Surah Al-Nãs(114)
Aayat
1 to 6
قُلۡ أَعُوذُ بِرَبِّ ٱلنَّاسِ
١ مَلِكِ ٱلنَّاسِ ٢ إِلَٰهِ ٱلنَّاسِ ٣ مِن شَرِّ ٱلۡوَسۡوَاسِٱلۡخَنَّاسِ ٤ ٱلَّذِي
يُوَسۡوِسُ فِي صُدُورِ ٱلنَّاسِ ٥ مِنَٱلۡجِنَّةِ وَٱلنَّاسِ ٦
“Tu keh main panãh pakadta hoon
logo ke Rab ki. Logon ke bãdshãh ki. Logon ke mãbood ki. Waswasa
dãlne wãle ke shar se, jo
hat hat kar aane wãla hai. Woh jo logon ke
seeno mein waswasa dãlta hai. Jinno aur
insaanon mein se.”
Allah Tãla ne farmãya, ae mere Nabi!
aap keh dijiye ke main logon ke Rab ki janab mein logon ke shãh haqeeqi ki
janab mein, logon ke tanha mãbood ki janab mein panãh leta hoon logon
ke seeno mein waswasa paida karne wãle shaitãn ke shar se. us
shaitãn ki sifat yeh hai ke aadmi jab apne Rab ki yaad se ghhãfil hota hai to
woh uske dil mein waswasa paida karta hai, aur jab ghhaflat se chookna hota hai
aur apne Rab ko yaad karta hai to woh shaitãn fauran peechhe
hat jãta hai aur chhup jãta hai. Woh shaitãn jinno mein se
bhi hota hai aur insaanon mein se bhi. Irshãd farmãya:
وَإِمَّا يَنزَغَنَّكَ مِنَ
ٱلشَّيۡطَٰنِ نَزۡغٞ فَٱسۡتَعِذۡ بِٱللَّهِۚ إِنَّهُۥ سَمِيعٌ عَلِيمٌ ٢٠٠
“Aur agar kabhi shaitãn ki taraf se koi
uksãhat tujhe ubhãr hi de to Allah
ki panãh talab kar, beshak woh sab kuchh sunne wãla, sab kuchh jãnne wãla hai.” [Al-A'raf #
7: 200]
مِن
شَرِّ ٱلۡوَسۡوَاسِٱلۡخَنَّاسِ
Saiyyadna Abu huraira (Razi Allahu anhu)
bayãn karte hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “jab namãz ke liye azaan
hoti hai to shaitãn goz mãrta huwa tezi ke
saath peeth mod kar door bhag jãta hai, tãke woh azaan ki ãwaaz na sun sake
aur jab azaan mukammal ho jãti hai to wãpas aa jãta hai, lekin jab
namãz ke liye aqãmat hoti hai, to woh phir peeth mod kar bhãg jãta hai. Jab aqãmat mukammal hoti
hai to wãpas aakar aadmi ke dil mein khayãlãt dãlna shuru kar
deta hai. Kehta hai ke falãn cheez yaad kar, falãn cheez yaad kar,
woh cheezen jo use yaad nahin thi, yahãn tak ke aadmi ki
hãlat yeh ho jãti hai ke use yeh bhi mãloom nahin hota
ke usne kitni namãz padhi?” [Bukhãri 608]
Saiyyadna Ali bin hussain (Razi Allahu
anhuma) bayãn karte hain ke ummul momineen Saiyyada safiya (Razi Allahu anha) ne
unko khabar di ke woh ramzãn ke aakhri ashre mein jab Rasool kareem (ﷺ) ehtekãf mein bhaithe
huwe the, aap (ﷺ) se milne masjid mein aae, thodi der tak baaten ki. Phir wãpas hone ke liye
khadi huwi to Allah ke Rasool (ﷺ) bhi unke saath khade huwe, jab masjid ke darwãze ke qareeb
pahunche, jahãn ummul momineen umme Salma (Razi Allahu anha) ka darwãza tha, to waha
do ansãri sãhabi mile. Unhone Allah ke Rasool (ﷺ) ko salãm kiya aur tezi
se aage guzar gae, aap ne farmãya: “Zara thaher jão, yeh (meri
biwi) safiya bin hayi hai.” Woh kehne lage, Subhãn Allah ! ya Allah
ke Rasool! Aapka yeh farmãn un par shaq guzra. Aap ne farmãya: “Shaitãn aadmi ke jism
mein khoon ki tarah daudta rehta hai, main dara ke kaheen tumhãre dil mein koi
waswasa na daal de.” [Bukhãri 2035, Muslim
2175]
Saiyyadna Jãbir bin Abdullah
(Razi Allahu anhuma) bayãn karte hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “Iblis apna
takht paani par rakhta hai, phir apne daste rawãna karta hai, to
un mein se martabe ke lehãz se uske sab se ziyãda qareeb woh
hota hai jo un mein sabse bada fitna barpa karta hai. Unmein se ek aata hai aur
kehta hai, maine yeh kiya, iblis kehta hai, tune kuchh nahin kiya. Phir unmein
se koi aata hai aur kehta hai, maine aadmi ko us waqt tak nahin chhorha jab tak
ke uske aur uski biwi ke darmiyãn judãi na karãdi, to iblis usko
apne qareeb karta hai, use gale se lagãta hai aur kehta
hai, haan tune (wãqai bahot bada) kãrnãma sar anjaam
diya hai.” [Muslim 2813]
Saiyyadna Abdullah bin masood (Razi Allahu
anhu) bayãn karti hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “Tum mein se
har shakhs ke saath Allah Tãla ne jinno mein se uska ek saathi (yãni ek shaitãn) muqarrar kar
diya hai.” Logon ne kaha, Ae Allah ke Rasool! Kya aapke saath bhi? Aapne farmãya: “haan! Lekin
Allah Tãla ne uske muqãble mein meri madad farmãi hai. So woh
mutai hogaya hai, isliye woh mujhe neki aur achchhãi hi kehta rehta
hai.” [Muslim 2814]
Shaitãn insaan ke dil
par parda dãle rakhta hai, jab insaan sahu o ghhaflat mein mubtela ho jãe to woh waswasa
paida karne lag jãta hai aur jab insaan Allah Tãla ka zikr karne
lag jãe to wo peechhe hat jãta hai. Un waswaso par agar amal na kiya jãe to yeh qãbil muakhaza nahin hai, Saiyyadna Abu huraira (Razi Allahu anhu)
bayãn karte hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “beshak Allah
Tãla ne meri khãtir meri ummat ke seeno mein paida hone wãle waswase maaf
farma diye hai. Jab tak woh (un par) amal na kare, ya munh se na nikãle.” [Bukhãri 2528, Muslim
127]
Saiyyadna Abu huraira (Razi Allahu anhu)
bayãn karte hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “Shaitãn tum mein se
kisi ek ke paas aata hai aur usse kehta hai, yeh cheez kisne paida ki? Wo kisne
paida ki? Yahãn tak ek woh kehta hai, Allah ko kisne paida kiya? To jab shaitãn kisi shakhs ke
dil mein aisa waswasa dãle to aise shakhs ko chãhiye ke woh
fauran Allah Tãla se panãh talab kare aur shaitãni khayãl se baaz rahe.”
