soncha, agar main Logon se alag thalag hokar yaha thaher jaaun (Aur
Allah Ki Ibãdat karun to kitna Achccha Ho) taaham Main yeh kaam us Waqt Tak
Naheen karunga jab tak Allah ke Rasool (ﷺ) se Ijãzat Na Le Lun. Bãde-aza usne
Sara Maajra Allah ke Rasool(ﷺ) se Bayaan Kiya To aapne Farmãya:“Aisa Na Karna,
beshak Tum mein se Kisi Ka Jihãd Fi-Sabil-Allah Mein Khade hona Ghar ki Sattar
(70) sal ki namãzo se behtar hai. kya tum Pasand Naheen karte ke Allah Ta’ala
Tumhen Bakhsh De aur Jannat mein daakhil kar de? So Allah Ke Raste Mein Jihãd
karo.(Suno) Jo Shakhs ootni ke doodh dohone ke Darmiyaani Waqfa Jitna Bhi Allah
Ke Raste Mein lada us per Jannat wãjib ho gai.” [Tirmizi : 1650, Mustadrak
Hakim : 2382]
Saiyyadna Sahal Bin Saad saa’di (Razi
Allahu anhu) Bayãn Karte Hain ki Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya:“Do Waqt Aise
Hain ke Jin Mein Dua Rad Naheen Ki jaati, Ya (farmãya) kam hi Rad Ki Jaati
Hai,ek ãzaan ke Waqt aur dusri Jang (Yani Maidãn-E-Jihãd) ke Waqt, Jab log Ek
dusre ke saath Bhid Jaate Hain.” [Abu Dawood : 2540]
Saiyyadna Abu hurairah (Razi Allahu anhu)
Bayaan Karte Hain Ki Maine Allah ke Rasool (ﷺ) ko farmãte Hue suna: “Allah Ke
Raaste Mein Ghadi Bhar Khade hona Hajr e Aswad Ke Saamne laylatul qadr ke qãyam
se behtar hai.” [Ibne Maja : 4603]
Saiyyadna Abu Seed Khudri (Razi Allahu
anhu) Bayaan Karte Hain Ke poochha Gaya, Allah Ke Rasool! Logon mein sabse
Afzal Shakhs kaun hai? Aap ne farmãya: “Woh momin Jo Allah Ki Raah Mein Apni
Jaan aur apne Maal se Jihãd Kare.” Logon Ne arz ki, phir Kaun? Farmãya: “Woh
momin Jo Kisi Pahãd ki Ghãti mein rahe, Allah se dare aur Logon Ko apni Burãi
Se Mahfooz Rakhe.” [Bukhari : 2786, Muslim :1888]
Ãyat 5
وَ اِذْ قَالَ مُوْسٰى لِقَوْمِهٖ یٰقَوْمِ لِمَ
تُؤْذُوْنَنِیْ وَ قَدْ تَّعْلَمُوْنَ اَنِّیْ رَسُوْلُ اللّٰهِ اِلَیْكُمْ١ؕ
فَلَمَّا زَاغُوْۤا اَزَاغَ اللّٰهُ قُلُوْبَهُمْ١ؕ وَ اللّٰهُ لَا یَهْدِی
الْقَوْمَ الْفٰسِقِیْنَ۵
“Aur jab Musa ne
apni qaum Se Kaha Ae Meri qaum! tum mujhe kyun takleef dete Ho, Halãnke yaqinan
Tum jaante ho ke beshak Main Tumhãri Taraf Allah ka Rasool Hoon. Phir Jab woh
tehde Ho Gaye to Allah ne unke Dil tehde Kar Diye aur Allah nafarmaan Logon Ko
Hidãyat Naheen deta.”
Allah Tãla ne apne abd, Apne Rasool aur
apne Kaleem Musa Bin Imran {(AS)Alehis Salãm}
ke bãre mein farmãya hai ki unhone apni qaum Se Kaha Ke Tum mujhe Eeza
Kyon dete Ho? Halanke Tum is Paighaam ki Sadãqat ko khoob jaante ho Jo Main
tumhãre paas Lekar Aaya Hoon. Ismein Allah ke Rasool (ﷺ) ke liye bhi aapki qaum
ki taraf se aur Deegar kuffãr ki taraf se Eezar-saniyon per tasalli aur Sabr ka
Hukum hai, Jaisa ke Irshãd farmãya:
یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا لَا تَكُوْنُوْا
كَالَّذِیْنَ اٰذَوْا مُوْسٰى فَبَرَّاَهُ اللّٰهُ مِمَّا قَالُوْا١ؕ وَ كَانَ
عِنْدَ اللّٰهِ وَجِیْهًاؕ۶۹
[Al-Ahzab # 33: 69] “Ae logon Jo Imaan lãye ho! un Logon Ki Tarah na
ho jaao jinhone Musa ko takleef pahunchai To Allah ne use usse Pak saabit Kar
Diya jo unhone Kaha Tha aur woh Allah ke yahãn bahot martãbe wãla tha.”
Saiyyadna Abu hurairah (Razi Allahu anhu)
Bayaan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “Musa {(AS)Alehis Salam}
Barhe sharmile aur Satar Poshi Karne Wãle
aadmi the. Allah se sharm o Haya ki wajah se unke Jism Ka koi bhi (Qãbile
satar) hissa Dikhãi Naheen deta tha. Bani Israel ke baaz Logon Ne unko Satãya, Woh
Kahne Lage, Musa {(AS)Alehis Salãm} Jo Is qadar Apna Jism chupãte Hain To zarur
unmein Koi aeb hai, ya to baras hai ya Fatak hai ya phir Koi Aur Bimãri hai.
Allah Tãla ne Chãha ke Musa {(AS)Alehis Salãm} ki Be aebi Logon per zãhir ho jaaye to Ek Roz
Aisa ittifaaq Hua ke Musa {(AS)Alehis Salãm} (gusl ke Liye) alag hue. Unhone
Apne kapde Ek Pathar par rakhkar nahãna Shuru Kiya, Jab Naha Chuke aur Pathar
per se kapde Lene Lage to Pathar unke kapde Lekar Bhãg Pada. Musa {(AS)Alehis
Salãm} ne apni Lãthi Li aur Pathar Ke Pichhe yeh Kahte Hue Bhãge, Ae Pathar!
