Surah Az-Zukhruf (43)
Aayat 1 -4
حمٓ ١ وَٱلۡكِتَٰبِ ٱلۡمُبِينِ ٢ إِنَّا جَعَلۡنَٰهُ قُرۡءَٰنًا عَرَبِيّٗا
لَّعَلَّكُمۡ تَعۡقِلُونَ ٣ وَإِنَّهُۥ فِيٓ أُمِّ ٱلۡكِتَٰبِ لَدَيۡنَا لَعَلِيٌّ
حَكِيمٌ ٤
“{ حمٓ
} Is kitãb Ki Qasam Jo kholkar bayãn karne wãli hai. Beshak humne ise
arbi Qurãn banãya, taake tum samjho. aur
beshak woh hamãre paas asal kitãb mein yaqeenan bahot buland, kamãl hikmat wãla hai.”
Allah tãla ne farmãya
hai ki Ae ahl e arab! is kitãb e mubeen ki qasam, jo haq o bãtil ko logon ke liye khol
kar bayãn karti hai! use ham ne Arabi zuban mein nãzil
kiya hai, tãke tum log iske igraaz o maqãsid ka idrãk
kar sako aur samajh sako ke hamãra
tumse kya mutãliba hai. Agar Qurãn majeed arabi zubaan mein
Na hota to ahl e arab bahãna banãte ki ham ise kaise
samjhein? jaisa ke irshãd farmãya:
وَلَوۡ جَعَلۡنَٰهُ
قُرۡءَانًا أَعۡجَمِيّٗا لَّقَالُواْ لَوۡلَا فُصِّلَتۡ ءَايَٰتُهُۥٓۖ
ءَا۬عۡجَمِيّٞ وَعَرَبِيّٞۗ
“Aur agar ham ise ajmi Qurãn
Bana dete to yaqeenan woh kehte iski aayat kholkar kyon Na bayãn
ki gayeen, kya ajmi zuban aur Arabi (rasul)?” [Surah Fussilat # 41:44]
Agli ãyat mein farmãya
ki ye qurãn mubeen hamãre paas loh e mehfooz mein
maujood hai, uska muqaam bahot hi uncha hai aur yeh badi hikmaton wãli
kitãb
hai jaisa ke Allah tãla ne farmãya:
إِنَّهُۥ لَقُرۡءَانٞ
كَرِيمٞ ٧٧ فِي كِتَٰبٖ مَّكۡنُونٖ ٧٨ لَّا
يَمَسُّهُۥٓ إِلَّا ٱلۡمُطَهَّرُونَ ٧٩
تَنزِيلٞ مِّن رَّبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ ٨٠
“Ke bilãshuba yeh yaqeenan ek ba izzat
padhi jaane wali cheez hai. ek aisi kitãb mein Jo chhupa kar Rakhi
hui hai. ise koi haath naheen lagãta magar jo bahot paak kiye hue hain.
Tamãm
jahãnon
ke rab ki taraf se utãri hui hai.” [Al-Waqi'a # 56: 77 to 80] aur farmãya:
كَلَّآ إِنَّهَا
تَذۡكِرَةٞ ١١ فَمَن شَآءَ ذَكَرَهُۥ ١٢ فِي
صُحُفٖ مُّكَرَّمَةٖ ١٣ مَّرۡفُوعَةٖ
مُّطَهَّرَةِۢ ١٤ بِأَيۡدِي سَفَرَةٖ
١٥ كِرَامِۢ بَرَرَةٖ ١٦
“Aisa hargiz Naheen chãhiye. Yeh (Qurãn)
to ek nasihat hai. jo chãhe ise qubool kar le. aise sahifo
mein hai jin ki izzat ki jaati hai. Jo buland kiye hue, paak kiye hue hain.
aise likhne Wãle ko haathon mein hain. Jo muãzziz
hain, nek hain.” [Abãsa # 80: 11 to 16]
Aayat 5-8
أَفَنَضۡرِبُ عَنكُمُ ٱلذِّكۡرَ
صَفۡحًا أَن كُنتُمۡ قَوۡمٗا مُّسۡرِفِينَ ٥ وَكَمۡ أَرۡسَلۡنَا مِن نَّبِيّٖ فِي ٱلۡأَوَّلِينَ
٦ وَمَا يَأۡتِيهِم مِّن نَّبِيٍّ إِلَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ ٧ فَأَهۡلَكۡنَآ
أَشَدَّ مِنۡهُم بَطۡشٗا وَمَضَىٰ مَثَلُ ٱلۡأَوَّلِينَ ٨
“To kya ham tumse is nasihat ko hata
len, airãz karte hue, is wajah se ki tum had
se badhne wãle log ho. aur kitne hi Nabi ham ne pehle logon mein
bheje. aur unke paas koi Nabi naheen aata tha magar woh uska mazaak udãe the. to hamne unse ziyãda sakht pakad wãlon ko halaak kar diya aur pehle logon ki misaal guzar chuki.”
Kuffãr makka ke kufr o shirk
par israr aur Qurãn majeed se musalsal aerãz
per nakeer karte hue kaha ja raha hai, kya tum yeh samajhte ho ke tumhãri ziyãdattiyo aur had se tajãwuz ki wajah se ham Qurãn
ka nãzil karna band kar denge? balke tumhãra haq se airãz to aur is baat ka taqaza
karta hai k Qãran nãzil hota rahe, shãyad
ke kisi din tumhãre dil mein haq baat utar jaaye, tum
musharraf ba islãma ho jão aur tumhãre dil
Ki duniya badal jaaye jaisa ke irshãd farmãya:
فَإِنَّمَا يَسَّرۡنَٰهُ
بِلِسَانِكَ لِتُبَشِّرَ بِهِ ٱلۡمُتَّقِينَ وَتُنذِرَ بِهِۦ قَوۡمٗا لُّدّٗا ٩٧
“So Uske Siwa kuchh Naheen ke hamne
use Teri zubaan mein asaan kar diya hai, tãki tu uske sath mutaqqi
logon ko khushkhabari de aur uske sath un logon ko darãye Jo sakht jhagddãlu
Hain.” [Maryam
# 19: 97]
Agli ãyat mein kufãr
ko Mazeed farmãya ke tumhãri taraf se hamãre
Nabi aur Qurãn ka inkaar koi nayi baat Naheen, ham tum se pehle bhi
bahot se ambiya bhejte rahe hain aur unki qaumon ne unka mazaak udãya,
unki nabuwaton aur Allah Ki kitãbon ka inkar Kiya to hamne unmein se
jo sabse ziyãda tãqatvar qaume thi unhen azaab bhej kar
halaak kar diya aur qaumon ke wãqiyãt aur unki halãkat
o tabãhi ki ruwdade Qurãn kareem mein mukhtalif
muqãmãt
par mazkoor hain, jinhen sunkar tumhen ibrat hãsil Karni chãhiye,
lekin afsos hai ki baad wãle unse ibrat hãsil naheen karte,
jaisa ki irshãd farmãya:
أَفَلَمۡ يَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ
فَيَنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ كَانُوٓاْ
أَكۡثَرَ مِنۡهُمۡ وَأَشَدَّ قُوَّةٗ وَءَاثَارٗا فِي ٱلۡأَرۡضِ فَمَآ أَغۡنَىٰ
عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ ٨٢ فَلَمَّا جَآءَتۡهُمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ
فَرِحُواْ بِمَا عِندَهُم مِّنَ ٱلۡعِلۡمِ وَحَاقَ بِهِم مَّا كَانُواْ بِهِۦ
يَسۡتَهۡزِءُونَ ٨٣
“To kya woh zameen mein chale
phire Naheen Ki dekhte un logon Ka anjaam Kaisa hua jo inse pehle the, woh (tãdãd
mein) inse ziyãda the aur quwwat mein aur zameen
mein yaadgaaron ke aitbaar se inse badh kar the, Tu unke Kisi kaam Na Aaya, Jo woh
kamãte the. phir jab unke rasool ke paas waaze daleel
lekar aaye to woh us par bhool Gaye Jo unke paas kuchh ilm tha aur unhen us
cheez ne gher liya jiska woh mazaaq udãte the.” [Ghhãfir # 40: 82 & 83]
Aayat 9 – 10
وَلَئِن سَأَلۡتَهُم مَّنۡ
خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ لَيَقُولُنَّ خَلَقَهُنَّ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡعَلِيمُ
٩ ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلۡأَرۡضَ مَهۡدٗا وَجَعَلَ لَكُمۡ فِيهَا سُبُلٗا
لَّعَلَّكُمۡ تَهۡتَدُونَ ١٠
“Aur bilãshubah agar tu unse pochhe
ke aasmãnon ko aur zameen ko kisne
paida Kiya to yaqeenan zaroor kahenge ki unhe sab par ghhãlib, sab kuchh jaane wãle ne paida Kiya hai. woh
jis ne tumhãre liye zameen ko bichhona banãya aur us mein tumhãre liye rãste banãye, tãke tum Raha pão.”
Mushrikeen e makka ke liye dãwat
tauheed ka dawa karte hue kaha ja raha hai ke ae mere Nabi! agar aap unse poochhenge
ki aasmãnon aur zameen ko kisne paida Kiya hai to baghhair
Kisi tawaquf o taradud ke yahi jawaab denge ke unhen usne paida kiya hai jo bade muqaam o izzat wãla
hai aur jiska ilm har cheez ko muheet hai.
Agli ãyat mein farmãya
ke logon! us azeez o aleem zaat ki sifat yeh bhi hai ke usne zameen ko tumhãre
liye hamwãr aur ãrãmdah
banãya
hai, jis per tum chalte ho, sote ho aur apni tamãm zaruriyãt e
zindagi puri karte ho. usi ne tumhãre liye zameen par pahãdon
aur wãdiyo ke darmiyãn rãste
banãe
Hain, tãke tum un par chalkar ek
jagah se doosri jagah muntaqil ho sako aur apni maeshat ke liye tijãrati
kãrobaar
anjaam de sako.
مَّنۡ
خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ لَيَقُولُنَّ خَلَقَهُنَّ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡعَلِيمُ
Yãni woh aitraaf karenge ki
unka khãliq to Allah wahda la shareeka lahu hai, Uske bãwajood
uske saath buton aur shareekon ki ibãdat karte hain. irshãd
farmãya:
وَلَئِن سَأَلۡتَهُم مَّنۡ
خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ لَيَقُولُنَّ ٱللَّهُۚ قُلۡ أَفَرَءَيۡتُم مَّا
تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ إِنۡ أَرَادَنِيَ ٱللَّهُ بِضُرٍّ هَلۡ هُنَّ
كَٰشِفَٰتُ ضُرِّهِۦٓ أَوۡ أَرَادَنِي بِرَحۡمَةٍ هَلۡ هُنَّ مُمۡسِكَٰتُ رَحۡمَتِهِۦۚ
قُلۡ حَسۡبِيَ ٱللَّهُۖ عَلَيۡهِ يَتَوَكَّلُ ٱلۡمُتَوَكِّلُونَ ٣٨
“Aur yaqeenan agar tum unse puchho
ke aasmãnon ko aur zameen ko kisne paida Kiya hai To zaroor hi
kahenge ke Allah ne. keh to kya Tumne
Dekha ke woh hastiyãn jinhne tum Allah ke siwa pukãrte
ho, agar Allah mujhe koi nuqsaan pahunchãne Ka irãda
Kare to kya woh uske nuqsaan ko hatãne Wãli
hai? ya woh mujh par koi meherbãni
karna chãhe to kya woh uski rehmat ko rokãne
wãli Hain? keh de
mujhe Allah hi kaafi hai, usi par
bharosa Karne Wãle bharosa karte Hain.” [Az-Zumar # 39: 38]
Aayat 11
وَٱلَّذِي نَزَّلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ
مَآءَۢ بِقَدَرٖ فَأَنشَرۡنَا بِهِۦ بَلۡدَةٗ مَّيۡتٗاۚ كَذَٰلِكَ تُخۡرَجُونَ ١١
“Aur Jisne aasmãn se ek andãze ke saath pani utãra, phir ham ne uske saath ek murda shehar ko zinda kar diya, isi Tarah
tum nikãle jaaoge.”
Yãni Allah tãla
ki yeh sifat bhi hai ke woh aasmãn se Apni hikmat o maslihat ke taqãze
ke mutãbiq munãsib miqdaar mein bãrish
nãzil
karta hai, jis se woh murda shehron ko
zindagi deta hai. aakhir mein farmãya ke jis Tarah bãrish
ke Qatron se murda zameen mein Jaan ãjaati hai, paude lahlaha
uthte Hain aur unwa o aqsaam ke phal aur phool ug ãte Hain, usi tarah Allah tãla
qayãmat
ke din tamãm murda insãnon ko dobãra
zinda karega, Jo zinda hote hi maidãn e mehshar ki taraf daud
padenge aur apne Rab ke huzoor Apne Amal ka hisaab dene ke liye dast basta
khade ho jãenge, jaisa ke irshãd farmãya:
وَنَزَّلۡنَا مِنَ ٱلسَّمَآءِ
مَآءٗ مُّبَٰرَكٗا فَأَنۢبَتۡنَا بِهِۦ جَنَّٰتٖ وَحَبَّ ٱلۡحَصِيدِ ٩ وَٱلنَّخۡلَ بَاسِقَٰتٖ لَّهَا طَلۡعٞ نَّضِيدٞ
١٠ رِّزۡقٗا لِّلۡعِبَادِۖ وَأَحۡيَيۡنَا بِهِۦ بَلۡدَةٗ مَّيۡتٗاۚ كَذَٰلِكَ ٱلۡخُرُوجُ
١١
“Aur
humne aasmãn se ek bahot ba barkat Paani utãra, phir hamne uske saath bãghhãt
aur kaati jaane wãli (kheti) ke daane ugãye.
aur khajooron ke darakht lambe lambe, jinke taeh ba taehe khoshe hain. bandon ko rozi dene ke liye aur hamne uske saath
ek murda shahar ko zinda Kar Diya, isi Tarah nikalna hai.” [Qaf # 50: 9 to 11]
Aayat 12 to 14
وَٱلَّذِي خَلَقَ ٱلۡأَزۡوَٰجَ
كُلَّهَا وَجَعَلَ لَكُم مِّنَ ٱلۡفُلۡكِ وَٱلۡأَنۡعَٰمِ مَا تَرۡكَبُونَ ١٢ لِتَسۡتَوُۥاْ
عَلَىٰ ظُهُورِهِۦ ثُمَّ تَذۡكُرُواْ نِعۡمَةَ رَبِّكُمۡ إِذَا ٱسۡتَوَيۡتُمۡ
عَلَيۡهِ وَتَقُولُواْ سُبۡحَٰنَ ٱلَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَٰذَا وَمَا كُنَّا لَهُۥ
مُقۡرِنِينَ ١٣ وَإِنَّآ إِلَىٰ رَبِّنَا لَمُنقَلِبُونَ ١٤
“Aur woh jisne sab ke sab jode
paida Kiya aur tumhãre liye woh kashtiyãn aur chaupãye banãye Jin par tum sawaar hote ho. Tãke tum unke peethon par
jamkar baitho, phir Apne Rab ki nemat yaad karo, jab un par jamkar baith jão aur kaho Paak hai woh jisne ise hamãre liye ta’abe Kar Diya, Hãlãnke ham ise qãbo mein laane wãle Naheen the. aur beshak
ham Apne Rab ki taraf zarur laut kar jaane Wãle Hain.”