[Bukhãri 3276, Muslim 134]
Saiyyadna Abu huraira (Razi Allahu anhu)
bayãn karte hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “log hamesha
ek doosre se poochhte rahenge (ke falãn cheez kisne
paida ki, falãn cheez kisne paida ki) hatta ke kaha jãega, Allah ne to
sab ko paida kiya, Allah ko kisne paida kiya? To jo koi is qism ka waswasa dil
mein paae to kahe: ((Aamantu Billah)) “Main Allah par imaan lãya.” [Muslim
134]
Saiyyadna jãbir bin Abdullah
(Razi Allahu anhuma) bayãn karte hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “Jab tum mein
se kisi ko koi aurat achchhi lage aur uska khayãl dil mein jagah
ho jãye, to use chãhiye ke apni biwi ke paas aae, usse jima
kare, kyunke aisa karne se uske dil ka khayãl khatam hojãyega.” [Muslim
1403]
مِنَٱلۡجِنَّةِ
وَٱلنَّاسِ
Yãni jinke dilon
mein shaitãn waswase dãlta hai, woh jin bhi aur insaan bhi, yeh
bhi kaha gaya hai ke jo logon ke dilon mein waswase dãlta hai woh shayãteen insaanon aur
jinno dono mein se hai, jaisa ke irshãd farmãya:
وَكَذَٰلِكَ جَعَلۡنَا
لِكُلِّ نَبِيٍّ عَدُوّٗا شَيَٰطِينَ ٱلۡإِنسِ وَٱلۡجِنِّ يُوحِي بَعۡضُهُمۡ
إِلَىٰ بَعۡضٖ زُخۡرُفَ ٱلۡقَوۡلِ غُرُورٗاۚ وَلَوۡ شَآءَ رَبُّكَ مَا فَعَلُوهُۖ
فَذَرۡهُمۡ وَمَا يَفۡتَرُونَ ١١٢
“Aur isi tarah hamne har Nabi ke liye
insaanon aur jinno ke shayãteenon ko dushman bana
diya, unka baaz baaz ki taraf mulme hi huwi baat
dhoka dene ke liye dil mein dãlta rehta hai aur
agar tera Rab chãhata to woh aisa na
karte. Bas chhorh unhen aur jo woh jhoot ghadte hai.” [Al-An'am #
6: 112] Aur farmãya:
وَلَقَدۡ خَلَقۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ
وَنَعۡلَمُ مَا تُوَسۡوِسُ بِهِۦ نَفۡسُهُۥۖ وَنَحۡنُ أَقۡرَبُ إِلَيۡهِ مِنۡ
حَبۡلِ ٱلۡوَرِيدِ ١٦
“Aur bila shubha yaqinan hamne insaan ko
paida kiya aur ham un cheezon ko jãnte hain jin ka
waswasa uska nafs dãlta hai aur ham uski
rage jaan se bhi ziyãda uske qareeb hai.” [Qaf #
50:16]
Saiyyadna Abdullah bin Masood (Razi Allahu
anhu) bayãn karte hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “tum mein se
har shakhs ke saath Allah Tãla ne uska ek saathi jinno mein se aur uska
ek saathi farishton mein se muqarara kar diya hai.” [Muslim 2814]
Saiyyadna Abdullah bin Abbãs (Razi Allahu
anhuma) bayãn karte hai ke ek aadmi Nabi (ﷺ) ke khidmat mein aaya aur kehne laga, Ae
Allah ke Rasool! Hamãre dil mein kuchh khayãlãt aate hain aur
woh ishãre kinae se kuchh is tarah keh raha tha ke un khayãlãt ko zabãn par lãne ke bajãe koyla ho jãna use ziyãda pasand hai. To
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “Allah hu Akbar! Allah hu Akbar, Allah hu
Akbar. Hamd us Allah ki jisne us (iblis) ke makar ko waswase ki taraf lauta
diya.” [Abu Dãwood 5112, Sunan Kbira
nisãi 10504]
No comments:
Post a Comment