Mere kapde, Ae Pathar! Mere kapde,woh Pathar Bani Israel ki ek Majlis mein
jaakar ruk gaya aur Bani Israel ne Musa {(AS)Alehis Salãm} ko Barhãna dekh
liya. Unhone Dekha ke Allah ne Jo makhlooq paida ki hai usmein woh behtareen
Jism Wãle Hain. Algharz Allah Tãla ne Musa {(AS)Alehis Salãm} ko us Aib se Jo
woh Unki Taraf Mansoob Karte the, Bari Kar Diya. Saiyyadna Musa {(AS)Alehis
Salãm} ne Apne kapde Lekar Pahne aur Pathar ko aasa se maarna shuru Kiya. Allah
Ki qasam! Pathar mein Unki Maar se Nishaan Pad Gaye.Teen ya chaar ya Paanch.
Allah Tala ke mandar-Ja-Zail Farmaan mein isi Taraf Ishãra hai:
يَٰٓأَيُّهَاٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَكُونُواْ كَٱلَّذِينَ
ءَاذَوۡاْ مُوسَىٰ فَبَرَّأَهُ ٱللَّهُ مِمَّا قَالُواْۚ وَكَانَ عِندَ ٱللَّهِ
وَجِيهٗا
“Ae logon Jo Imaan Lãye Ho! un Logon Ki
Tarah na ho jaao jinhone Musa ko takleef pahunchai to Allah ne use usse Paak
saabit Kar Diya jo unhone Kaha Tha aur woh Allah ke yahãn bahot Martabe wãla
tha.” [Bukhari : 3404, Muslim 2371]
Saiyyadna Abdullah Bin Masood (Razi Allahu
anhu) Bayaan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne maal-e-ghanimat taqseem kiya,
To Ek Shakhs Kahne Laga, Is Taqseem se Allah Ki Raza Mandi Maqsood Naheen Hai.
Main ne Nabi (ﷺ) Ke Paas aaya aur aapse ye Baat Byaan ki, to aapko (Sakht) ghhussa
aagaya, Yahãn Tak ke main ne aapke Chehre per ghhusse ke Aasãr Pãe. Baharhaal
Bad-e-Aza aap (ﷺ) ne farmãya: “Allah Tãla Musa {(AS)Alehis Salãm} par Rahem
Kare, unko isse Bhi ziyãda takleef Di gai, Lekin unhone Sabar Kiya.” [Buqãri :
3405]
فَلَمَّا
زَاغُوْٓا اَزَاغَ اللّٰهُ قُلُوْبَهُمْ
Yãni Jab ilm Ke bawajud unhone ittabae Haq
se Muh Morh liya to Allah Tãla ne unke Dilon ko Hidayãt Qubool karne se teda
Kar Diya aur unmein shak, hairat aur zillat o ruswai Daal Di, Jaisa ke Irshãd
farmãya:
وَ نُقَلِّبُ اَفْـِٕدَتَهُمْ وَ اَبْصَارَهُمْ كَمَا لَمْ
یُؤْمِنُوْا بِهٖۤ اَوَّلَ مَرَّةٍ وَّ نَذَرُهُمْ فِیْ طُغْیَانِهِمْ یَعْمَهُوْنَ۠۱۱۰
[Al-An'am # 6: 110] “Aur ham unke Dilon
aur Unki Aankhon ko pher Denge, Jaise woh is par pahli baar Imaan Naheen lãe
aur unhe Chhorh Denge, apni sarkashi mein bhatakte phirenge.” aur Farmãya:
وَ مَنْ یُّشَاقِقِ الرَّسُوْلَ مِنْۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ
لَهُ الْهُدٰى وَ یَتَّبِعْ غَیْرَ سَبِیْلِ الْمُؤْمِنِیْنَ نُوَلِّهٖ مَا
تَوَلّٰى وَ نُصْلِهٖ جَهَنَّمَ١ؕ وَ سَآءَتْ مَصِیْرًا۠۱۱۵
[An-Nisa # 4: 115] “Aur Jo Koi Rasool ki
mukhalifat Kare, Iske bad ke iske liye Hidãyat khub wãzeh ho chuki aur momino
ke Raaste Ke Siva (Kisi Aur) ki pairvi Kare Ham use usi Taraf pher Denge Jis
Taraf woh phirega aur ham use jahannum mein jhokyenge aur woh Buri lautne ki
jagah hai.”
Ayat 6
وَ اِذْ قَالَ عِیْسَى ابْنُ مَرْیَمَ یٰبَنِیْۤ
اِسْرَآءِیْلَ اِنِّیْ رَسُوْلُ اللّٰهِ اِلَیْكُمْ مُّصَدِّقًا لِّمَا بَیْنَ یَدَیَّ
مِنَ التَّوْرٰىةِ وَ مُبَشِّرًۢا بِرَسُوْلٍ یَّاْتِیْ مِنْۢ بَعْدِی اسْمُهٗۤ
اَحْمَدُ١ؕ فَلَمَّا جَآءَهُمْ بِالْبَیِّنٰتِ قَالُوْا هٰذَا سِحْرٌ مُّبِیْنٌ۶
“Aur jab Esaa ibne
Mariyam ne Kaha Ae Bani Israel! Bila Shubah Main Tumhari Taraf Allah ka Rasool
Hoon, iski tasdeeq karne wala hun jo Mujhse pahle taurat Ki Surat mein hai aur
ek Rasool ki basharat dene wala hun, Jo Mere baad aayega, uska naam Ahmad hai. Phir
Jab wo unke pass Waze nishaniyan Lekar Aaya To unhone Kaha ya Khula Jadu Hai.”