Allah tãla ki ek sifat yeh bhi hai
ki usne anwa o iqsam ki cheezen aur tamãm hawãnãt o
nabatãt ke jode paida kiye Hain, sirf uski zaat akeli zaat
hai, uska koi joda naheen hai. usi ne insaan ko kashti banãne
ka ilm Diya aur usi ke liye chaupãye paida Kiye, logo in kashtiyon aur
chaupãyon par sawaar hokar Safar karte Hain. Ahl e aql o
khurd aur ahl e imaan jab in kashtiyon aur chaupãyon par Sawaar hote Hain
to Apne rab ke hamd o sana byãn karte Hain ki jisne in jãnwaron ko unke ta’abe farmãn
bana Diya hai. agar Allah na Chãhata to unhen woh maskhar naheen kar
sakte the. Log sawaar hokar is haqeeqat ka aitraaf taraf karte Hain ke is duniyãwi
zindagi ke baad hamen laut kar Apne rab ke paas Jãna hai.
Sawãriyon ka ehsaan jatlãte
hue Allah tãla ne irshãd farmãya:
وَٱلۡخَيۡلَ وَٱلۡبِغَالَ
وَٱلۡحَمِيرَ لِتَرۡكَبُوهَا وَزِينَةٗۚ وَيَخۡلُقُ مَا لَا تَعۡلَمُونَ ٨
“Aur ghode aur khachchar aur
gadhe, tãke tum un par sawar ho aur zeenat ke liye, aur woh
paida Karega jo tum Naheen jãnte.” [An-Nahl # 16: 8] Aur faramãya:
ٱللَّهُ ٱلَّذِي جَعَلَ
لَكُمُ ٱلۡأَنۡعَٰمَ لِتَرۡكَبُواْ مِنۡهَا وَمِنۡهَا تَأۡكُلُونَ ٧٩ وَلَكُمۡ
فِيهَا مَنَٰفِعُ وَلِتَبۡلُغُواْ عَلَيۡهَا حَاجَةٗ فِي صُدُورِكُمۡ وَعَلَيۡهَا
وَعَلَى ٱلۡفُلۡكِ تُحۡمَلُونَ ٨٠ وَيُرِيكُمۡ ءَايَٰتِهِۦ فَأَيَّ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ
تُنكِرُونَ ٨١
“Allah
woh hai jisne tumhãre liye chaupãye banãye, tãke unme se
baaz par tum sawaar ho aur unhi mein se baaz ko tum khãte ho. aur tumhãre liye
unme bahot fãyde hain
aur tãke tum un
par us hãjat tak
pahuncho Jo tumhãre seeno
mein hai aur unhi par aur kashtiyon par tum sawaar kiye jaate ho. aur woh
tumhen apni nishãniyãn dikhãta hai,
phir tum Allah ki kaun kaun si nishãniyo ka inkaar
karoge.” [Ghhãfir # 40:
79 to 81]
Ali bin
Rabia bayãn karte
Hain kis Saiyyadna Ali (Razi Allahu anhu) jab
apni sawãri par
sawaar hone lage to aap ne rikab mein pair rakhte hue farmãya: { بِسْمِ
اللَّهِ } phir
jab jam kar baith Gaye to farmãya { الْحَمْدُ لِلَّهِ } phir Kaha:
{ سُبْحَانَ الَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَذَا وَمَا كُنَّا لَهُ
مُقْرِنِينَ وَإِنَّا إِلَى رَبِّنَا لَمُنْقَلِبُونَ }
“Paak hai
woh zaat jisne ise hamãre ta’abe
Kiya aur ham az khud ise apna ta’abe Naheen bana sakte the aur bilãshubah ham Apne Rab hi ki taraf laut jaane Wãle Hain.” Phir teen martaba
{ الْحَمْدُ لِلَّهِ } kaha teen martaba { اللَّهُ أَكْبَرُ } phir farmãya:
{ سُبْحَانَكَ إِنِّي ظَلَمْتُ نَفْسِي فَاغْفِرْ لِي فَإِنَّهُ
لَا يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلَّا أَنْتَ } “Ae Allah tu paak hai, maine apni Jaan par zulm Kiya hai, tu
mujhe maaf farma de, bilãshubah
tere Siwa aur koi naheen Jo gunãhon ko
baksh sake.” aur phir Hans diye. maine poochha, ameerul momineen! aap kis baat
par hanse Hain? unhone batãya ke maine Allah ke Rasool (ﷺ) ko Dekha ki apne aise hi kiya tha jaise
maine kiya hai aap phir aap Hans diye the,
to Maine Allah ke Rasool (ﷺ) se poocha tha ae Allah ke rasool! aap kis baat per hanse
hain? to apne farmãya: “bilãshubah tere rab ko Apne bande par tãjub ãta hai
jab woh kahta hai: { رَبِّ اغْفِرْ لِي } “mere Rab! mujhe baksh de” to (Allah tãla farmãta hai ke)
mera Banda jaanta hai ki mere Siwa koi gunãhon ko baksh Naheen Sakta.” [Abu Dãwood 2602, Tirmizi 3446]
Saiyyadna
Abdullah bin Umar (Razi Allahu anhu) bayãn karte Hain ke Nabi Karim ﷺ Safar ke liye jab Kabhi apni sawãri par sawaar hote to teen matarba takbeer keh kar yeh dua padhte:
سُبْحَانَ
الَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَذَا، وَمَا كُنَّا لَهُ مُقْرِنِينَ، وَإِنَّا إِلَى
رَبِّنَا لَمُنْقَلِبُونَ، اللهُمَّ إِنَّا نَسْأَلُكَ فِي سَفَرِنَا هَذَا
الْبِرَّ وَالتَّقْوَى، وَمِنَ الْعَمَلِ مَا تَرْضَى، اللهُمَّ هَوِّنْ عَلَيْنَا
سَفَرَنَا هَذَا، وَاطْوِ عَنَّا بُعْدَهُ، اللهُمَّ أَنْتَ الصَّاحِبُ فِي
السَّفَرِ، وَالْخَلِيفَةُ فِي الْأَهْلِ، اللهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ
وَعْثَاءِ السَّفَرِ، وَكَآبَةِ الْمَنْظَرِ، وَسُوءِ الْمُنْقَلَبِ فِي الْمَالِ
وَالْأَهْلِ
“Paak hai
woh jisne ise hamãre liye taa’be Kar Diya, hãlãnki ham ise qãbu mein
laane wãle Naheen
the aur beshak ham apne Rab ki taraf zarur laut kar jaane Wãle Hain. Ae Allah! ham Apne is Safar mein tujhse neki aur taqwa Ka
sawaal karte hain aur is amal ka sawaal karte Hain, jise tu Pasand Kare. Ae
Allah! hamãra yeh
Safar ham par aasãn farma
de aur ham se iski duri kam kar de. Ae Allah! tu hi safar mein saathi aur ghar
wãlon mein
naaib hai, ae Allah! main tujhse Safar
ki mushaqat se aur Maal aur ahl e khãna mein
ghamnaak manzar dekhne se aur nãkaam
lautne ki burai se Teri panãh chãhata hoon.”
aur jab wãpas aate
to yahi kalimaat kahte, Albatta in alfaaz ke izãfe ke saath.
{ آيِبُونَ تَائِبُونَ عَابِدُونَ لِرَبِّنَا حَامِدُونَ } “ham wãpas lautne Wãle, tauba
Karne Wãle, ibãdat Karne Wãle aur
apne Rab hi ki hamd Karne Wãle Hai.”
[Muslim 1342]
Aayat 15
وَجَعَلُواْ لَهُۥ مِنۡ
عِبَادِهِۦ جُزۡءًاۚ إِنَّ ٱلۡإِنسَٰنَ لَكَفُورٞ مُّبِينٌ ١٥
“Aur unhone iske liye uske baaz
bandon ko juz Bana dala, beshak insaan yaqeenan sarihi Na shukra hai.”
Mushrikeen e makka ke bãre
mein kaha ja raha hai ki unhone Allah ke bando mein se baaz ko yãni
farishton ko uski betiyãn
Kaha, us se badh kar jhooth aur kufr kya ho sakta hai? unhen kaise mãloom
hua ke farishte Allah ki betiyãn hain aur Allah ke saath woh bhi ibãdat
ke mustahiq Hain? Haqeeqat yeh hai ki isse badhkar kufran e nemat aur kya ho
sakta hai ki ek taraf to aitraaf karte Hain ke wohi zaat e wãhed khãliq
arz o sama hai, uska koi saani Naheen Hai aur phir uske liye aulaad sãbit
karte hain aur kahte Hain ke uski woh
aulaad Uske mumãsil o mushãba Hai, jaisa ke irshãd
farmãya:
وَيُنذِرَ ٱلَّذِينَ
قَالُواْ ٱتَّخَذَ ٱللَّهُ وَلَدٗا ٤ مَّا لَهُم بِهِۦ مِنۡ عِلۡمٖ وَلَا
لِأٓبَآئِهِمۡۚ كَبُرَتۡ كَلِمَةٗ تَخۡرُجُ مِنۡ أَفۡوَٰهِهِمۡۚ إِن يَقُولُونَ
إِلَّا كَذِبٗا ٥
“Aur un logon ko darãye
jinhone Kaha Allah ne koi aulaad bana rakhi hai. na unhen iska koi ilm hai aur na
unke baap Dada ko. bolne main badi hai, jo unke munhon se nikalti Hai, wo sarãsar
jhooth ke siwa kuch Naheen.” [Al-Kahf # 18: 4 & 5]
Arabic 16 &17
أَمِ ٱتَّخَذَ مِمَّا
يَخۡلُقُ بَنَاتٖ وَأَصۡفَىٰكُم بِٱلۡبَنِينَ ١٦ وَإِذَا بُشِّرَ أَحَدُهُم بِمَا
ضَرَبَ لِلرَّحۡمَٰنِ مَثَلٗا ظَلَّ وَجۡهُهُۥ مُسۡوَدّٗا وَهُوَ كَظِيمٌ ١٧
“Ya usne us (maqlookh) mein se jise woh paida
karta hai (khud) betiyãn Rakh lein aur tumhen beto ke liye chun liya? Hãlãnki jab un mein se Kisi ko
is cheez ki Khush Khabri di jãye jiski usne rehmãn ke liye misaal bayãn ki Hai to uska munh sãra din siyãh rahta Hai aur woh gham se bhara hota Hai.”
Allah taa’la ki shaan e beniyãzi
ke khilaaf unki jurrat to dekhiye ki unhone uske liye aulaad bhi thehrãyi
to aisi jise apne liye Pasand Naheen karte, yãni betiyãn,
jinse unke nafrat ka haal yeh hai ke jab unhe khabar di jaati Hai ke unke yahãn
ladki paida hui hai to gham o alm se unke chehre siyãh ho jaate hain aur unka
dil karb wa azeeyat se bhar jaate hain, jaisa ke irshãd farmãya:
وَيَجۡعَلُونَ لِلَّهِ ٱلۡبَنَٰتِ
سُبۡحَٰنَهُۥ وَلَهُم مَّا يَشۡتَهُونَ ٥٧
وَإِذَا بُشِّرَ أَحَدُهُم بِٱلۡأُنثَىٰ ظَلَّ وَجۡهُهُۥ مُسۡوَدّٗا وَهُوَ
كَظِيمٞ ٥٨ يَتَوَٰرَىٰ مِنَ ٱلۡقَوۡمِ مِن سُوٓءِ مَا بُشِّرَ بِهِۦٓۚ
أَيُمۡسِكُهُۥ عَلَىٰ هُونٍ أَمۡ يَدُسُّهُۥ فِي ٱلتُّرَابِۗ أَلَا سَآءَ مَا
يَحۡكُمُونَ ٥٩
“Aur woh Allah ke liye betiyãn
tajveez karte hain, woh paak hai aur apne liye woh Jo woh chãahte
hain. aur jab un mein se kisi ko ladki ki khushkhabri di jãti
uska munh din bhar kaala rehta hai aur woh gham se bhara hota hai. woh logon se
chhipta phirta hai, us khushkhabri ki
burãi ki wajah se jo use de gayi hai. Aaya use zillat ke bãwajood rakh le, ya mitti mein daba de. sun lo ! Bura Hai Jo woh faisla karte Hain.” [An-Nahl # 16 : 57
to 59]
Saiyyada Asma bint Abubakar (Razi
Allahu anha) bayãn Karti hai ki maine Zaid bin Amar
bin Nafeel ko dekha ke woh Khãne Kaaba ke saath tek lagãkar
khada hai aur kah Raha hai ke ae quresh ki jamaat ! Allah ki Qasam ! mere alãva
tum mai se koi bhi deen -e- ibrãheem par naheen Hai. Zaid bin Amar
ladkiyon ko zinda dafan hone se bachãya karte the. jab koi
aadami apni beti ko qatal karne ka irãda karta to Zaid usse
kehte ki tum ise qatal mat karo, main iske tamãm akhrãjat
ka zimma leta Hoon. Chunãnche woh ladki ko apni parvarish mein
rakh lete, phir jab woh badi ho jaati to uske baap se kehte, agar tum chãho
to main tumhãri beti tumhãre supurd kar deta hoon aur
agar tumhãri marzi ho to uske sab kaam poore kar dunga. [Bukhãri 3828]
Ayat 18
أَوَ مَن يُنَشَّؤُاْ فِي ٱلۡحِلۡيَةِ
وَهُوَ فِي ٱلۡخِصَامِ غَيۡرُ مُبِينٖ ١٨
“Aur kya (usne use rehmãn ki aulaad qarar Diya Hai) jiski parvarish zevar mein ki
jaati hai aur woh jhagde mein baat wãze karne wãli Naheen?”
yãni ladkiyon ki parvarish
aur nash o numa zevar aur zeenat ke sãmaan ke saath hoti hai aur
unke zariye se uski shaksiyat mein pãi jaane wãli
Kami ko pura Kiya jãta hai aur behas va hujjat ki zarurat
pesh Aaye to woh baat saaf naheen kar sakti, balke woh ãjiz o nãtawaan
hoti hai, jo is tarah ki ho use Allah tãla ki taraf, Jo Sãhab
e Azmat o Shaan Hai, mansoob Kiya ja sakta hai? aur Allah tãla
ka juz aur hissa ban sakti hai?