Esaa {(AS)Alehis Salam} ne apne zamane ke Yahoodiyon
Se Kaha, Ae Bani Israel! main Nabi Banakar aur Injeel dekar Tumhari Hidayat ke
liye Bheja Gaya Hun. Main wahi Dawat Lekar Aaya hun jo taurat ki Dawat thi,
yani Ek Allah Ki Bandagi aur ghairon Ki Ibadat Ka inkar. Mere zariye Se taurat
ki tasdiq Yu bhi hoti hai ke Taurat mein Meri beysat ki Khabar maujood hai aur
ab main maboos ho chuka hun, to sabit Hua ke taurat Allah Ki Sachi Kitab hai
aur Main Tumhen Apne baad aane wale ek Rasool ki basharat deta hun Jinka Naam
Ahmad hoga. Yahoodiyon ne Esaa {(AS)Alehis Salam} ke tamam moujazat ka Mushahida karne ke bawajood
Unki takzeeb Kardi aur kaha ke ye Jo Kuchh Hamare Samne pesh kar raha hai Khula
Jadu Hai.
Saiyyadna Jubair Bin Muta’am (Razi
Allahu anhu) Bayan Karte Hain Ke maine Allah ke Rasool (ﷺ)
ko Farmate Hue suna: “Mere Kuchh naam hai, main Mohammad hun, main Ahmed hun,
main Mahi hun yani mitane wala, Allah Kufar ko mere zariye se mitaega, main
Hashir Hoon Ke Allah Ta’ala Sabko Hashr mein Mere baad jama Karega Aur Main Aaqib
(yani sab nabiyon ke baad aane wala) hun.” [Bukhari : 4896 Muslim : 2354]
Saiyyadna Abu Musa (Razi Allahu anhu) Bayan Karte
Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) Apne Kae Naam Hum se Byan Karte
The, Aap ne farmaya: “Main Mohammad hun, main Ahmed hun, main maqfi (yani aaqib)
hun, Main hashir Hoon, Main Nabi Al-to-bata aur Nabi Al-rahma hun.” [Muslim
2355]
Saiyyadna Abu Umama (Razi
Allahu anhu) Bayan Karte Hain maine arz ki, Ae Allah Ke Rasool! aapke mamle ki ibteda
kya hai (yani aapki ibtedai nishaniyan kya hai)? Aap ne farmaya: “Main Apne
Baap Ibrahim ki Dua hoon, Esaa ki basharat Hoon Aur meri Walda ne Khwab Dekha
ke unmein se ek Aisa Noor nikla jisse Shaam Ke Mehlaat Roshan Ho Gaye.” [Musalman
Ahmad 262/5.
Ayat 7
وَ مَنْ اَظْلَمُ مِمَّنِ افْتَرٰى عَلَى اللّٰهِ
الْكَذِبَ وَ هُوَ یُدْعٰۤى اِلَى الْاِسْلَامِ١ؕ وَ اللّٰهُ لَا یَهْدِی
الْقَوْمَ الظّٰلِمِیْنَ۷
“Aur us Shakhs Se
ziyãda zãlim kaun hai Jo Allah pãr Jhooth Bãndhe, Jab Ke use Islãm ki Taraf
Bulãya ja raha ho aur Allah zãlim Logon Ko Hidãyat Naheen deta.”
Is Ãyat-E-Karima mein mushrikeen aur yahood
o nasãra ke Kufr o Shirk Par shadeed nakeer ki gai hai ke Allah Tãla ne Nabi
Karim (ﷺ) ko Islãm Jaisa Deen barhaq dekar Duniya Mein bhej diya, Jisne haq o
bãtil ko wãze Kar Diya hai. Ab agar koi isse Aankh band kar le aur Allah Tãla
par Iftarah pardazi Kare to usse Bada zãlim Kaun Hoga? Ahle Kitaab ne Islãm
Qubool na karne ke Kai Bahãne bana Rakhe the, maslan Hum Kisi Nabi par Imaan
Naheen lãenge jab tak woh Aisi Qurbãni peish na Karen jise Aag Aakar kha Jaaye,
Jaisa ke Irshãd farmãya:
اَلَّذِیْنَ قَالُوْۤا اِنَّ اللّٰهَ عَهِدَ اِلَیْنَاۤ
اَلَّا نُؤْمِنَ لِرَسُوْلٍ حَتّٰى یَاْتِیَنَا بِقُرْبَانٍ تَاْكُلُهُ النَّارُ١ؕ
قُلْ قَدْ جَآءَكُمْ رُسُلٌ مِّنْ قَبْلِیْ بِالْبَیِّنٰتِ وَ بِالَّذِیْ
قُلْتُمْ فَلِمَ قَتَلْتُمُوْهُمْ اِنْ كُنْتُمْ صٰدِقِیْنَ۱۸۳ فَاِنْ كَذَّبُوْكَ فَقَدْ كُذِّبَ رُسُلٌ مِّنْ
قَبْلِكَ جَآءُوْ بِالْبَیِّنٰتِ وَ الزُّبُرِ وَ الْكِتٰبِ الْمُنِیْرِ۱۸۴
[Al Imrãn # 3: 183 &184] “Jinhone
Kaha beshak Allah ne Hamein tãkidi Hukum Diya hai ki Hum Kisi Rasool ki baat ka
yaqeen na Karen, Yahãn Tak ke woh hamãre paas Aisi Qurbãni lãe jise Aag khaa
jaaye, kah De beshak Mujhse pahle kai Rasool tumhãre paas Wãze Daleel Lekar
Aaye aur woh cheezen Lekar bhi Jo Tumne kahi hai, phir Tumne unhen Kyun Qatl
Kiya, agar tum sachche the. Phir Agar woh Tujhe Jhutlãe to beshak Kai Rasool Tujhse
pahle jhutlãe Gaye, Jo wãze Daleel aur Sahife aur Roshan Kitaab Lekar Aaye the.”