Aayat 19
وَجَعَلُواْ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةَ
ٱلَّذِينَ هُمۡ عِبَٰدُ ٱلرَّحۡمَٰنِ إِنَٰثًاۚ أَشَهِدُواْ خَلۡقَهُمۡۚ
سَتُكۡتَبُ شَهَٰدَتُهُمۡ وَيُسَۡٔلُونَ ١٩
“Aur unhone farishton ko, woh
Jo Rehmãn ke bande hain, aurten bana diya,
kya woh unki paidaish ke waqt hãzir the?” unki gawãhi zaroor likhi jãyegi aur woh pochhe jãenge.”
Yãni jo farishte Raat din
apne khãliq o Mãlik ki tasbeeh o taqdees main lage
rehte hain, unhone apni gayat darja ki
jahãlat
o nãdani
ki wajah se auraten bana Diya. kya jab Allah ne unhen paida kiya tha to us waqt
woh maujood the aur unhen ilm ho gya tha ki Allah ne unhen moanis paida Kiya
Hai? Haqeeqat yeh hai ki Allah ki qadr o
manzalat ke khilaaf yeh badi hi zãlimãna jurra’at hai, jiske bãre
mein qayãmat ke din unse sawaal hoga aur kaha jãega
ke apne daawe ki sadãqat par daleel o burhaan pesh karo, lekin woh ãjiz
rahenge aur tab unhen zillat o ruswãi ka saamna karna padega.
Ayat 20 & 21
وَقَالُواْ لَوۡ شَآءَ ٱلرَّحۡمَٰنُ
مَا عَبَدۡنَٰهُمۗ مَّا لَهُم بِذَٰلِكَ مِنۡ عِلۡمٍۖ إِنۡ هُمۡ إِلَّا
يَخۡرُصُونَ ٢٠ أَمۡ ءَاتَيۡنَٰهُمۡ كِتَٰبٗا مِّن قَبۡلِهِۦ فَهُم بِهِۦ
مُسۡتَمۡسِكُونَ ٢١
“Aur unhone kaha ki agar rehmãn chãhata to ham unki ibãdat na karte. unhe iske bãre mein kuchh ilm naheen, woh
to sirf atkale dauda rahe hain. Ya kya hamne unhen isse pehle koi kitãb Di Hai? bas woh use mazbooti se
thãmne Wãle Hain.”
yãni woh kehte Hain ki agar
Allah tãla Chãhata to hamein in buton ko Na poojne
deta, Jo farishton ki Surat mein banãye gaye hain aur farishte
Allah tãla ki betiyãn Hain. Use is baat ka ilm
hai aur usne hamein us per barqaraar rakha hua Hai, agar hamãre
is amal se woh Raazi Na hota to hamein apni qudrat ke zariye se is se rok deta.
Allah tãla ne unki tardeed ki ke unhein kaise mãloom
ho Gaya ki Allah unkeis fel se raazi hai? yeh mahez unki bedaleel o bebuniyãd
baatein hain. jab Ke Allah tãla ne jitne ambiya ikraam {(AS)Alehis Salam} maaboos
farmãye aur jis qadr kitãben nãzil
farmãi, sabki zubãni sirf apni ibãdat
Ka hukum Diya hoon aur apne siwa har cheez ki ibãdat se mana farmãya
Hai, jaisa ke irshãd farmãya:
وَلَقَدۡ بَعَثۡنَا فِي
كُلِّ أُمَّةٖ رَّسُولًا أَنِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ وَٱجۡتَنِبُواْ ٱلطَّٰغُوتَۖ
فَمِنۡهُم مَّنۡ هَدَى ٱللَّهُ وَمِنۡهُم مَّنۡ حَقَّتۡ عَلَيۡهِ ٱلضَّلَٰلَةُۚ
فَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَٱنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُكَذِّبِينَ ٣٦
“Aur bilãshuba
yaqeenan hamne har ummat mein ek rasool bheja Hai ke Allah ki ibãdat
Karo aur tãqoot se bacho, phir unme se kuchh woh the jinhe Allah
ne hidãyat di aur unmein se kuchh woh the Jin par gumrãhi
sãbit ho gai. Bas zameen mein chalo phiro, phir dekho
jhutlãne wãlon Ka anjaam Kaisa hua.” [An-Nahl # 16: 36]
Agli ãyat main Allah tãla
ne farmãya ke kya hamne unko isse pahle koi kitãb
di thi ke yeh us per mazbooti se jame hue hain aur uske mutãbiq
ghhair Allah ki ibãdat Kar rahe hain? Naheen, unke paas
koi kitãb Naheen aur unko khud bhi is baat ka iqrar hai ki woh
Kisi kitãb ki buniyaad par aisa Naheen karte, jaisa ke irshãd
farmãya:
أَمۡ أَنزَلۡنَا عَلَيۡهِمۡ
سُلۡطَٰنٗا فَهُوَ يَتَكَلَّمُ بِمَا كَانُواْ بِهِۦ يُشۡرِكُونَ ٣٥
“Ya humne un par koi daleel nãzil
ki hai ki woh bolkar woh cheezen batãti hai jinhen woh uske saath shareek thehrãya
karte Hain.”
[Ar-Rum # 30: 35]
Aayat 22
بَلۡ قَالُوٓاْ إِنَّا
وَجَدۡنَآ ءَابَآءَنَا عَلَىٰٓ أُمَّةٖ وَإِنَّا عَلَىٰٓ ءَاثَٰرِهِم
مُّهۡتَدُونَ ٢٢
“Balke unhone Kaha ke beshak hamne Apne baap Dãda ko ek rãste par pãya hai aur ham unhi ke
qadmon ke nishãnon par raah pãne wãle hain.”
Kuffãr ne apni puja paath ke
silsile main ilmi daleel dene se hamesha pehlotahi ikhtiyaar ki aur pehlotahi
ikhtiyaar na karte to aakhir karte bhi kya? unke paas ilmi aur kitãbi
daleel hoti hi naheen thi ke woh use pesh Karke. yahi wajah hai ki woh saaf
saaf baghhair kisi jhijhak ke hat dharmi ke
saath faqriya andaaz mai kehte the ke humne apne aaba o ajdaad ko jis rãste
par pãya to ham bas usi rãste par chal rahe hain aur
kyunke woh sahi rãste par the, lihãza
ham bhi sahi rãste par hai. Unke is qaul ko Allah tãla
ne kai jagah bayãn farmãya Hai, jaisa ke irshãd
farmãya:
وَإِذَا قِيلَ لَهُمُ ٱتَّبِعُواْ
مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ قَالُواْ بَلۡ نَتَّبِعُ مَآ أَلۡفَيۡنَا عَلَيۡهِ
ءَابَآءَنَآۚ أَوَلَوۡ كَانَ ءَابَآؤُهُمۡ لَا يَعۡقِلُونَ شَيۡٔٗا
وَلَايَهۡتَدُونَ ١٧٠
“Aur jab unse Kaha jãta
hai uski pairvi karo Jo Allah ne nãzil kiya Hai to kehte hain
balke ham to uski pairvi karenge jis par humne apne baap dãda
ko pãya hai, kya agarche unke baap dãda
na kuchh samajhte ho aur na hidãyat pãte
hoon.” [Al-Baqarah
# 2: 170] Aur farmãya:
وَإِذَا قِيلَ لَهُمُ ٱتَّبِعُواْ
مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ قَالُواْ بَلۡ نَتَّبِعُ مَا وَجَدۡنَا عَلَيۡهِ
ءَابَآءَنَآۚ أَوَلَوۡ كَانَ ٱلشَّيۡطَٰنُ يَدۡعُوهُمۡ إِلَىٰ عَذَابِ ٱلسَّعِيرِ
٢١
“Aur jab unse kaha jãta
hai ki uski pairvi karo Jo Allah ne nãzil kiya hai to kehte hain
balke ham uski pairvi karenge jis per ham ne apne baap dãda
ko pãya, aur kya agarche shaitaan unhen bhadakti aag ke
azaab ki taraf bulãa raha ho?” [Luqmãn # 31 : 21]
Aayat 23
وَكَذَٰلِكَ مَآ
أَرۡسَلۡنَا مِن قَبۡلِكَ فِي قَرۡيَةٖ مِّن نَّذِيرٍ إِلَّا قَالَ مُتۡرَفُوهَآ
إِنَّا وَجَدۡنَآ ءَابَآءَنَا عَلَىٰٓ أُمَّةٖ وَإِنَّا عَلَىٰٓ ءَاثَٰرِهِم
مُّقۡتَدُونَ ٢٣
“Aur isi tarah hamne tujhse
pehle kisi basti mein koi darãne wãla naheen bheja magar uske khushhaal
logon ne kaha ke beshak hamne apne baap dãda ko ek rãste par pãya aur beshak ham unhi ke
qadmo ke nishãnon ke piche chalne wãle hain.”
Is ãyat mein Allah tãla
ne farmãya ke quresh ke kãfiron ne yeh koi nayi baat
naheen kahi hai, balke har daur ke kuffãr apne kufr o shirk par
jame rehne ka yahi sabab bayãn karte Hain, yãni
aaba o ajdaad ki taqleed qadeemi gumrãhi hai, jismein har daur
ke ahle kufr mubtela rahe hain. isliye ae mere Nabi ! aapko ahl e quresh ke
kufr o shirk par malol khãtir naheen hona chãhiye.
Ayat 24 & 25
۞قَٰلَ أَوَلَوۡ جِئۡتُكُم بِأَهۡدَىٰ مِمَّا وَجَدتُّمۡ عَلَيۡهِ
ءَابَآءَكُمۡۖ قَالُوٓاْ إِنَّا بِمَآ أُرۡسِلۡتُم بِهِۦ كَٰفِرُونَ ٢٤ فَٱنتَقَمۡنَا
مِنۡهُمۡۖ فَٱنظُرۡ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُكَذِّبِينَ ٢٥
“Usne kaha aur kya agar mein
tumhãre paas usse ziyãda seedha rãsta le aaon jis par tumne
apne baap dãda ko pãya? unhone kaha beshak ham usse jo de kar tum
bheje gaye ho, munkir hain. to ham ne unse badla liya, so dekh jhutlãne wãlon ka anjaam kaisa huwa.”
Har daur ke Nabi ne apni qaum se kaha
agar main tumhãri rehnumãi aisi raah ki taraf karoon
jo saa’dat o nek bakhti ki raah hai, to kya phir bhi tum apne aaba o ajdaad ki
andhi taqleed mein shaqãwat o badbakhti ki raah par chalte
rahoge? to har daur ke kãfiron ne yahi kaha ke haan ! ham tumhãri
dãwat
ka inkaar karte hain. Yãni tumhe ek zarra barãbar
bhi hamãre imaan lãne ki tawaquh naheen
rakhni chãhiye. agli ãyat main Allah tãla
ne farmãya ki jab kufr o shirk par unka israar is had ko pahunch
gaya, to hamne azaab bhej kar unka wajood khatam kar diiya. Allah ke deen aur
nabi ko jhutlãne wãlon ka anjaam hamesha aisa hi hota
Hai, jaisa ke irshãd farmãya:
ثُمَّ أَرۡسَلۡنَا
رُسُلَنَا تَتۡرَاۖ كُلَّ مَا جَآءَ أُمَّةٗ رَّسُولُهَا كَذَّبُوهُۖ
فَأَتۡبَعۡنَا بَعۡضَهُم بَعۡضٗا وَجَعَلۡنَٰهُمۡ أَحَادِيثَۚ فَبُعۡدٗا لِّقَوۡمٖ
لَّا يُؤۡمِنُونَ ٤٤
“Phir hamne apne rasool pe darpe
bheje. jab kabhi kisi ummat ke paas uska rasool aaya uhone use jhutla diya, to
hamne unke baaz ko baaz ke piche chalta Kiya aur unhen kahãniyãn bana diya. So duri ho un logon ke
liye Jo Imaan Naheen lãte.” [Al-Mu’minun # 23:44]
aur farmãya:
وَكُلّٗا ضَرَبۡنَا لَهُ ٱلۡأَمۡثَٰلَۖ
وَكُلّٗا تَبَّرۡنَا تَتۡبِيرٗا ٣٩
“Aur har ek, hamne uske liye misãlein bayãn kein aur har ek ko hamne
tabãh kar diya, buri tarah tabãh karna.” [Al-Furqan # 25:39]
Aayat 26 & 27
وَإِذۡ قَالَ إِبۡرَٰهِيمُ
لِأَبِيهِ وَقَوۡمِهِۦٓ إِنَّنِي بَرَآءٞ مِّمَّا تَعۡبُدُونَ ٢٦ إِلَّا ٱلَّذِي
فَطَرَنِي فَإِنَّهُۥ سَيَهۡدِينِ ٢٧
“Aur jab Ibrãheem ne apne baap aur apni
qaum se kaha beshak main in cheezon se bilkul bari hoon jin ki tum ibãdat karte ho. Siwãe uske jisne mujhe paida
kiya, Bas beshak woh mujhe zarur rãsta dikhãega.”