Ahle Kitaab Tauraat aur Injeel Mein Tahrif
Karke unko Apne mansha Aur maqsad Ke mutãbiq Dhaal lia Karte The, Jaisa ki
Irshãd farmãya:
وَ اِنَّ مِنْهُمْ لَفَرِیْقًا یَّلْوٗنَ اَلْسِنَتَهُمْ
بِالْكِتٰبِ لِتَحْسَبُوْهُ مِنَ الْكِتٰبِ وَ مَا هُوَ مِنَ الْكِتٰبِ١ۚ وَ یَقُوْلُوْنَ
هُوَ مِنْ عِنْدِ اللّٰهِ وَ مَا هُوَ مِنْ عِنْدِ اللّٰهِ١ۚ وَ یَقُوْلُوْنَ
عَلَى اللّٰهِ الْكَذِبَ وَ هُمْ یَعْلَمُوْنَ۷۸
[Al Imrãn # 3: 78] “Aur beshak un mein
se yaqinan Kuchh log Aise Hain Jo Kitaab (padhne) ke saath apni Zabãne Marodte
Hain, tãke Tum use Kitaab mein se Samjho, halãnke woh Kitaab mein se naheen aur
kahte Hain Yeh Allah ki taraf se hai, Halãnke woh Allah ki taraf se naheen aur
Allah par Jhooth Kahte Hain, Halãnke woh Jaante Hain.”
Ahle Kitaab Kahte the ki Jannat mein sirf
yahoodi ya nasrãni Jãenge, Musalmãn Jannat mein naheen Jãenge, lihãza kya
zarurat hai ke Islãm Qabool kiya jaaye? Jaisa ke Irshãd farmãya:
وَ قَالُوْا لَنْ یَّدْخُلَ الْجَنَّةَ اِلَّا مَنْ
كَانَ هُوْدًا اَوْ نَصٰرٰى١ؕ تِلْكَ اَمَانِیُّهُمْ١ؕ قُلْ هَاتُوْا
بُرْهَانَكُمْ اِنْ كُنْتُمْ صٰدِقِیْنَ۱۱۱
بَلٰى١ۗ مَنْ اَسْلَمَ وَجْهَهٗ لِلّٰهِ وَ هُوَ
مُحْسِنٌ فَلَهٗۤ اَجْرُهٗ عِنْدَ رَبِّهٖ١۪ وَ لَا خَوْفٌ عَلَیْهِمْ وَ لَا هُمْ
یَحْزَنُوْنَ۠۱۱۲
[Al-Baqarah # 2: 111 and 112] “Aur
unhone Kaha Jannat mein Hargiz dãkhil Naheen Honge magar jo yahoodi Honge ya
nasãra. yeh Unki Aarzooen hi hain, kah De lão apni Daleel, agar tum sachche ho.
Kyun Naheen, Jisne Apna Chehra Allah keTãbe kar diya aur woh Neki karne wãla ho
to uske liye uska Ajr Uske Rab ke paas hai aur na un par Koi khauf hai aur Na
woh Ghamgeen Honge.”
Ãyat 8
یُرِیْدُوْنَ لِیُطْفِـُٔوْا نُوْرَ اللّٰهِ
بِاَفْوَاهِهِمْ وَ اللّٰهُ مُتِمُّ نُوْرِهٖ وَ لَوْ كَرِهَ الْكٰفِرُوْنَ۸
“Woh Chãhte Hain
ke allah ke noor ko Apne Munho ke saath Bujha De aur Allah Apne Noor ko pura
karne wãla hai, agarche ke kafir log napasand Karen”
Is Ãyat mein unhin adae Deen Yahood nasåra
aur Mushrikeen quresh ke bare mein Allah Tåla ne farmãya ke yeh log Allah Ke
Chiraaghh ko apni phoonkon se bujhãna Chãhte Hain. Qurãn Karim ko Jãdu aur mere
Nabi (ﷺ) ko Jãdugar Kahte Hain. To Jaan Le Ke yeh kãfiro Ki khawãhish ke Ali Al
Ragam (Regardless) Unki Kham khayãli hai. Allah ke noor ko shama ki Mãnind
phoonko se naheen Bujhãya Ja Sakta, yeh to woh Noor hai Jise Allah Tãla Puri Duniya mein phailakar
rahega. Allah ke noor se Murãd Noor Hidãyat yãni Deen Islãm hai, Jaisa ke
Irshãd farmãya:
اَفَمَنْ شَرَحَ اللّٰهُ صَدْرَهٗ لِلْاِسْلَامِ فَهُوَ
عَلٰى نُوْرٍ مِّنْ رَّبِّهٖ١ؕ فَوَیْلٌ لِّلْقٰسِیَةِ قُلُوْبُهُمْ مِّنْ ذِكْرِ
اللّٰهِ١ؕ اُولٰٓىِٕكَ فِیْ ضَلٰلٍ مُّبِیْنٍ۲۲
[Az-Zumar # 39: 22] “To Kya Wo Shakhs
Jiska Sena Allah ne Islãm ke liye khol diya hai, So woh Apne Rab ki taraf se Ek
Roshni par hai (Kisi sakht Dil kãfir Jaisa ho sakta hai?) bas unke liye Halåkat
hai Jinke Dil Allah Ki Yaad ki taraf se sakht hain, yeh log Sarih gumråhi mein
hain.”
Kãfiron ne bahot koshish ki ke deen Islåm
ko nest-o-nãboot karde lekin Unki koshish bekaar Gayi. Allah ne apne Noor ko ghãlib
karne ka Jo Vaada Kiya Tha use pura Kar Diya, Jaisa ke irshãd farmãya:
اَلْیَوْمَ اَكْمَلْتُ لَكُمْ دِیْنَكُمْ وَ اَتْمَمْتُ
عَلَیْكُمْ نِعْمَتِیْ وَ رَضِیْتُ لَكُمُ الْاِسْلَامَ دِیْنًا١ؕ
[Al-Ma'idah # 5: 3] “Aaj maine Tumhãre
Liye Tumhãra Deen Kãmil Kar Diya Aur Tum Par apni neymat Puri kar di aur
Tumhãre Liye Islãm Ko deen ki haisiyat se Pasand Kar Liya.”