Allah Allah tãla ne apne rasool aur
khalil Ibrãheem {(AS)Alehis Salam} Ka hal bayãn
kar ke ahl e quresh ko dawat e fikr di ke tum log jis ibrãheem
ki mohabbat ka dam bharte ho, unhone to apne baap dãda ki taqleed se elaan-e-braat
kar diya tha aur keh diya tha ke main mahez tumhãri taqleed mein tumhãre
jhote maabudon ki ibãdat naheen karunga. Kãinaat
mein jo aqli dalaeel o braheen maujood hai woh sab is baat ki taraf rehnumãi
karte hain ke main usi zaat wãhid ki parastish karun jisne mujhe
paida kiya hai aur mujhe yaqeen hai ke mera rab mujhe zãya naheen karega. woh apne
sahi deen ki taraf meri rehnumãi karega, apni bandagi ki taufeeq
dega, lihãza mein tumhãre maabudon ki ibãdat
se sakht bezaar hoon, jaisa ke dusri jagah Allah tãla ne irshaad farmãya:
قَالَ أَفَرَءَيۡتُم مَّا
كُنتُمۡ تَعۡبُدُونَ ٧٥ أَنتُمۡ
وَءَابَآؤُكُمُ ٱلۡأَقۡدَمُونَ ٧٦ فَإِنَّهُمۡ عَدُوّٞ لِّيٓ إِلَّا رَبَّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
٧٧ ٱلَّذِي خَلَقَنِي فَهُوَ يَهۡدِينِ ٧٨
وَٱلَّذِي هُوَ يُطۡعِمُنِي وَيَسۡقِينِ ٧٩
وَإِذَا مَرِضۡتُ فَهُوَ يَشۡفِينِ ٨٠ وَٱلَّذِي يُمِيتُنِي ثُمَّ
يُحۡيِينِ ٨١ وَٱلَّذِيٓ أَطۡمَعُ أَن يَغۡفِرَ لِي خَطِيَٓٔتِي يَوۡمَ ٱلدِّينِ
٨٢
“kaha to kya tumne dekha ke jinko
tum poojte rahe. tum aur tumhãre pehle baap dãda. so bilãshuba wo mere dushman hai,
siwãe rabbul ãlãmeen ke. woh jisne mujhe paida kiya,
phir wahi mujhe rãsta dikhãta hai. aur wahi Jo mujhe
khilãta hai aur mujhe pilãta hai. aur jab mein bimaar hota hoon to wahi mujhe shifa deta hai. aur woh
jo mujhe maut dega, phir mujhe zinda karega. aur woh jisse main tamaa’ rakhta hoon
ke woh jaza ke din mujhe meri khata bakhsh dega.” [Ash-Shu'ara # 26: 75 to 82]
aur farmãya:
قَدۡ كَانَتۡ لَكُمۡ
أُسۡوَةٌ حَسَنَةٞ فِيٓ إِبۡرَٰهِيمَ وَٱلَّذِينَ مَعَهُۥٓ إِذۡ قَالُواْ
لِقَوۡمِهِمۡ إِنَّا بُرَءَٰٓؤُاْ مِنكُمۡ وَمِمَّا تَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ
كَفَرۡنَا بِكُمۡ وَبَدَا بَيۡنَنَا وَبَيۡنَكُمُ ٱلۡعَدَٰوَةُ وَٱلۡبَغۡضَآءُ
أَبَدًا حَتَّىٰ تُؤۡمِنُواْ بِٱللَّهِ وَحۡدَهُۥٓ
“Yaqeenan tumhãre liye Ibrãheem aur un logon mein jo
uske saath the ek achchha namuna tha, jab unhone apni qaum se kaha ke beshak ham tumse aur un
tamãm cheezon se bari hai jinhe tum Allah
ke siwa poojte ho, ham tumhen naheen maante aur hamãre darmiyãn aur tumhãre darmiyãn hamesha ke liye dushmani
aur bughhaz zãhir ho gaya, yahãn tak ke tum us akele Allah par imaan
lão.” [Al-Mumtahanah # 60:4]
Aayat 28
وَجَعَلَهَا كَلِمَةَۢ
بَاقِيَةٗ فِي عَقِبِهِۦ لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ ٢٨
“Aur usne is (tuaheed ki baat)
ko apne pichlo mein baaqi rehne wali baat bana diya, tãke wo rujo karein.”
Saiyyadna Ibrãheem {(AS)Alehis Salam} ne
apni aulaad ko bhi yahi tãleem di thi aur saath yeh tãkeed
bhi kar di thi ke agar tum mein koi ikhtilaf wãqae ho jaaye to usi kalma e tauheed ki taraf rujo
karna aur meri is tãleem ko kabhi na bhulna. woh tãleem
yahi thi ke Allah ka siwa koi cheez aisi naheen Jo prastish ke qaabil ho.
Ayat 29 & 30
بَلۡ مَتَّعۡتُ
هَٰٓؤُلَآءِ وَءَابَآءَهُمۡ حَتَّىٰ جَآءَهُمُ ٱلۡحَقُّ وَرَسُولٞ مُّبِينٞ ٢٩ وَلَمَّا
جَآءَهُمُ ٱلۡحَقُّ قَالُواْ هَٰذَا سِحۡرٞ وَإِنَّا بِهِۦ كَٰفِرُونَ ٣٠
“Balke main ne unhen aur unke baap dãda ko baratne ka sãman diya, yahãn tak ke unke pass haq aa gaya aur woh rasool Jo khol kar bayãn karne wãla hai. aur jab unke pass
haq aaya to unhone kaha ke yeh jãdu hai aur beshak ham isse
munkir hain.”
Yãni un kuffãr
ki gumrãhi ka yeh sabab naheen ke unke paas bahot arse se koi
rasool naheen aaya, balke unki gumrãhi ka asal sabab yeh hai
ke main ne unko bhi aur unke aabo ajdaad ko bhi dunyãwi saaz o sãmaan
se khob nawãza aur yeh log duniyãwi saaz o sãmaan
mein kho gaye, mujh se aur mere ahkãmãt se ghhãfil
ho gaye, kalma tauheed ko, jo unhe ibrãheem {(AS)Alehis Salam} se
mila tha, bhool gaye aur pori tarah shirk mein mubtela ho gaye, yahãn
tak ke unke pass Allah ke rasool wazaye haq le aaye. Tab bhi unhone ne shirk ko
na chhorha aur Allah ke Rasool (ﷺ) ko
jãdugar
kaha. Shirk o zalãlat ki wãdiyon mein bhatakte hue
itni door nikal gaye ki raah haq par unka laut kar aana nãmumikin
sa ho gaya. Unki isi fitrat ki taraf ishãra karte hue Allah tãla
ne irshãd farmãya:
بَلۡ عَجِبۡتَ
وَيَسۡخَرُونَ ١٢ وَإِذَا ذُكِّرُواْ لَا
يَذۡكُرُونَ ١٣ وَإِذَا رَأَوۡاْ ءَايَةٗ
يَسۡتَسۡخِرُونَ ١٤ وَقَالُوٓاْ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا سِحۡرٞ مُّبِينٌ ١٥
“balke tune ta’ajjub kiya aur woh
mazaaq udãte hain. Aur jab unhen nasihat ki jãye woh qubool naheen karte. Aur jab koi nishãni dekhte hain to khob mazaaq udãte hain. Aur kehte hain yeh
saaf jãdu ke siwa kuchh naheen.” [As-Saaffat # 37: 12
to 15]
Ayat 31
وَقَالُواْ لَوۡلَا نُزِّلَ
هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانُ عَلَىٰ رَجُلٖ مِّنَ ٱلۡقَرۡيَتَيۡنِ عَظِيمٍ ٣١
“Aur unhone ne kaha yeh Qurãn un do basityon mein se
kisi bade aadmi par kyun nãzil na kiya gaya?”
Ahl e quresh fakhr o ghhuroor mein aa
kar kehte the ke mansab risãlat makka ke waleed bin mughhera ya
taif ke urwa bin masood jaise aadmi ko milna chãhiye, jo duniyãwi
maal o jaah wãle hain. Yeh bhi unki kor maghzi aur ghayat darja ki
maada parasti thi ke risãlat jaise azeem mansab ka haq daar
kisi duniyadaar ko samjhte the, hãlãnki yeh to rohãniyat
ka woh azeem tareen rutba hai jiska mustahiq wahi insaan ho sakta hai jo safãi
qalab, tahãrat nafs, ikhlaaq o fazail aur qudsi kamãlaat
ke aala tareen muqaam par fãyiz ho.
Ayat 32
أَهُمۡ يَقۡسِمُونَ
رَحۡمَتَ رَبِّكَۚ نَحۡنُ قَسَمۡنَا بَيۡنَهُم مَّعِيشَتَهُمۡ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۚ
وَرَفَعۡنَا بَعۡضَهُمۡ فَوۡقَ بَعۡضٖ دَرَجَٰتٖ لِّيَتَّخِذَ بَعۡضُهُم بَعۡضٗا
سُخۡرِيّٗاۗ وَرَحۡمَتُ رَبِّكَ خَيۡرٞ مِّمَّا يَجۡمَعُونَ ٣٢
“Kya woh tere rab ki rahmat taqseem
karte hain? Ham ne khud unke darmiyãn unki maeyshat duniya ki
zindagi mai taqseem ki and unmen se baaz ko baaz par darjo mai buland kiya, tãke unke baaz, baaz ko ta’abe bana le aur tere rab ki rahmat
un cheezon se behtar hai jo woh jama karte hain.”
Farmãya ke ae rasool ! kya yeh
aap ke rab ki rehmat yãni nabuwat ko taqseem karne wãle
hain? Nabuwat ko taqseem karna unka kaam naheen, yeh to khãlis
Allah tãla ka kaam hai. woh jis ko chãhata hai nabuwat ata farmãta
hai, nabi ka intekhaab Allah tãla karta hai aur wahi khoob jãnta
hai ke kaun is mansab ka ahel hai aur kaun naheen? Jaisa ke irshãd
farmãya:
ٱللَّهُ أَعۡلَمُ حَيۡثُ
يَجۡعَلُ رِسَالَتَهُۥۗ
“Allah ziyãda jãnne wãla hai jahãn vo apni rasãlat rakhta hai.” [Al-An'am # 6:124]
Aur farmãya:
ٱللَّهُ يَصۡطَفِي مِنَ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةِ
رُسُلٗا وَمِنَ ٱلنَّاسِۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَمِيعُۢ بَصِيرٞ ٧٥
“Allah farishton mein se paighhãm pahunchãne wãle chunta hai aur logon se bhi, beshak Allah sab kuchh sunne wãla, sab kuchh dekhne wãla hai.” [Al Ḥajj # 22:75]
Aage farmãya ke kiya woh dekhte naheen
ke duniya ki zindagi mein unhen unki rozi ham muhiyya karte hain. Aise ãjiz
log Allah par aitraaz karne ki kaise jurrat karte hain aur kehte hain ke Mohammad (ﷺ) jaise
faqeer aadmi ko Allah ne kyun apna rasool bana diya? Allah ki zaat woh hai
jisne insãnon ko mukhtalif tabqaat o darjaat mein baant rakha
hai, kisi ko maldaar banãya hai to kisi ko faqeer, phir faqeer
ko maldaar ke liye muskhar kar diya hai, tãke uski qidmat kare aur jo
mazdoori mile usse apni zarurat poori
kare. Na maldaar ki maldãri is baat ki daleel hai ke woh Allah
ke nazdeek mehboob hai aur na faqeer ki mohtaji is baat ki daleel hai ke woh
Allah ke nazdeek mabghoz hai. Yeh ikhtilaf darjaat Allah ki hikmat o maslihat
ke mutãbiq hai, lekin wãfir rizq aur buland
martaba is baat ka mutqaazi naheen ke ham jise rizq aur martabe mein fazilat
den use nabuwat bhi ata kar den. Nabuwat
ke liye jis ahliyat aur qãbiliyat ki zarurat hai woh Allah hi
khoob jãnta hai. ãyat ke aakhir mein Allah tãla
ne farmãya ki mansab e nabuwat duniya ke maal o jaah se kaheen
ziyãda
behtar hai, uska laazmi nateeja yeh hai jinhen yeh nabuwat di gayi hai, yãni nabi kareem (ﷺ), woh un logon se kaheen behtar hain jo agarche maal o daulat rakhte hain,
lekin Allah ki nigãh mein adna aur haqeer tareen log
hain.
Ayat 33 to 35
وَلَوۡلَآ أَن يَكُونَ ٱلنَّاسُ
أُمَّةٗ وَٰحِدَةٗ لَّجَعَلۡنَا لِمَن يَكۡفُرُ بِٱلرَّحۡمَٰنِ لِبُيُوتِهِمۡ
سُقُفٗا مِّن فِضَّةٖ وَمَعَارِجَ عَلَيۡهَا يَظۡهَرُونَ ٣٣ وَلِبُيُوتِهِمۡ
أَبۡوَٰبٗا وَسُرُرًا عَلَيۡهَا يَتَّكُِٔونَ ٣٤ وَزُخۡرُفٗاۚ وَإِن كُلُّ
ذَٰلِكَ لَمَّا مَتَٰعُ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۚ وَٱلۡأٓخِرَةُ عِندَ رَبِّكَ
لِلۡمُتَّقِينَ ٣٥
“Aur agar yeh na hota ke sab log ek hi ummat ho jãyenge to yaqeenan ham un logo ke liye jo rahmãn ke saath kufr karte hain, unke gharon ki chhaten chaandi ki
bana dete aur seediyãn bhi, jin par woh chhadte
hain. Aur unke ghãron ke darwãze aur takht bhi, jin par woh takiya lagãte hain. (chaandi ke bana dete) aur sone ke aur yeh sab kuchh
duniya ki zindagi ke sãmaan ke siwa kuchh naheen aur
aakhirat tere rab ke haan muttaqi logon ke liye hai.”
Is ãyat mein Allah tãla
ne farmãya ke agar yeh baat na hoti to sãre
log hi kãfir ho jãyenge, to duniya to woh haqeer shai
hai ke hum tamãm kãfiron ke gharon ki chhaton aur seediyon
ko chaandi ka bana dete aur unke gharon ke darwãzo, charpãiyyon
aur kursiyon ko bhi chaandi ka bana dete. Ham unhe sone aur jawãhar
ke bane sãmaan haye zeenat se bhi
nawãz
dete, tãke woh kufr wa tuqyaan mein badhte chale jãte
aur shadeed tareen azaab ke mustahiq bante. Isliye ke duniya ki ãrzi
nematon ki Allah ki nazdeek koi haisiyat naheen hai. Duniya fãni
hai aur iska maal o mata’a bhi fãni aur chand roza hai, jaisa ke irshãd
farmãya:
ٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّمَا ٱلۡحَيَوٰةُ
ٱلدُّنۡيَا لَعِبٞ وَلَهۡوٞ وَزِينَةٞ وَتَفَاخُرُۢ بَيۡنَكُمۡ وَتَكَاثُرٞ فِي ٱلۡأَمۡوَٰلِ
وَٱلۡأَوۡلَٰدِۖ كَمَثَلِ غَيۡثٍ أَعۡجَبَ ٱلۡكُفَّارَ نَبَاتُهُۥ ثُمَّ يَهِيجُ
فَتَرَىٰهُ مُصۡفَرّٗا ثُمَّ يَكُونُ حُطَٰمٗاۖ وَفِي ٱلۡأٓخِرَةِ عَذَابٞ شَدِيدٞ
وَمَغۡفِرَةٞ مِّنَ ٱللَّهِ وَرِضۡوَٰنٞۚ وَمَا ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَآ إِلَّا
مَتَٰعُ ٱلۡغُرُورِ ٢٠
“Jaan lo ke beshak duniya ki zindagi
iske siwa kuchh naheen ke ek khel hai aur dillagi hai aur banão singaar hai aur tumhãre aapas mein ek doosre
par badãi jatãna hai aur amwaal aur aulaaad
mein ek doosre se badh jãne ki koshish karna hai,
us bãrish ki tarah jisse ugne wãli kheti ne kãshtkãro ko khush kar diya, phir woh pak jãti hai, phir tu use dekhta
hai ke zard hai, phir woh chura ban jãti hai aur aakhirat mein bahot
sakht azaab hai aur Allah ki taraf se badi bakshish aur khushnoodi hai aur
duniya ki zindagi dhoke ke sãmaan ke siwa kuchh naheen.” [Al-Hadid # 57:20]
Saiyyadna Sahal bin Saeed (Razi
Allahu anhu) bayãn karte hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “Agar duniya ki haisiyat Allah ke
nazdeek ek machchhar ke par ke barãbar bhi hoti to Allah tãla
usmein se kisi kãfir ko ek ghont paani bhi na pilãta.”
[Tirmizi 2320]
وَٱلۡأٓخِرَةُ
عِندَ رَبِّكَ لِلۡمُتَّقِينَ
Yãni aakhirat aap ke rab ke
haan khãs parhezgãron hi ke liye hai, unke
alãwa
koi aur usmein unka sharik naheen ho sakega, jaisa ke Saiyyadna Abdullah bin
Abbãs (Razi
Allahu anhu) bayãn karte hain ke jab Saiyyadna Umar (Razi
Allahu anhu) Allah ke Rasool (ﷺ) ke pass aap ke
balã khãne
mein gaye aur tab apne apni azwaaj mutãharat se ‘eela’ kar rakha
tha. Jab dekha ke aap ek chatãi ke tukde par lete hue hain, jiske
nishãn aap ke jism mubãrak par numãyãn
hain to woh rone lage aur kehne lage, ae Allah ke rasool ! aap Allah tãla
se dua farmãiye ke woh aap ki ummat ko kushãdgi
ata karde, fãris aur rome ke
log to khoob aish o ishrat mein hain, duniya unhe khoob mili hui hai, hãlãnke
woh Allah tãla ki ibãdat bhi naheen karte. Allah ke Rasool (ﷺ) takiya lagãye hue the, farmãne
lage: “ae ibne khatãb ! kya tu abhi shak mein hai? Yeh to
woh log hain jinki nekiyon ka badla unhen duniya hi ki zindagi mai jaldi ata
kar diya gaya hai.” [Bukhari 2468, Muslim 1479]
Saiyyadna Huzefa (Razi Allahu anhu)
bayãn
karte hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “aur tum sone aur chaandi ke bartanon
mein na piyo aur na unki pleyton mein khão, kyunke yeh, un (kãfiro)
ke liye duniya mein hain aur hamãre liye aakhirat mai.” [Bukhari 5426,
Muslim 2067]
Ayat 36
وَمَن يَعۡشُ عَن ذِكۡرِ ٱلرَّحۡمَٰنِ
نُقَيِّضۡ لَهُۥ شَيۡطَٰنٗا فَهُوَ لَهُۥ قَرِينٞ ٣٦
“Aur jo shaks Rahmãn ki nasihat se andha ban jãye ham uske liye ek shaitaan muqarrar kar dete hain, phir woh
uske saath rehne wãla hota hai.”
Is ãyat karima mai Allah tãla
ne Qurãn kareem ki ahmiyat bayãn ki hai jo log Qurãn
aur usmein maujood ahkaam se airaaz karte aur use chhorh kar digar gumrãhiyon
ko apnãte hain, Allah tãla bataur uqaab unke peechhe
shaitaan laga deta hai, phir shaitaan jo kuchh kehta hai woh wahi kaam karte
hai, jaisa ke irshãd farmãya:
وَٱلَّذِينَ يُنفِقُونَ
أَمۡوَٰلَهُمۡ رِئَآءَ ٱلنَّاسِ وَلَا يُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَلَا بِٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۗ
وَمَن يَكُنِ ٱلشَّيۡطَٰنُ لَهُۥ قَرِينٗا فَسَآءَ قَرِينٗا ٣٨
“Aur woh log jo apne amwaal logon
ke dikhãwe ke liye kharch karte hain aur na Allah
par iman lãte hai aur na yaum e aakhirat par,
aur woh shakhs ke shaitaan uska saathi ho to woh bura saathi hai.” [An-Nisa # 4:38]
Aur farmãya:
إِن يَدۡعُونَ مِن دُونِهِۦٓ
إِلَّآ إِنَٰثٗا وَإِن يَدۡعُونَ إِلَّا شَيۡطَٰنٗا مَّرِيدٗا ١١٧ لَّعَنَهُ ٱللَّهُۘ
وَقَالَ لَأَتَّخِذَنَّ مِنۡ عِبَادِكَ نَصِيبٗا مَّفۡرُوضٗا ١١٨ وَلَأُضِلَّنَّهُمۡ
وَلَأُمَنِّيَنَّهُمۡ وَلَأٓمُرَنَّهُمۡ فَلَيُبَتِّكُنَّ ءَاذَانَ ٱلۡأَنۡعَٰمِ
وَلَأٓمُرَنَّهُمۡ فَلَيُغَيِّرُنَّ خَلۡقَ ٱللَّهِۚ وَمَن يَتَّخِذِ ٱلشَّيۡطَٰنَ
وَلِيّٗا مِّن دُونِ ٱللَّهِ فَقَدۡ خَسِرَ خُسۡرَانٗا مُّبِينٗا ١١٩ يَعِدُهُمۡ
وَيُمَنِّيهِمۡۖ وَمَا يَعِدُهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ إِلَّا غُرُورًا ١٢٠ أُوْلَٰٓئِكَ
مَأۡوَىٰهُمۡ جَهَنَّمُ وَلَا يَجِدُونَ عَنۡهَا مَحِيصٗا ١٢١ وَٱلَّذِينَ
ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ سَنُدۡخِلُهُمۡ جَنَّٰتٖ تَجۡرِي مِن
تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۖ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٗاۚ
وَمَنۡ أَصۡدَقُ مِنَ ٱللَّهِ قِيلٗا ١٢٢
“Woh uske siwa naheen pukãrte magar moanison ko aur naheen pukãrte magar sarkash shaitaan
ko. Jis par Allah ne lãnat ki aur jisne kaha ke
main har surat tere bandon se ek muqarrar hissa zarur lunga. Aur yaqeenan main
unhe zaroor gumrãh karunga aur yaqeenan main
unhen zaroor aarzooen dilãunga aur yaqeenan main
unhen zaroor hukum doonga to yaqeenan woh zaroor chaupãyon ke kaan kãtenge aur yaqeenan main
unhen zaroor hukum doonga to yaqeenan woh zaroor Allah ki paida ki hui surat badlege aur jo koi shaitan ko Allah ki siwa dost banãye to yaqeenan usne khasãra uthãya, waze khasãra. Woh unhen waade deta hai aur unhen aarzooen dilãta hai aur shaitan unhen dhoke ke siwa kuchh waada naheen deta. Yeh log
hain jinka thikãna jahannum hai aur woh
usse bhãgne ki koi jaga naheen pãyenge. Aur woh log jo imaan lãye aur unhone nek ãmaal kiye, anqareeb ham unhe aise bãghhon mein dãkhil karenge jnike niche se nehren behti hain, hamesha unmein rehne wãle hamesha. Allah ka sachcha waada hai aur Allah se ziyãda baat mein kaun sachcha hai.” [An-Nisa 4:117 to 122] Aur
farmãya:
ٱسۡتَحۡوَذَ عَلَيۡهِمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ
فَأَنسَىٰهُمۡ ذِكۡرَ ٱللَّهِۚ أُوْلَٰٓئِكَ حِزۡبُ ٱلشَّيۡطَٰنِۚ أَلَآ إِنَّ
حِزۡبَ ٱلشَّيۡطَٰنِ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ ١٩
“Shaitaan un par ghhãlib aa gaya, so usne unhe Allah ki yaad bhula di, yeh log shaitaan ka
giroh hain. Sun lo! Yaqeenan shaitaan ka giroh hi woh log hain jo khasãra uthãne wãle hain.” [Al-Mujadila # 58:19]
Saiyyadna
Abdullah bin Masood (Razi Allahu anhu) bayãn karte hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “tum mein se har ek ke saath
Allah tãla ne uska saath jin muqarrar kar rakha hai.” Sahãba
ne daryãft kiya, ya Allah ke Rasool ! kiya aap ke saath bhi?
Aap ne jawaab diya: “haan ! mere saath bhi, magar Allah tãla
ne uske muqabile mein meri madad farmãi hai woh mera (mataye) ho
gaya hai. Ab woh mujhe khair ke siwa aur koi hukum naheen deta.” Doosri riwãyat
mai yeh alfaaz hain: “tum mein se har kisi ke saath uska ek saathi jino mein se
aur ek saath farishton mai se muqarrar kar diya gaya hai.” [Muslim 2814]
Ayat 37
وَإِنَّهُمۡ
لَيَصُدُّونَهُمۡ عَنِ ٱلسَّبِيلِ وَيَحۡسَبُونَ أَنَّهُم مُّهۡتَدُونَ ٣٧
“Aur beshak woh zaroor unhen asal raaste
se rokte hain aur yeh samjhte hain ke beshak woh seedhi raah par chalne wãle hain.”
Yãni woh shayãteen
Qurãn
se airaz karne wãlon ko raah e haq ki itba se rokte
rehte hain aur unke dil mein khayaal dãlte rehte hain ke woh haq
par hain, hãlãnke yeh sab kuchh shaitãnon
ka dhoka aur fareb hota hai. Alghharz is tarah shayãteen insãnon
ko sahi raste par naheen aane dete, jaisa ke irshãd farmãya:
وَعَادٗا وَثَمُودَاْ وَقَد
تَّبَيَّنَ لَكُم مِّن مَّسَٰكِنِهِمۡۖ وَزَيَّنَ لَهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ
أَعۡمَٰلَهُمۡ فَصَدَّهُمۡ عَنِ ٱلسَّبِيلِ وَكَانُواْ مُسۡتَبۡصِرِينَ ٣٨
“Aur aad aur samood ko
(ham ne halaak kiya) aur yaqeenan unke rehne ki kuchh jagãhen tumhãre saamne aa chuki hain
aur shaitaan ne un ke liye unke kaam mazeen kar diye, bas unhe asal raste se
rok diya, hãlãnke woh bahot samajhdaar
the.” [Al-Ankabut
# 29:38] Aur farmãya:
تَٱللَّهِ
لَقَدۡ أَرۡسَلۡنَآ إِلَىٰٓ أُمَمٖ مِّن قَبۡلِكَ فَزَيَّنَ لَهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ
أَعۡمَٰلَهُمۡ فَهُوَ وَلِيُّهُمُ ٱلۡيَوۡمَ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ ٦٣
“Allah ki qasam ! bilãshuba yaqeenan ham ne tujh se pehle bahot si ummaton ki taraf rasool
bheje to shaitaan ne unke liye unke ãmal khushnuma bana diye.
So wahi aaj unka dost hai aur unhi ke liye dardnaak azaab hai.” [An-Nahl # 16:63]
Ayat 38
حَتَّىٰٓ
إِذَا جَآءَنَا قَالَ يَٰلَيۡتَ بَيۡنِي وَبَيۡنَكَ بُعۡدَ ٱلۡمَشۡرِقَيۡنِ
فَبِئۡسَ ٱلۡقَرِينُ ٣٨
“Yahãn tak ke jab woh hamãre paas aayega to kahega ae
kaash ! mere darmiyãn aur tere darmiyãn do mashriqon ka faasla hota, bas woh bura saathi hai.”
Is ãyat
mein Allah tãla ne farmãya
ke qayãmat ke din hamãre saamne woh dono hãzir
honge, to Qurãn kareem se munh pherne wãla apne shaitaan dost se
kahega ke ae kaash ! mere aur tere darmiyãn mashriq o maghhrib ki doori
hoti, lekin us waqt bezãri se kuchh hãsil naheen hoga. To ae
logo ! hoshiyaar ho jão, beshak shaitaan insaan ka bura saathi
hai. Usse duniya mai bezãri ka izhar karoge to tumhe koi fãyda
naheen pahunchãega, warna aakhirat mein uske saath saath tumhen bhi
dozakh mein daal diya jãega.
Ayat 39
وَلَن يَنفَعَكُمُ ٱلۡيَوۡمَ
إِذ ظَّلَمۡتُمۡ أَنَّكُمۡ فِي ٱلۡعَذَابِ مُشۡتَرِكُونَ ٣٩
“Aur aaj yeh baat tumhen hargiz nafa
na degi, jab ke tum ne zulm kiya ke beshak tum (sab) azaab mein shareek ho.”
Yãni us din Allah tãla
unse kahega ki duniya mein Allah tãla ke saath ghhairon ko
shareek banãne ki wajah se tum par aaj ke din azaab wãjib
ho gaya hai, ab koi tamanna tumhen kam naheen degi aur tum sab yãni tum aur tumhãre
shayãteen dost jahannum ke azaab mein barãbar
ke shareek hoge.
Arabic 40-42
أَفَأَنتَ تُسۡمِعُ ٱلصُّمَّ
أَوۡ تَهۡدِي ٱلۡعُمۡيَ وَمَن كَانَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ ٤٠ فَإِمَّا نَذۡهَبَنَّ
بِكَ فَإِنَّا مِنۡهُم مُّنتَقِمُونَ ٤١ أَوۡ نُرِيَنَّكَ ٱلَّذِي وَعَدۡنَٰهُمۡ
فَإِنَّا عَلَيۡهِم مُّقۡتَدِرُونَ ٤٢
“Phir kya tu behron ko sunãega, ya andhon ko raah dikhãega aur unko jo saf gumrãhi mein pade hain. bas agar kabhi ham tujhe le hi jãenge to beshak ham unse inteqaam lene wãle hain. Ya ham wãqai tujhe woh (azaab)
dikha den jiska ham unse wãda kiya hai to beshak ham
un par poori khudrat rakhne wãle hain.”