Ãyat 9
هُوَ الَّذِیْۤ اَرْسَلَ رَسُوْلَهٗ بِالْهُدٰى وَ دِیْنِ
الْحَقِّ لِیُظْهِرَهٗ عَلَى الدِّیْنِ كُلِّهٖ وَ لَوْ كَرِهَ الْمُشْرِكُوْنَ۠۹
“Wahi hai Jisne
Apne Rasool ko Hidãyat Aur Deen Haq ke saath bheja, tãke use Tamaam Deenon par Ghãlib
kar de, Agarche mushrik log napasand Karen”
Is aayat mein farmãya ke Allah ne Apne
Rasool (ﷺ) ko Qurãn Aur Deen Islãm ke saath bheja hai aur uska Faisla Hai ke
woh deen Islãm ko mushrikeen Ki khwãhish Ke Ali Al Ragam (Regardless) Duniya Ke
Tamam adyan o mazãhib pãr ghãlib Karega, Jaisa ke Allah Tãla Ne Irshãd farmãya:
یُرِیْدُوْنَ اَنْ یُّطْفِـُٔوْا نُوْرَ اللّٰهِ
بِاَفْوَاهِهِمْ وَ یَاْبَى اللّٰهُ اِلَّاۤ اَنْ یُّتِمَّ نُوْرَهٗ وَ لَوْ
كَرِهَ الْكٰفِرُوْنَ۳۲ هُوَ الَّذِیْۤ اَرْسَلَ رَسُوْلَهٗ بِالْهُدٰى وَ دِیْنِ
الْحَقِّ لِیُظْهِرَهٗ عَلَى الدِّیْنِ كُلِّهٖ١ۙ وَ لَوْ كَرِهَ
الْمُشْرِكُوْنَ۳۳
[At-Tawbah # 9: 32 & 33] “Woh Chãhte
Hain Ke Allah ke noor ko Apne Munho se Bujha de aur Allah Naheen maanta Magar
yeh ke apne Noor ko pura Karen, khuwãh Kãfir log Bura Jaane. wahi hai Jisne
Apna Rasool Hidãyat Aur Deen Haq De kar bheja, tãke use Har deen par ghãlib kar
de, Khuwãh mushrik log Bura Jaane.”
Saiyyadna Abu hurairah (Razi Allahu anhu)
Bayaan Karte Hain Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “Meri aur dusre
Paighhambaro ki Misaal, Jo Mujhse pahle guzre Hain, aisi hai Jaise Kisi Shakhs
Ne Ek Ghar Banãya aur uski zaibãish-o-aaraish ki, lekin Uske kono mein se Kisi
Ek Kone mein Ek eent ki jagah Chhorh De, log (usmein dãkhil hue) aur use ghoom
phir kar Chãro Taraf Se Dekhne Lage to unhen woh imãrat bahot pasand aai, Tãham
woh Kahne Lage ki yeh Ek eent Yahãn Kyun Naheen Rakh Di gai? Nabi (ﷺ) ne
farmãya main wahi eent hun aur main khãtam-ul Nabiyeen hun.” [Buqari 3535,
Muslim 2286]
Saiyyadna Abu hurairah (Razi Allahu anhu)
Bayan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya : Us zaat Ki qasam Jiske
Haath Mein Mohammed (ﷺ) Ki Jaan Hai! is ummat mein se koi bhi Shakhs khuwa woh
yahoodi ho ya nasrãni (ya Kisi Aur mazhab ka Pairon Kar) woh mere mutãliq Sune
Aur meri lãi Hui shariyat par imaan lãe baghair mar Jaaye to woh dozakhi hai.” [Muslim
153]
Ãyat 10 to 13
یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا هَلْ اَدُلُّكُمْ
عَلٰى تِجَارَةٍ تُنْجِیْكُمْ مِّنْ عَذَابٍ اَلِیْمٍ۱۰ تُؤْمِنُوْنَ
بِاللّٰهِ وَ رَسُوْلِهٖ وَ تُجَاهِدُوْنَ فِیْ سَبِیْلِ اللّٰهِ بِاَمْوَالِكُمْ
وَ اَنْفُسِكُمْ١ؕ ذٰلِكُمْ خَیْرٌ لَّكُمْ اِنْ كُنْتُمْ تَعْلَمُوْنَۙ۱۱ یَغْفِرْ لَكُمْ ذُنُوْبَكُمْ وَ یُدْخِلْكُمْ جَنّٰتٍ
تَجْرِیْ مِنْ تَحْتِهَا الْاَنْهٰرُ وَ مَسٰكِنَ طَیِّبَةً فِیْ جَنّٰتِ عَدْنٍ١ؕ
ذٰلِكَ الْفَوْزُ الْعَظِیْمُۙ۱۲ وَ اُخْرٰى
تُحِبُّوْنَهَا١ؕ نَصْرٌ مِّنَ اللّٰهِ وَ فَتْحٌ قَرِیْبٌ١ؕ وَ بَشِّرِ
الْمُؤْمِنِیْنَ۱۳
“Ae logon Jo Imaan Lãe Ho kya Main Tumhãri
Aisi Tijãrat ki taraf rahnumãi Karun Jo Tumhen dardnaak Azaab se bacha le? Tum
Allah aur uske Rasool par Imaan lão aur apne maalon aur apni janon ke saath
Allah Ki Rah mein Jihãd karo, yeh Tumhãre Liye behtar hai agar tum jaante ho.
Woh Tumhen Tumhãre Gunaah maaf kar dega aur Tumhen Aise Bãghhon Mein dãkhil
Karega Jinke Niche Se Nehre Bahhti hain aur Rahne ki Pakiza jagãhon mein jo
Hamesha Rahne ke Bãghhon mein hai, yahi bahot badi kãmyãbi hai. Aur ek aur
cheez Jise Tum Pasand Karte Ho Allah ki taraf se madad aur qareeb fatah hai aur
Imaan Wãlon Ko khush khabri Suna De.”