Nabi kareem (ﷺ) kuffãr makka ki rashd o hidãyat
ki badi khawãhish rakhte the, isi liye unke saamne dãwat
haq pesh karne ki har mumkin koshish karte aur unki sard mohri aur be aetnayi
dekh kar malol khãtir hote, to Allah tãla
unhen tasalli deta aur kehta ke aap ka kaam to sirf dãwat islaam pesh kar dena
hai. Hidãyat dena to sirf Allah ka kaam hai aur kuffãr e
makka to behre hain, unse to qu’at sama’at salab kar li gayi hai, yeh kab Allah
ki ãyato
aur daleelon ko sun sakenge? Yeh to andhe hain, qu’at basãrat
se mehroom hain, Allah ki nishãniyon koi dekh kar bhi unse ibrat hãsil
nahin kar sakenge. Seedhi raah se koson door nikal gaye hain, ab raah e raast
par naheen aa sakenge, jaisa ke doosri jagah Allah tãla ne irshãd
farmãya:
إِنَّكَ لَا تُسۡمِعُ ٱلۡمَوۡتَىٰ
وَلَا تُسۡمِعُ ٱلصُّمَّ ٱلدُّعَآءَ إِذَا وَلَّوۡاْ مُدۡبِرِينَ ٨٠ وَمَآ أَنتَ
بِهَٰدِي ٱلۡعُمۡيِ عَن ضَلَٰلَتِهِمۡۖ إِن تُسۡمِعُ إِلَّا مَن يُؤۡمِنُ بَِٔايَٰتِنَا
فَهُم مُّسۡلِمُونَ ٨١
“Beshak tu na murdon ko sunãta hai aur na behron ko apni pukãr sunãta hai, jab woh peeth pher kar palat jãyen. Aur na tu kabhi
andhon ko unki gumrãhi se raah par lãne wãla hai, tu naheen sunãyega magar unhi ko jo hamãri ãyat par imaan rakhte hain, phir woh farmãbardãr hain.” [An-Naml # 27: 80 & 81]
Agli ãyat mai Allah tãla
ne farmãya ke ya to aap un par ghãlib aane se pehle hi
duniya se rukhsat ho jãyenge , to haum unke kufr o shirk ka
inteqaam azaab e jahannum ke zariye se lenge, ya apne wãde ke mutãbiq
apni qudrat ka karishma aap ko duniya hi mein dikha denge, garz yeh ke agar yeh
kufr o shirk se baaz na aaye to un par azaab zaroor nãzil hoga, khuwah aap ki
zindagi mein nãzil ho, ya aap ki wafaat ke baad nãzil
ho, jaisa ke irshãd farmãya:
وَإِمَّا
نُرِيَنَّكَ بَعۡضَ ٱلَّذِي نَعِدُهُمۡ أَوۡ نَتَوَفَّيَنَّكَ فَإِلَيۡنَا
مَرۡجِعُهُمۡ ثُمَّ ٱللَّهُ شَهِيدٌ عَلَىٰ مَا يَفۡعَلُونَ ٤٦
“Aur agar kabhi ham tujhe uska kuchh
hissa wãqai dikhla den jiska ham unse wãda karte hain, ya tujhe utha hi len to hamãri hi taraf unko laut kar
aana hai, phir Allah us par achchhi tarah gawãh hai jo woh kar rahe hain.” [Yunus # 10:46]
Saiyyadna
abubardah apne baap se bayãn
karte hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne
farmãya: “sitãre ãsmaan ke bachãv
ka sabab hain, jab sitãre jhad jãyenge to ãsmaan
par woh cheez waqe ho jãegi jiska woh wãda
diya jãta hai (yãni ãsmaan
phat jãyega) aur main apne ashab ke liye zariya e aman hoon, mere
jãne
ke baad mere sahãba par woh daur aajãega
jiska yeh wãda diye jãte hain.” [Muslim 2531]
Ayat 43 & 44
فَٱسۡتَمۡسِكۡ بِٱلَّذِيٓ
أُوحِيَ إِلَيۡكَۖ إِنَّكَ عَلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ ٤٣ وَإِنَّهُۥ لَذِكۡرٞ
لَّكَ وَلِقَوۡمِكَۖ وَسَوۡفَ تُسَۡٔلُونَ ٤٤
“Bas tu usko mazbooti se pakde rakh
jo teri taraf wahi kiya gaya hai, yaqeenan tu seedhe raste par hai. Aur bilãshuba woh yaqeenan tere liye aur teri qaum ke liye ek nasihat hai aur anqareeb tum se pochha
jãega.”
Nabi kareem
(ﷺ) ko
tassalli di ja rahi hai ke jab kuffãr e makka ka haal woh hai
jo guzishta ãyat mein bayãn hua hai, yãni
dãwat
e haq se istafãdah ki har salãhiyat unse salab kar li
gayi hai, to aap unke kufr o shirk par ghhamgeen na hoon, balke jo Qurãn
aap par nãzil hua hai aur jo deen e haq aap ko diya gaya hai us
par gãmzan reh kar Allah ka shukr ada kijiye. Jo Qurãn
aap par nãzil hua hai woh aap aur aap ki ummat ke liye nihãyat
ba’as e sharf o izzat hai aur woh ibrat o mau’azzit aur shara’e islaam ka khazãna
hai. Qayãmat ke din apki ummat se pochha jãyega
ke unhone kis had tak ahkaam e qurãni ki pãbandi
ki?
فَٱسۡتَمۡسِكۡ
بِٱلَّذِيٓ أُوحِيَ إِلَيۡكَۖ إِنَّكَ عَلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Saiyyadna
Muawiya (Razi Allahu anhu) bayãn
karte hain Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “ye amr (yãni
khilãfat wa amãrat) quresh mai hi rahega,
jo unse (is mãmle mai) jhagdega (aur use unse chheenega), use Allah
tãla
jahannum mein ondhe munh girãega, us waqt tak jab tak woh deen ko
qãyam
rakhege.” [Bukhari 7139]
Ayat 45
وَسَۡٔلۡ مَنۡ أَرۡسَلۡنَا
مِن قَبۡلِكَ مِن رُّسُلِنَآ أَجَعَلۡنَا مِن دُونِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ءَالِهَةٗ
يُعۡبَدُونَ ٤٥
“Aur un se
pochh jinhen ham ne tujh se pehle apne rasoolon mein bheja, kiya ham ne Rahmãn ke siwa koi ma’abood banãye hain, jinki ibãdat ki jãye?”
Tamãm ambiyae ikrãm {(AS)Alehis Salam} ne sirf tauheede bãritãla ki dawãt di, kisi ne bhi buton ki parastish ki taraf logon ko naheen bulãya, Yãni aap ne
ahl e quresh ke saamne koi nayi dãwat pesh
naheen ki ke woh aap ki takzeeb kar rahe hain aur aap ke dar pe aazar hain. Yeh
to wahi dãwat hai
jo tamãm ambiya
ne apni qaumo ke saamne pesh ki thi. Har nabi ne apni qaum ko yahi nasihat ki
ke Allah ki ibãdat karo,
uske alãwa koi ilah
naheen, jaisa ke irshãd farmãya:
وَمَآ أَرۡسَلۡنَا مِن
قَبۡلِكَ مِن رَّسُولٍ إِلَّا نُوحِيٓ إِلَيۡهِ أَنَّهُۥ لَآ إِلَٰهَ إِلَّآ
أَنَا۠ فَٱعۡبُدُونِ ٢٥
“Aur ham
ne tujhse pehle koi rasool naheen bheja magar uski taraf yeh wahi karte the ke
beshak haqeeqat yeh hai ke mere siwa koi maabood naheen, so meri ibãdat karo.” [Al-Anbiya # 21: 25] Aur farmãya:
وَلَقَدۡ بَعَثۡنَا فِي
كُلِّ أُمَّةٖ رَّسُولًا أَنِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ وَٱجۡتَنِبُواْ ٱلطَّٰغُوتَۖ
“Aur
bilãshuba
yaqeenan ham ne har ummat mai ek rasool bheja ke Allah ki ibãdat karo aur taghoot se bacho.” [An-Nahl
# 16:36]
Ayat 46 & 47
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا
مُوسَىٰ بَِٔايَٰتِنَآ إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ وَمَلَإِيْهِۦ فَقَالَ إِنِّي رَسُولُ
رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ ٤٦ فَلَمَّا
جَآءَهُم بَِٔايَٰتِنَآ إِذَا هُم مِّنۡهَا يَضۡحَكُونَ ٤٧
“Aur bilãshuba yaqeenan ham ne Moosa ko apni nishãniyon ke saath firaun aur uske sardãron ke paas bheja to usne kaha beshak main
tamãm jahãno ke rab ka bheja hua hoon. To jab woh unke
paas hamãri nishãniyãn le kar aaya, achãnak woh unke bãre mein hans rahe the.”
Allah tãla ne apne bande va Rasool Moosa
{(AS)Alehis Salam} ke bãre mein
bayãn farmãya hai ke unhen firaun aur uski qaum ke amrae, wazãra, qãyedeen,
peerokãron aur
qabti wa israeli riãya ki taraf maaboos farmãya, tãke woh unhe Allah tãl ki ibãdat ki dãwat dein
aur Allah tãla ke alãwa har cheez ki pooja se mana karein. Unhein bade bade muajizaat
bhi ata kiye, maslan yadbeza aur asa. Uske alãwa toofãn, tiddi
dal, juon, mendakon aur khoon ke azaab aur phir faslon, jãnwaron aur phalon ki kami ki surat mein azaab, magar us sab ke bãwajood unhone takkabur kiya aur itba’a o ata’at se inkaar kiya aur
in maujizzat ke lãne wãle ki takzeeb ki aur uska mazaaq udãya. Azãbãt ka tazkira karte hue doosre muqaam par Allah tãla ne irshãd farmãya:
وَلَقَدۡ أَخَذۡنَآ ءَالَ
فِرۡعَوۡنَ بِٱلسِّنِينَ وَنَقۡصٖ مِّنَ ٱلثَّمَرَٰتِ لَعَلَّهُمۡ يَذَّكَّرُونَ
١٣٠
“Aur bilãshuba yaqeenan ham ne firaun ki aal ko qehat sãliyon aur paidãwaar ki
kami ke saath pakda, tãke woh
nasihat pakdein.” [Al-A'raf # 7:130] Aur farmãya:
فَأَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِمُ ٱلطُّوفَانَ
وَٱلۡجَرَادَ وَٱلۡقُمَّلَ وَٱلضَّفَادِعَ وَٱلدَّمَ ءَايَٰتٖ مُّفَصَّلَٰتٖ فَٱسۡتَكۡبَرُواْ
وَكَانُواْ قَوۡمٗا مُّجۡرِمِينَ ١٣٣ وَلَمَّا وَقَعَ عَلَيۡهِمُ ٱلرِّجۡزُ
قَالُواْ يَٰمُوسَى ٱدۡعُ لَنَا رَبَّكَ بِمَا عَهِدَ عِندَكَۖ لَئِن كَشَفۡتَ
عَنَّا ٱلرِّجۡزَ لَنُؤۡمِنَنَّ لَكَ وَلَنُرۡسِلَنَّ مَعَكَ بَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ
١٣٤ فَلَمَّا كَشَفۡنَا عَنۡهُمُ ٱلرِّجۡزَ إِلَىٰٓ أَجَلٍ هُم بَٰلِغُوهُ إِذَا
هُمۡ يَنكُثُونَ ١٣٥
“To ham
ne un par toofãn bheja
aur tiddiyan aur juyen aur mendak aur khoon, jo alag alag nishãniyãn theen,
Phir bhi unhone takkabur kiya aur woh mujrim log the. Aur jab un par azaab aata
to kehte Ae Moosa ! apne rab se is ahed ke wãste dua kar jo usne tere hãn de rakha hai, yaqeenan agar tu ham se yeh azaab door kar de to ham
zaroor hi tujh par imaan le aayenge aur tere saath bani israel ko zaroor hi
bhej denge. Phir jab hum unse azaab ko waqt tak door kar dete, jaise woh pahunnchne
wãle the to
achãnak woh
ahed tod dete the.” [Al-A'raf # 7:133 to 135]
Ayat 48 to 50
وَمَا نُرِيهِم مِّنۡ
ءَايَةٍ إِلَّا هِيَ أَكۡبَرُ مِنۡ أُخۡتِهَاۖ وَأَخَذۡنَٰهُم بِٱلۡعَذَابِ
لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ ٤٨ وَقَالُواْ يَٰٓأَيُّهَ ٱلسَّاحِرُ ٱدۡعُ لَنَا
رَبَّكَ بِمَا عَهِدَ عِندَكَ إِنَّنَا لَمُهۡتَدُونَ ٤٩ فَلَمَّا كَشَفۡنَا
عَنۡهُمُ ٱلۡعَذَابَ إِذَا هُمۡ يَنكُثُونَ ٥٠
“Aur ham
unhe koi nishãni naheen
dikhlãte the
magar woh apne jaisi (pehli nishãni) se badi hoti aur ham ne unhe azaab mein
pakda, tãke woh
laut aayen. Aur unhone ne kaha ae jãdugar ! hamãre liye apne rab se uske zariye dua kar
jo usne tujhse ahaid kar rakha hai, beshak ham zaroor hi seedhi raah par aane wãle hain. Phir jab ham unse azaab hata
lete, achãnak woh
ahaid tod dete the.”
Is ãyat kareema mai Allah tãla ne is
taraf ishãra kiya
hai ke firaun aur firauniyon ka istehza kuch is wajah se naheen tha ke woh nishãniyãn hi is qãbil na theen ke un par asar andaaz hoti, balke woh aisa mehaz kubr o
inad ki wajah se karte the. Allah tãla ne
farmãya ke har
nishãni pehli
nishãni se
badi hoti thi. Ham ne unhen duniyãvi azaab
mein bhi mubtela kiya ke shãyad is
tarah woh ruju illallahi karen, lekin jab azaab ki sakhti se tilmila uthte to
Moosa se kaha, ae jãdugar!
tum kehte ho ke tumhãra rab
tum par imaan lãne walo
se azaab ko taal deta hai, to dua karo ke woh hamse azaab ko door karde. Agar
aisa ho gaya to ham tum par imaan le aayenge aur jise tum raah e hidãyat kehte ho use ikhtiyãr kar
lenge, chunãnchi hamne
unse azaab ko taal diya, to woh fauran bad ahdi kar baithe aur zalãlat o gumrãhi mein
aur aage badhte chale gaye.
Ayat 51 to 54
وَنَادَىٰ فِرۡعَوۡنُ فِي
قَوۡمِهِۦ قَالَ يَٰقَوۡمِ أَلَيۡسَ لِي مُلۡكُ مِصۡرَ وَهَٰذِهِ ٱلۡأَنۡهَٰرُ
تَجۡرِي مِن تَحۡتِيٓۚ أَفَلَا تُبۡصِرُونَ ٥١ أَمۡ أَنَا۠ خَيۡرٞ مِّنۡ هَٰذَا ٱلَّذِي
هُوَ مَهِينٞ وَلَا يَكَادُ يُبِينُ ٥٢ فَلَوۡلَآ أُلۡقِيَ عَلَيۡهِ أَسۡوِرَةٞ
مِّن ذَهَبٍ أَوۡ جَآءَ مَعَهُ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةُ مُقۡتَرِنِينَ ٥٣ فَٱسۡتَخَفَّ
قَوۡمَهُۥ فَأَطَاعُوهُۚ إِنَّهُمۡ كَانُواْ قَوۡمٗا فَٰسِقِينَ ٥٤
“Aur
firaun ne apni qaum mein munãdi ki, usne kaha ae meri qaum ! kiya mere
paas misr ki bãdshãhi naheen hai? Aur yeh nehren mere tahet
naheen chal raheen? To kiya tum naheen dekhte? Balke main us shakhs se behtar hoon,
woh jo haqeer hai aur Qareeb naheen ke woh baat wãze kare. Bas us par sone ke kangan kyun
naheen daale gaye, ya uske humrãh farishte mil kar kyun naheen aaye? Ghharz
usne apni qaum ko halka (bewazan) kar diya to unhone uski ata’at kar li,
yaqeenan woh nãfarmãn log the.”
Jab Moosa {(AS)Alehis Salam} ki dua se azaab
tal gaya to firaun apne dil mein dara ke kaheen log waqai Moosa {(AS)Alehis Salam} par imaan na
le aaye, isliye usne paintra badalte hue logon se kaha ke kya mai hukumat misr
ka mãlik naheen
hoon? Kya dariya e neel ki chaaron shãkhen mere
mahel ke paas se naheen guzarti hain. Kya tum log meri in tamãm nematon aur khudraton ka mushãhida naheen karte ho? To phir main behtar hoon ya yeh haqeer insaan? Yãni Moosa, jo apni khidmat aap karta hai
aur apni baat wãze naheen
kar pata.
Agar yeh wãqai paighhambar
hai aur bada aadmi hai to uske bhejne wãle ne use sone ke kangan kyun naheen pehna diye? Tãke dekhne wãlo ko mãloom hota ke wãqai yeh
koi bada insaan hai, ya phir aisa kyun na hua ke uske saath kuch farishte hote
jo har dam uske saath rehte aur uski nabuwat ki gawãhi dete?
Firaun ne
apni qaum ke dil mein yeh baat dãlna chãhi ke rasool ko badi shaan o shaukat wãla aur
farishton mein ghira hua hona chãhiye.
Chunãnchi uski
shaitãni chaal
kaam kar gayi, logon ne uski baat maan li aur Moosa {(AS)Alehis Salam} ko jhutla diya. Allah tãla ne farmãya ke woh
log pehle hi se Allah ki bandagi se barghushta the.
Ayat 55 & 56
فَلَمَّآ ءَاسَفُونَا ٱنتَقَمۡنَا
مِنۡهُمۡ فَأَغۡرَقۡنَٰهُمۡ أَجۡمَعِينَ ٥٥ فَجَعَلۡنَٰهُمۡ سَلَفٗا وَمَثَلٗا
لِّلۡأٓخِرِينَ ٥٦
“Phir jab
unhone ne hamein ghhussa dilãya to ham
ne unse inteqaam liya, Bas ham ne un sab ko ghharq kar diya. Bas ham ne unhe
pichhe aane wãlo ke
liye peshro aur misaal bana diya.”
Allah tãla ne farmãya ke jab
firaun aur firauniyon ne hamãre ghaiz o
ghhazab ko bhadka diya, Moosa
aur unke mooajizaat ki takzeeb ki, unhen jãdugar kaha aur imaan lãne ka wãda karke bad-ahdi ki, to hamne unse inteqaam le liya aur tamãm ko dariya mein dubo kar unhen aane wãli qaumo ke liya nishaan e ibrat bana diya, jaisa ke irshãd farmãya:
وَأَنجَيۡنَا مُوسَىٰ وَمَن
مَّعَهُۥٓ أَجۡمَعِينَ ٦٥ ثُمَّ
أَغۡرَقۡنَا ٱلۡأٓخَرِينَ ٦٦ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗۖ وَمَا كَانَ أَكۡثَرُهُم
مُّؤۡمِنِينَ ٦٧ وَإِنَّ رَبَّكَ لَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ
ٱلرَّحِيمُ ٦٨
“Aur ham
ne Moosa ko aur jo uske saath
the, sab ko bacha liya. Phir doosron ko dubo diya. Beshak ismein yaqeenan ek
nishãni hai
aur un ke aksar imaan lãne wãle naheen the. Aur beshak tera rab, yaqeenan wahi sab par ghhãlib, behad rahem wãla hai.” [Ash-Shu'ara
# 26: 65 to 68]
Saiyyadna Abu Moosa Ashãri (Razi Allahu anhu) bayãn karte hain ke Allah ke
Rasool (ﷺ) ne farmãya: “beshak
Allah azzo wajal zaalim ko mohlat deta hai (uski baag dheeli karta hai, tãke woh khoob nãfarmãni kar le aur azaab ka mustahiq ho jãye), tãham phir jab
woh pakadta hai to use chhorhta naheen.” [Bukhari 4686, Muslim 2583]
Ayat 57 & 58
۞وَلَمَّا ضُرِبَ ٱبۡنُ مَرۡيَمَ مَثَلًا إِذَا قَوۡمُكَ مِنۡهُ
يَصِدُّونَ ٥٧ وَقَالُوٓاْ ءَأَٰلِهَتُنَا خَيۡرٌ أَمۡ هُوَۚ مَا ضَرَبُوهُ لَكَ
إِلَّا جَدَلَۢاۚ بَلۡ هُمۡ قَوۡمٌ خَصِمُونَ ٥٨
“Aur jab ibn
e mariyam ko bataur misaal bayãn kiya gaya, achãnak teri qaum (ke log) is par shor macha
rahe the. Aur unhone kaha kiya hamãre ma’abood behtar hain ya woh? Unhone
tere liye yeh (misaal) sirf jhagdne hi ke liye bayãn ki hai, balke woh jhagdãlu log hain.”
Jab surah
anbiya ke ye ãyat
إِنَّكُمۡ
وَمَا تَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ حَصَبُ جَهَنَّمَ
“beshak
tum aur jinhein tum Allah ke siwa poojte ho, jahannum ka endhan hain” nãzil hui to mushrikeen makka ne yeh aitraaz uthãya ke ibãdat to Moosa {(AS)Alehis Salam} ki bhi ki jãti hai, kya woh bhi jahannum ka endhan banege? Phir is aitraaz ka khoob
propaganda shuru kar diya gaya. Unhone yahi sawaal Allah ke Rasool (ﷺ) se kiya to aap khãmosh rahe, kyunki aap khud koi jawaab dene ki nisbat yeh baat ziyãda pasand farmãte the ke
mushrikeen ke aise aitraazat ke jo jawaab bazariya wahi nãzil ho wohi unko diye jãye. Aap
ki khãmoshi par
mushrikeen qehqahe lagãne aur
khilkhila kar hansne lage, jiska matlab yeh tha ke hamãri is daleel ne Mohammad (ﷺ)
ko chup kara diya hai. Mushrikeen makka ne ghhul yeh machãya tha ke Allah ke siwa saare hi maa’abood jahannum ka endhan banenge
to phir Saiyyadna Isa {(AS)Alehis
Salam} hamãre
ma’aboodon se achchhe kaise ho gaye aur hamãre ma’abood unse kam tar kaise ho gaye? Phir to ham apne hi
ma’aboodo ko achchha kahenge.
Aakhri ãyat mein Allah tãla farmãya ke unka maqsad talab e haq naheen, balke mehaz mujadila tha aur
poori qaum e quresh is marz meinmubtela hai ke woh log bãtil ko ghhãlib karne
ke liye jidal ka sahãra lete
hain.
مَا
ضَرَبُوهُ لَكَ إِلَّا جَدَلَۢاۚ بَلۡ هُمۡ قَوۡمٌ خَصِمُونَ
Yãni unhone yeh misaal mehaz jhagadne ke liye pesh ki hai. Saiyyadna Abu imãma (Razi Allahu anhu) bayãn karte hain ke Allah ke
Rasool (ﷺ) ne farmãya: “jo
bhi qaum hidãyat ke
baad gumrãh hui to
unhe jhagde mai mubtela kar diya jãta hai.”
Phir Allah ke Rasool (ﷺ) ne yeh ãyat tilãwat farmãi:
مَا
ضَرَبُوهُ لَكَ إِلَّا جَدَلَۢاۚ بَلۡ هُمۡ قَوۡمٌ خَصِمُونَ
“Unhone
ne tere liye yeh (misaal) sirf jhagadne hi ke liye bayãn ki hai, balke woh jhagdãlo log
hain.” [Musnad Ahmad 22226, Tirmizi 3253, Ibne Maja 48]
Saiyyada Ayesha (Razi Allahu anha) bayan
karti hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne
farmãya: “Allah
tãla ko
admiyon mein se ziyãda na
pasand woh hai jo hat dharm aur sakht jhagdãlo ho.” [Muslim 2668]
Saiyyadna Abdullah bin Amar (Razi Allahu anhuma) bayãn karte hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “chaar khaslaten aisi hain ke jis shakhs mein bhi hoon woh khãlis munãfiq hai
aur jis shakhs mein unmein se koi ek khaslat paayi jaye usmein nafãq ki ek khaslat hogi, yahãn tak ke
use chhorh de. (woh yeh hain) jab use amãnatdaar samjha jãye to
khayãnat kare,
jab baat kare to jhoot kahe, jab ahed kare to use tod dãle aur jab jhagda kare to badzubãni par utar aaye.” [Bukhari 34, Muslim 58]
Ayat 59 & 60
إِنۡ هُوَ إِلَّا عَبۡدٌ
أَنۡعَمۡنَا عَلَيۡهِ وَجَعَلۡنَٰهُ مَثَلٗا لِّبَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ ٥٩ وَلَوۡ
نَشَآءُ لَجَعَلۡنَا مِنكُم مَّلَٰٓئِكَةٗ فِي ٱلۡأَرۡضِ يَخۡلُفُونَ ٦٠
“Naheen
hai woh magar ek banda jis par ham ne inaam kiya aur hamne use bani israel ke
liye ek misaal bana diya. Aur agar ham chãhen to zaroor tumhãre iwaz farishte bana den, jo zameen mein
jãnasheen
hoon.”
Is ãyat kareema mein Allah tãla ne Isa {(AS)Alehis Salam} ka sahi muqaam
bayãn kiya
hai ke woh ma’abood naheen, balke Allah ke anginat bandon mein se ek banda
hain. Allah ne unko mansab e risãlat ke
liye chun liya tha aur unki paidãish ko
bani israel ke liye ibrat o moazzat ka sabab banãya tha. Agli ãyat mein
farmãya ke
Allah tãla har
cheez par qãdir hai,
agar woh chãhata to
insãnon ko
halaak kar deta aur unki jagah zameen mein farishton ko bula kar basa deta, jo
use apne sajdon se ãbaad
karte aur Allah ke saath kisi ko shareek na thaihrãte.
Ayat 61 & 62
وَإِنَّهُۥ
لَعِلۡمٞ لِّلسَّاعَةِ فَلَا تَمۡتَرُنَّ بِهَا وَٱتَّبِعُونِۚ هَٰذَا صِرَٰطٞ
مُّسۡتَقِيمٞ ٦١ وَلَا يَصُدَّنَّكُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُۖ إِنَّهُۥ لَكُمۡ عَدُوّٞ
مُّبِينٞ ٦٢
“Aur bilãshuba woh yaqeenan qayãmat ki ek nishãni hai to tum usme hargiz shak na karo
aur mere pichhe chalo, yeh seedha rãsta hai. Aur kahin shaitan tumhe rok na
de, beshak woh tumhãre liye
khula dushman hai.”
Yãni ae rasool! unse ye bhi keh dijiye ke Ibn e Maryam qayãmat ki nishãni bhi
hain, lihãza tum
qayãmat ke bãre mein shak na karo. Qayãmat aayegi
aur yaqeenan aayegi aur Ibn e Maryam {(AS)Alehis
Salam} qayãmat ke
qareeb ki alãmat ban
kar aayege. Allah ki taraf se mein tumhein jin bãton ka hukum deta hoon un par amal karo, Allah ko ek jãnon, uske saath ghero ko shareek na thaihrão aur usne jo ahkaam farz kiye hain unhein baja lão, yehi seedhi raah hai.
Dekho !
shaitaan tumhãre dilon
mein islaam, quran aur mere bãre mein
shakook o shubãhat paida
karke tumhein dhoke mein na daal de. Meri pairwi karna na chorho, kyunki main
tumhein isi deen ki dãwat de
raha hoon, jo tamaam ambiya e ikrãm {(AS)Alehis Salam} ka deen
tha aur jiski wazãhat o bayãn ke liye tamaam kitãben nãzil hueen. Dekho! shaitaan tumhãra khula dushman hai. Isliye usse badh kar kam aqli kiya hogi ke
tum apne sareeh dushman ki pairwi karo.
وَإِنَّهُۥ
لَعِلۡمٞ لِّلسَّاعَةِ فَلَا تَمۡتَرُنَّ بِهَا
Sahi baat
is bãre mein
yeh hai ke isse murãd unka
qayãmat se
pehle nãzil hona
hai, jaisa ke Allah tãla ne
farmãya:
وَإِن
مِّنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ إِلَّا لَيُؤۡمِنَنَّ بِهِۦ قَبۡلَ مَوۡتِهِۦۖ
“Aur
ahle kitãb mai koi
naheen magar uski maut se pehle us par zaroor imaan lãyega.” [An-Nisa # 4:159]
Saiyyadna Abu Huraira (Razi Allahu anhu) bayãn karte hain ke Allah ke
Rasool (ﷺ) ne farmãya: “qayãmat us waqt tak qãyam naheen
hogi jab tak tum mein Isa {(AS)Alehis Salam}
jo Maryam ke bete hain munsif and hãkim ban kar na nãzil hon.
Woh saleeb tod dege, suwar ka qatal kar denge aur jaziya lena band kar denge.
Tab maal ki itni kasrat hogi ke koi use qubool naheen karega.” [Bukhari 2476]
Saiyyadna Abu Huraira (Razi Allahu anhu) bayãn karte hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “us
zaat ki qasam, jiske haath mein meri jaan hai! woh zamãna qareeb hai jab Maryam ke bete tum mein ãdil hukumrãn ban kar
nãzil
honge. Woh saleeb ko tod phekenge, suwar ko qatal kar denge aur jaziya moquf
kar denge aur us waqt maal ki bahut kasrat hogi, yahãn tak ke use koi qubool naheen karega. (yeh hãlat barqaraar rahegi, yahãn tak ke
ek waqt aisa aajãyega ke )
us waqt ek sajda duniya o ma feeha se behtar hoga.” [Bukhari 3448, Muslim 155]
Saiyyadna Jãbir bin
Abdullah (Razi Allahu anhuma) bayãn karte hain ke Allah ke
Rasool (ﷺ) ne farmãya: “meri
ummat ka ek giroh haq ke liye hamesha qayãmat tak ladta rahega aur woh ghhãlib rahega, phir Isa ibn
Maryam {(AS)Alehis Salam} nãzil
honge. Us giroh ka imaam kahega, aaiye! aap namaaz padhãiye! woh kahenge, naheen yaqeenan tum mein se baaz, baaz par hãkim hai. woh buzurgi hai jo Allah tãla ne is ummat ko ata farmãi.”