Pahli Aayate kareema Mein Allah Ta’ala Ne
Aamaal saleh ko amwaal Tijãrat se tashbi Di hai, isliye ke Jis Tarah Tijãrat se
Nafa Haasil hota hai, isi Tarah Aamaal saleh Dhakhool Jannat aur Azab e naar se
nijaat ka sabab hote hain, Yãni Agar woh Allah aur uske Rasool par Haqiqi Imaan
Rakhenge aur Allah Ki Rãh mein Apne amwaal aur apni janon ke zariya se Jihãd
Karenge to unke yeh kaam Maal wa Anjaam ke Aitbaar se unke liye bahot hi nafe
Honge. Allah Tãla unke Gunãhon ko maaf kar denge aur unhen un Jannato mein dãkhil
Karega Jinke niche Nahre jari hongi, Buland o bala makãnaat aata Karega jin
Mein woh Hamesha Rahenge. Haqiqat Mein Ek Insaan Ki Yahi Sabse Badi kãmyãbi Hai
Ki uska Rab Uske Gunãhon ko maaf kar de aur use Jannat mein dãkhil kar de.
mazkura neymãton ke alãva Allah Tãla Ek Aur neymat Dega Jise Tum Pasand Karte
Ho, woh yeh Ke Tum Makka ko fatah Karoge aur uske baad aas paas ke Deegar
shahron aur ilãqon ko bhi fatah Karoge aur Allah Ki Nusrat o tãeed tumhare
saath Hogi. Aayat ke Aakhir Mein farmãya Ke Mere Nabi! aap momino ko khush khabri
de dijiye ke Allah ne Unse Jo Vada Kiya hai woh pura hokar Rahega.
تُنْجِيْكُمْ مِّنْ عَذَابٍ اَلِيْمٍ
Yãni Jab jihãd ki zarurat ho aur Jihãd ke liye Bulaya
Jaaye to Jo Shakhs Jihãd se pehlu tai Karen woh dardnaak azaab ka mustahiq
hai, Jaisa ke Irshãd farmãya:
یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا مَا لَكُمْ اِذَا قِیْلَ
لَكُمُ انْفِرُوْا فِیْ سَبِیْلِ اللّٰهِ اثَّاقَلْتُمْ اِلَى الْاَرْضِ١ؕ اَرَضِیْتُمْ
بِالْحَیٰوةِ الدُّنْیَا مِنَ الْاٰخِرَةِ١ۚ فَمَا مَتَاعُ الْحَیٰوةِ الدُّنْیَا
فِی الْاٰخِرَةِ اِلَّا قَلِیْلٌ۳۸ اِلَّا
تَنْفِرُوْا یُعَذِّبْكُمْ عَذَابًا اَلِیْمًا١ۙ۬ وَّ یَسْتَبْدِلْ قَوْمًا غَیْرَكُمْ
وَ لَا تَضُرُّوْهُ شَیْـًٔا١ؕ وَ اللّٰهُ عَلٰى كُلِّ شَیْءٍ قَدِیْرٌ۳۹
[At-Tawbah # 9: 38-39] “Ae Logon Jo
Imaan Lãe Ho! Tumhen kya hai ki Jab Tumse Kaha jata hai ke Allah Ke Raaste Mein
niklo to Tum zameen ki taraf nihaayat bhojal Ho Jaate Ho? kya tum Aakhirat ke
muqãbile Meiln Duniya Ki zindagi per khush ho gaye ho? to duniya ki zindagi ka
sãmaan Aakhirat ke muqãbile Mein Naheen Hai Magar bahot thoda. Agar Tum Na
nikaloge to wo Tumhen dardnaak Azaab dega aur Badal kar Tumhãre alãva aur log
Le aayega aur tum uska Kuchh nuqsaan Na Karoge aur Allah Har cheez par Puri
Tarah qãdir hai.” aur farmãya:
قُلْ اِنْ كَانَ اٰبَآؤُكُمْ وَ اَبْنَآؤُكُمْ وَ
اِخْوَانُكُمْ وَ اَزْوَاجُكُمْ وَ عَشِیْرَتُكُمْ وَ اَمْوَالُ اِ۟قْتَرَفْتُمُوْهَا
وَ تِجَارَةٌ تَخْشَوْنَ كَسَادَهَا وَ مَسٰكِنُ تَرْضَوْنَهَاۤ اَحَبَّ اِلَیْكُمْ
مِّنَ اللّٰهِ وَ رَسُوْلِهٖ وَ جِهَادٍ فِیْ سَبِیْلِهٖ فَتَرَبَّصُوْا حَتّٰى یَاْتِیَ
اللّٰهُ بِاَمْرِهٖ١ؕ وَ اللّٰهُ لَا یَهْدِی الْقَوْمَ الْفٰسِقِیْنَ۠۲۴
[At-Tawbah # 9: 24] “kah De Agar Tumhãre
Baap aur Tumhãre bete aur Tumhãre bhãi aur Tumhãri biwiyaan aur Tumhãra khãndaan
aur woh amwaal jo tumne kamae hain aur woh Tijãrat Jiske Mãnda padne se tum
darte ho aur Rehne ke Makãnaat jinhen Tum Pasand Karte Ho, Tumhen Allah aur
uske Rasool aur uski Rãh Mein Jihãd Karne Se ziyãda Mahboob Hai To Intezaar
karo, Yahãn Tak ke Allah Apna Hukum Le Aaye Aur Allah nafarmaan Logon Ko
Hidãyat Naheen deta.”
Saiyyadna Abu hurairah (Razi Allahu anhu)
Bayaan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) Ne farmåya “Kãfir aur usko qatal karne
wãla jahannam ki aag Mein Kabhi ikhatthe Naheen Honge.” [Muslim 1891]
Saiyyadna Abu hurairah (Razi Allahu anhu)
Bayan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) Ne farmãya “Donon jahannum Mein Is
Tarah ikhatthe Naheen Honge ki ek dusre ko nuqsaan pahuncha Den.” Logon Ne arz
ki woh Kaun log Hain Ya Allah ke Rasool? Aap Ne farmãya “Jo Musalman Kisi Kãfir
ko qatal Kare, phir neki par qãyam Rahe.”[Muslim 1891]
تُؤْمِنُوْنَ
بِاللّٰهِ وَرَسُوْلِهٖ وَتُجَاهِدُوْنَ فِيْ سَبِيْلِ اللّٰهِ بِاَمْوَالِكُمْ
وَاَنْفُسِكُمْ ۭ ذٰلِكُمْ خَيْرٌ لَّكُمْ اِنْ كُنْتُمْ تَعْلَمُوْنَ
Irshãd farmãya:
اِنَّمَا الْمُؤْمِنُوْنَ الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا
بِاللّٰهِ وَ رَسُوْلِهٖ ثُمَّ لَمْ یَرْتَابُوْا وَ جٰهَدُوْا بِاَمْوَالِهِمْ وَ
اَنْفُسِهِمْ فِیْ سَبِیْلِ اللّٰهِ١ؕ اُولٰٓىِٕكَ هُمُ الصّٰدِقُوْنَ۱۵
[Al-Hujurat # 49: 15] “Momin to vahi hai jo Allah aur uske Rasool par
Imaan lãe, phir unhone shak naheen kiya aur unhone apne maalon aur apni jaanon
ke saath Allah Ki rãh mein jihãd Kiya. Yahi log sachche hain” aur farmãya:
اِنَّ اللّٰهَ اشْتَرٰى مِنَ الْمُؤْمِنِیْنَ
اَنْفُسَهُمْ وَ اَمْوَالَهُمْ بِاَنَّ لَهُمُ الْجَنَّةَ١ؕ یُقَاتِلُوْنَ فِیْ
سَبِیْلِ اللّٰهِ فَیَقْتُلُوْنَ وَ یُقْتَلُوْنَ١۫ وَعْدًا عَلَیْهِ حَقًّا فِی
التَّوْرٰىةِ وَ الْاِنْجِیْلِ وَ الْقُرْاٰنِ١ؕ وَ مَنْ اَوْفٰى بِعَهْدِهٖ مِنَ
اللّٰهِ فَاسْتَبْشِرُوْا بِبَیْعِكُمُ الَّذِیْ بَایَعْتُمْ بِهٖ١ؕ وَ ذٰلِكَ
هُوَ الْفَوْزُ الْعَظِیْمُ۱۱۱ اَلتَّآىِٕبُوْنَ
الْعٰبِدُوْنَ الْحٰمِدُوْنَ السَّآىِٕحُوْنَ الرّٰكِعُوْنَ السّٰجِدُوْنَ
الْاٰمِرُوْنَ بِالْمَعْرُوْفِ وَ النَّاهُوْنَ عَنِ الْمُنْكَرِ وَ الْحٰفِظُوْنَ
لِحُدُوْدِ اللّٰهِ١ؕ وَ بَشِّرِ الْمُؤْمِنِیْنَ۱۱۲
At-Tawbah # 9: 111-112] “Beshak Allah ne momino se Unki
Jaane aur unke amwaal khareed liye hain Iske Badle ke yaqinan unke Liye Jannat
Hai woh Allah Ke Raaste Mein ladte Hain bas qatal karte hain aur qatal kiye
Jaate Hain, Ya tauraat aur injeel aur qurãn Mein uske zimme pakka wãda hai aur
Allah se ziyãda Apna Wãda pura karne wãla Kaun Hai? To Apne is saude par khoob khush
ho jão Jo Tumne usse kiya hai aur Yahi bahot badi kãmyãbi hai. (woh momin)
Tauba Karne Wãle, Ibãdat Karne Wãle, Hamd Karne Wåle, Roza rakhne wãle, ruku
Karne Wãle, Sajda Karne Wãle, neki Ka Hukum Dene Wãle, Burãi Se Mana Karne Wãle
aur Allah Ki Hadon Ki Hifãzat Karne Wale Hain aur un momino ko khush khabri de
do.”
Saiyyadna Abu hurairah (Razi Allahu anhu)
Bayaan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) Ne farmãya: “Logon Mein Se behtareen
Zindagi us Shakhs ki Hai Jo Jihãd Mein Apne Ghode Ki Peeth par Baitha Lagaam
thãme Hue dauda Phirta Hai. Jab Kisi taraf se hamle Ka Shor ya ghabrãhat ki
ãwaaz Sunta Hai To us Taraf Daud padta hai, woh Maut ko Maut Ki waadiyon Mein
Talaash Karta Phirta Hai.” [Muslim 1889]
Saiyyadna Abu hurairah (Razi Allahu anhu)
Bayaan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) Ne farmãya: “Jis Shakhs Ne Allah Tãla
ke Raaste Mein Jihãd Kiya aur woh Apne Ghar Se sirf Allah Ki Rãh mein Jihãd
karne aur uske ahkaam ki tasdeeq ke liye Nikãla, To Allah Tãla zamãnat deta hai
ki ya to usko Jannat mein dãkhil karega, ya Ajr-o-Ghanimat ke saath use Uske
Ghar ki taraf Lautaaega.” [Bukhãri 7463, Muslim 1876]
نَصْرٌ
مِّنَ اللّٰهِ وَفَتْحٌ قَرِيْبٌ
Yãni Jab Tum Uske Raaste Mein Jihãd Karoge aur uske Deen Ki madad Karoge
To Tumhãri fatah o Nusrat ka Allah Tãla Zãmin Hai, Jaisa ke Irshãd farmãya:
یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْۤا اِنْ تَنْصُرُوا
اللّٰهَ یَنْصُرْكُمْ وَ یُثَبِّتْ اَقْدَامَكُمْ۷
[Muhammad # 47: 7] “Aae Logon Jo Imaan Lãe
Ho agar tum Allah Ki madad Karoge To woh Tumhãri madad Karega aur Tumhãre qadam
Jama dega.” aur farmãya:
وَ لَیَنْصُرَنَّ اللّٰهُ مَنْ یَّنْصُرُهٗ١ؕ اِنَّ
اللّٰهَ لَقَوِیٌّ عَزِیْزٌ۴۰
[Al Ḥajj # 22: 40] “Aur Yaqinan Allah
zarur uski madad Karega Jo uski madad Karega, beshak Allah Yaqeenan bahot
quwwat wãla, Sab par ghãlib hai.”
Ãyat 14
یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا كُوْنُوْۤا اَنْصَارَ
اللّٰهِ كَمَا قَالَ عِیْسَى ابْنُ مَرْیَمَ لِلْحَوَارِیّٖنَ مَنْ اَنْصَارِیْۤ
اِلَى اللّٰهِ١ؕ قَالَ الْحَوَارِیُّوْنَ نَحْنُ اَنْصَارُ اللّٰهِ فَاٰمَنَتْ
طَّآىِٕفَةٌ مِّنْۢ بَنِیْۤ اِسْرَآءِیْلَ وَ كَفَرَتْ طَّآىِٕفَةٌ١ۚ فَاَیَّدْنَا
الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا عَلٰى عَدُوِّهِمْ فَاَصْبَحُوْا ظٰهِرِیْنَ۠۱۴
“Ae logon Jo Iman Lãe
Ho Allah Ke madadgaar Ban jão, Jis Tarah Esa ibne Mariyam Ne Hawãriyon Se Kaha
Allah Ki Taraf Mere madadgaar Kaun Hai? Hawãriyon Ne Kaha Ham Allah Ke madad
Gar Hain. To Bani Israel mein se ek giroh Iman le aaya aur ek giroh ne kufr
Kiya, phir Hãmne un Logon Ki Jo imaan lãye The unke dushmanon ke khilãf madad
ki to woh ghãlib Ho Gaye”
Is ãyate Karima mein Allah Tãla ne apne
Momin bando ko Hukum Diya Hai Ke woh Har Haal Mein Apni Jano, Apne maalo aur
apne Aqwaal o Afwaal ke zariye se is Deen Haq ki madad Karte Rahe Jise Allah
Tãla ne apni tait wa Bandagi ke liye nãzil Kiya Hai, Jaise Esa {(AS)Alehis
Salãm} ke Hawãriyo Ne Unki ãwaaz per labbaik Kaha, Dãwat ali allah ke kam Mein
Unka Saath Diya aur Unse apni Jaano ki Qurbãni Dene Ka Vada Kiya, isi Tarah woh
bhi Allah aur uske Rasool ka Har Tarah Se saath dene ke liye taiyyãr Rahe. Jab
Hawariyo Ne Esa {(AS)Alehis Salãm} Se Kaha ke aapki Dãwat Logon Tak pahunchãne
ke liye Ham aapki madad Karenge to Esa {(AS)Alehis Salãm} Ne unhen Israeliyun
ke paas tauheed ki Dãwat ke saath bheja. Hamãre Rasool (ﷺ) bhi Hajj Ke Dino
Mein isi Tarah kahan Karte The, Jaisa ke Saiyyadna jãbir Bin Abdullah (Razi
Allahu anhu) Bayaan Karte Hain Ke (ibtedãi beysat ke Dino mein) Allah ke Rasool
(ﷺ) Maidãn e Arãfåt Mein apne aap ko (yãni apni Dawat ko) Logon Ke Samne pesh
Karte The aur Kahte the: “Suno! Koi Mujhe Apni qaum ki taraf Le Jaaye, bila
Shubah quraish Ne Mujhe! Apne Rab ka paighhãm pahunchane Se rok Diya Hai.” [Abu
Dawood 4734]
Chunãnche Allah Tãla Ne Unki madad ke liye
Madeena ke Ous-Wa-Khazraj qabeele Wãlon ke Dilo ko Musakhar kar diya. unhone
aapke Hath per bait ki, aapki madad ki aur kaha ke agar aap hijrat Karke
Madeena aa Jãenge to ham har Tarah Se aapka difa Karenge, Jab aap wahãn pahunch
gaye to unhone Apna wãda pura Kiya. isiliye Allah aur uske Rasool Ne unhen
“ansaar” Ka laqab diya jo Unka Naam ban gaya Jaisa ke Saiyyadna Zaid bin Arkam
(Razi Allahu anhu) Bayaan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) Ne farmãya: “Ae
Allah! Ansaar ko bakhsh de, ansaar ke beto ko bakhsh de, aur anusar ke poto ko
(bhi bakhsh De).” [Muslim 2506]
Saiyyadna Ibne Azib(Razi Allahu anhu)
Bayaan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) Ne farmãya: “Ansaar
Se Sivãe momin ke Koi Dosti Nahin rakhega aur Unse Sivãe munãfiq ke Koi
Dushmani Naheen rakhega, so Jo Koi ansaar Se Mohabbat Kare Allah bhi usse
Mohabbat Karega aur Jo Koi ansaar se Dushmani karen to Allah bhi usse Dushmani
Karega.” [Bukhãri 3783]
فَاَيَّدْنَا
الَّذِيْنَ اٰمَنُوْا عَلٰي عَدُوِّهِمْ فَاَصْبَحُوْا ظٰهِرِيْنَ
Saiyyadna Imran Bin Hussain (Razi Allahu
anhu) bayaan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) Ne farmãya: “Meri ummat ka ek
giroh Hamesha haq ke liye qatal Karta Rahega aur woh apne muqãbil Aane Wãlon
per Ghãlib Rahenge, Hatta Ke Unka Aakhri ghiro maseh Dajjãl se Ladãi Karega.” [Abu
Dawood 2484, Musnad Ahmad 434/4, 19918]
Saiyyadna tameem Dari (Razi Allahu anhu)
Bayaan Karte Hain Ki Maine Allah ke Rasool (ﷺ) ko farmãte Hue Suna: “Bila
Shubah yeh deen wahãn tak zarur bazarur pahunch kar rahe ga jahãn tak Din Aur
Raat Ki Rasaai hai aur Allah Tãla Kisi Mitti Aur gare Ke Makaan Ko Naheen
chhorhega ke usmein is Deen Ko dãkhil na kar de. khavah koi Izzat Ke Saath
qubool Karen ya zillat ke saath, Islãm aur Ahle Islãm ko Allah Tãla Izzat De
kar rahega Aur kufr Ko zaleel o khuwãr kar ke Rahega.” [Musnad Ahmad 16959]
…………………………………………………
No comments:
Post a Comment