[Muslim 156]
Saiyyadna Abdullah bin Amr (Razi Allahu anhuma) bayãn karte hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “dajjaal
meri ummat mein niklega aur chaalis tak rahega. Main naheen jãnta chaalis din rahega ya chaalis mahine ya chaalis saal. Phir
Allah tãla Isa ibn e Maryam {(AS)Alehis Salam} ko
bhejega. Unki shakal urwah bin masood
saqfi ki si hogi. Woh dajjaal
ko dhondenge aur use qatal kar denge, phir saat baras tak log isi tarah rahenge
ke do aadmiyon mein koi dushmani naheen hogi. Phir Allah tãla sha’am ki taraf se ek thandi hawa bhejega, to zameen par koi
shakhs aisa naheen rahega ke jis ke dil mein ratti barãber bhi imaan ya bhalãi ho,
magar yeh ke woh uski jaan nikal legi, Yahãn tak ke agar koi tum mein se pahãd ka kaleja (yãni kis gaar)
mein ghus jãye to yeh
hawa wahãn bhi
pahunch kar uski jaan nikãl legi.” Abdullah (Razi Allahu anhu) ne kaha,
main ne Allah ke Rasool (ﷺ) se
suna aap ne (uske baad) farmãya: “phir
bure log (duniya mein ) reh jãyenge,
woh parindo ki tarah kam aqal o bewaqoof honge
aur unke ikhlaaq darindon ki tarah honge. Na woh achchhi baat ko achchha
samjhenge aur na buri baat ko bura. Phir shaitaan ek surat bana kar unke paas
ayaega aur kahega, tum (meri baat ka) jawaab kyun naheen dete? Woh kahenge, tu
hamein hukum deta hai? To shaitaan unhein buton ki puja ka hukum de aur woh usi
(but parasti ki) hãlat mein
honge, uske bãwajood ke
unki rozi kushãda hogi
aur woh maze se zindagi guzãrenge, phir
soor phonka jãyega. Use
jo bhi sunega woh ek taraf se apni gardan jhuka dega aur dosri taraf se utha
lega (yãni woh
behosh ho kar gir padega) sab se pehle soor (ki ãwaz) ko woh sunega jo apne oonton ke hauz ki marammat kar raha
hoga. Woh behosh ho jãega aur
doosre log bhi behosh ho jãyenge. phir
Allah tãla bãrish barsãyega jo
shabnam ki tarah hogi. Usse logon ke badan ugg aayenge, Phir doosra soor phonka
jãyega to
sab log khade ho hue dekh rahe hoge. Phir pukãra jãyega, ae
logo! apne mãlik ke paas
aao aur (farishto se kaha jãyega ke)
inko khada karo. Tab unse sawaal kiiya jãyega aur phir kaha jãyega ke ek
lashkar dozakh ki liye nikãlo. Pocha
jãyega,
kitne log? Hukum hoga, har hazaar (100) mein se nau sau ninyãnve (999) nikãlo. Aap
ne farmãya: “yahi
woh din hoga jo bachchon ko budha kar dega aur yahi woh din hai jab pindãli khulegi.” [Muslim 2940]
Ayat 63 & 64
وَلَمَّا جَآءَ عِيسَىٰ بِٱلۡبَيِّنَٰتِ
قَالَ قَدۡ جِئۡتُكُم بِٱلۡحِكۡمَةِ وَلِأُبَيِّنَ لَكُم بَعۡضَ ٱلَّذِي
تَخۡتَلِفُونَ فِيهِۖ فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُونِ ٦٣ إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ
رَبِّي وَرَبُّكُمۡ فَٱعۡبُدُوهُۚ هَٰذَا صِرَٰطٞ مُّسۡتَقِيمٞ ٦٤
“Aur jab
Isa wãze
daleelen lekar aaya to usne kaha beshak main tumhãre paas hikmat le kar aaya hoon aur tãke main tumhãre liye baaz woh baaten wãze kar doon jinmein tum ikhtilaaf karte
ho, so Allah se daro aur mera kehna mãno. Beshak Allah hi mera rab hai aur tumhãra rab hai, bas uski ibãdat karo, yeh seedha rãsta hai.”
Yãni jab Isa {(AS)Alehis
Salam} bani isrãel ke paas
moajizãt le kar
gaye, to unhen khabar di ke main tumhãre paas
nabi bana kar aur hikmat ka khazãna de kar
bheja gaya hoon, tãke tumhen
hikmat ki baaten sikhãun aur Moosa {(AS)Alehis Salam} ki wafaat ke
baad deen ke jin ahkaam mein tumhãre darmiyãn ikhtilaaf paida ho gaya hai, unmen haq ko wãze karun. Isiliye bani isrãel ke
logo! Allah ki nãfarmãni se daro aur tauheed aur ahkaam bãritãla ke mutãliq jo baaten, main tumhen batlãta hoon unhen qubool karo. Beshak mera aur tumhãra rab Allah hai, uske siwa koi maabood naheen, isliye tum sab sirf
uski ibãdat karo,
yahi seedhi raah hai.
Ayat 65
فَٱخۡتَلَفَ ٱلۡأَحۡزَابُ
مِنۢ بَيۡنِهِمۡۖ فَوَيۡلٞ لِّلَّذِينَ ظَلَمُواْ مِنۡ عَذَابِ يَوۡمٍ أَلِيمٍ ٦٥
“Phir kai
girohon ne aapas mein ikhtelaaf kiya, so un logon ke liye jinhone zulm kiya ek
dardnaak din ke azaab se badi halãkat hai.”
Lekin hua
yeh ke Isa {(AS)Alehis Salam} ke
duniya se zinda uthãye jãne ke bad nasãra unke bãre mein mukhtalif firkhon mein taqseem ho gaye. Unmen se baaz is
baat ka iqraar karte hain ke Isa {(AS)Alehis
Salam} Allah tãla ke bande
aur uske rasool hain aur haq baat bhi yahi
hai. Baaz yeh dãwa karte hain
ke woh Allah ki aulaad hain aur baaz yeh kehte hain ke woh khud Allah hain,
jabke Allah ki zaat usse paak, bahot buland o bãla aur irfa o aala hai.
Ayat 66
هَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّا ٱلسَّاعَةَ
أَن تَأۡتِيَهُم بَغۡتَةٗ وَهُمۡ لَا يَشۡعُرُونَ ٦٦
“Woh qayãmat ke siwa kis cheez ka intezaar kar
rahe hain ke woh un par achãnak aajãe aur woh sochte bhi na hon.”
Yãni qayãmat
yaqeenan waqae hone wãli hai,
yeh log usse ghhãfil hain
aur uski tayyãri naheen
kar rahe. Jab woh achãnak aayegi
to unhein khabar tak naheen hogi aur us waqt woh had darja nãdim aur pashemaan honge, lekin us waqt nadãmat va pashemãni
unke kuchh kaam naheen aayegi, jaisa ke
irshãd farmãya:
فَهَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّا ٱلسَّاعَةَ
أَن تَأۡتِيَهُم بَغۡتَةٗۖ فَقَدۡ جَآءَ أَشۡرَاطُهَاۚ فَأَنَّىٰ لَهُمۡ إِذَا
جَآءَتۡهُمۡ ذِكۡرَىٰهُمۡ ١٨
“To
woh kis cheez ka intezaar kar rahe hain siwãye qayãmat ke ke
woh un par achãnak aajãye, Bas yaqeenan uski nishãniyãn aa
chukin, phir unke liye unki nasihat kaise mumkin hogi, jab woh unke paas aajãegi.” [Muhammad # 47:18] Aur faramãya:
بَلۡ تَأۡتِيهِم بَغۡتَةٗ
فَتَبۡهَتُهُمۡ فَلَا يَسۡتَطِيعُونَ رَدَّهَا وَلَا هُمۡ يُنظَرُونَ ٤٠
“Balke
woh un par achãnak aajãyegi to unhe mabhoot kar degi, phir woh na use hata sakenge aur na unhein mohlat di jãegi.” [Al-Anbiya # 21:40]
Ayat 67 to 70
ٱلۡأَخِلَّآءُ يَوۡمَئِذِۢ
بَعۡضُهُمۡ لِبَعۡضٍ عَدُوٌّ إِلَّا ٱلۡمُتَّقِينَ ٦٧ يَٰعِبَادِ لَا خَوۡفٌ
عَلَيۡكُمُ ٱلۡيَوۡمَ وَلَآ أَنتُمۡ تَحۡزَنُونَ ٦٨ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ بَِٔايَٰتِنَا
وَكَانُواْ مُسۡلِمِينَ ٦٩ ٱدۡخُلُواْ ٱلۡجَنَّةَ أَنتُمۡ وَأَزۡوَٰجُكُمۡ
تُحۡبَرُونَ ٧٠
“Sab dili
dost us din ek doosre ke dushman honge magar muttaqi log . Ae mere bando! aaj
na tum par koi khauf hai aur na tum ghhamgeen hoge. Woh log jo hamãri ãyat par imaan lãye aur woh farmãbardar the. Jannat mein dãkhil ho jão tum aur tumhãri biwiyãn, tum khush kiye jãoge.”
Duniya mein
jinki dosti ki buniyad maishiyat, fitna o fasad, haqq se dushmani aur deegar mãdi aur shehwãni aghraaz
o maqãsid par
hai, woh qayãmat ke
din ek doosre ke dushman ban jãyenge, aapas
mein izhaar e nafrat karne lagenge.
Isliye ke jab yeh saari baaten unke azaab
ka sabab banti nazar aayengi to unki dosti dushmani mein badal jãyegi. Lekin jo log yahãn
Allah se darte hain aur aapas mai Allah
aur uske rasool ke liye ek doosre se mohabbat karte hain, woh qayãmat ke din bhi ek doosre se mohabbat karenge. Isliye ke duniya mein
jin deeni aghraaz o maqãsid par
unki mohabbat ki buniyaad thi, us din woh saari baaten unke liye sawaab o nijaat ka sabab ban jãyengi. Isliye unki aapas ki mohabbat aur badh jãyegi aur unki khushi ki koi inteha naheen rahegi, jab Allah tãla unhen pukaar kar kahega ke ae mere bando! aaj ke baad tumhen koi
khauf aur koi hazn o malaal lãhaq naheen
hoga. Aage Allah tãla ne un
khush qismat bando ki kuchh sifaat bayãn karke
wazãhat kar
di ke yeh woh log honge jo duniya mein Allah tãla ki kitãbon aur
uske rasoolon ki tasdeeq karte hain aur deen islaam par amal pairãn hote hain. Allah tãla unse mazeed
farmãega ke ae
mere bando! tum apni nek biwiyon ke saath jannat mai dãkhil ho jão, jahãn tumhein aisi farhat o shãdmãni milegi ke tumhãre chehre
khil uthenge, jaisa ki irshãd farmãya:
تَعۡرِفُ فِي وُجُوهِهِمۡ
نَضۡرَةَ ٱلنَّعِيمِ ٢٤
“Tu
unke chehron mai neymat ki tãzgi pehchãnega.” [Al-Mutaffifin # 83:24]
ٱلۡأَخِلَّآءُ
يَوۡمَئِذِۢ بَعۡضُهُمۡ لِبَعۡضٍ عَدُوٌّ إِلَّا ٱلۡمُتَّقِينَ
Yãni har wo dosti aur rafãqat jo ghhair
Allah ke liye hogi qayãmat ke
din dushmani mein tabdeel ho jãegi, jabke
woh dosti jo Allah ke liye hogi woh hamesha hamesha ke liye qãyam o dãyam
rahegi. Irshãd farmãya:
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ
ءَامَنُوٓاْ أَنفِقُواْ مِمَّا رَزَقۡنَٰكُم مِّن قَبۡلِ أَن يَأۡتِيَ يَوۡمٞ لَّا
بَيۡعٞ فِيهِ وَلَا خُلَّةٞ وَلَا شَفَٰعَةٞۗ وَٱلۡكَٰفِرُونَ هُمُ ٱلظَّٰلِمُونَ
٢٥٤
“Ae
logo jo imaan lãye ho !
us mein se kharch karo jo hamne tumhe diya
hai, usse pehle ke woh din aaye jis mein na koi khareed o farokht hogi aur na
koi dosti aur na koi sifãrish aur
kãfir log
hi zaalim hain.” [Al-Baqarah # 2:254]
Ayat 71 to 73
يُطَافُ عَلَيۡهِم
بِصِحَافٖ مِّن ذَهَبٖ وَأَكۡوَابٖۖ وَفِيهَا مَا تَشۡتَهِيهِ ٱلۡأَنفُسُ
وَتَلَذُّ ٱلۡأَعۡيُنُۖ وَأَنتُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ ٧١ وَتِلۡكَ ٱلۡجَنَّةُ ٱلَّتِيٓ
أُورِثۡتُمُوهَا بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ ٧٢
لَكُمۡ فِيهَا فَٰكِهَةٞ كَثِيرَةٞ مِّنۡهَا تَأۡكُلُونَ ٧٣
“Unke
gird sone ke thaal aur piyãle le kar phirae jãyega aur usmein woh har cheez hogi jiski
dil khawãhish
karenge aur aankhen lazzat pãyengi aur tum usmein hamesha rehne wãle ho. Aur yahi wo jannat hai jiske tum wãris banãye gaye ho, uski wajah se jo tum amal
karte the. Tumhãre liye
usmein bahot se mewe hain, jin se tum khãte ho.”
Ahle
jannat ke saamne sone ki rakãbiyo aur
plaiton mein lazeez tareen khãne pesh
kiye jãenge aur
sone hi ke piyãle honge
jo inwãh o iqsaam
ki behtreen sharãbo se labãlab honge. Jannat mai har woh cheez hogi jiski koi nafs khawãhish karega aur jisse aankhon ko thandak aur dil ko suroor milega.
Jannatiyon se kaha jãyega ke
ab tum hamesha yahi rahoge, na tumhe maut lãhaq hogi aur na yeh namaten khatam hogi. Yeh jannat tumhen un bhalãyion ke badle mein mili hai jo tum duniya mein karte rahe the.
Jannat mein tumhen beshumaar taaza phal aur khushk phal mila karenge, jo na
kabhi khatam honge aur na tumhen unke khane se kabhi roka jãega, jaisa ke Allah tãla ne
irshãd farmãya:
أَمَّا ٱلَّذِينَ
ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ فَلَهُمۡ جَنَّٰتُ ٱلۡمَأۡوَىٰ نُزُلَۢا
بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ ١٩
“Lekin
woh log jo imaan lãyenge aur
unhone nek amal kiye to unke liye rehne ke bãghhãt hain,
mehmãni uske
jo woh kiya karte the.” [As-Sajdah # 32:19]
Saiyyadna Huzaifa (Razi Allahu anhu) bayãn karte hain ke Allah ke
Rasool (ﷺ) ne farmãya: “sone
aur chaandi ke bartan mein na piyo aur na sone aur chaandi ke bartanon mein khão, kyunke sone aur chaandi ke bartan duniya mein kãfiron ke liye hain aur aakhirat mein hamãre liye hain.” [Bukhari 5426]
Saiyyadna Abu Saeed Khudri (Razi Allahu anhu) bayãn karte hain ke Allah ke Rasool
(ﷺ) ne farmãya: “jab
jannati jannat mein aur dozakhi dozakh mein dãkhil ho jãenge to
maut ko (is hãlat mein)
lãya jãega goya
woh ek chitkabra mendha hai, use jannat aur dozakh ke darmiyãn rakh diya jãega. Phir
ek munãdi nida
karega, ae ahl e jannat! ab maut naheen aayegi,
ae ahle dozakh! ab maut naheen aayegi, har shakhs hamesha isi hãlat mein rahega jis hãlat mai
woh (ab) hai. Yeh sun kar jannatiyon ki khushi aur badh jãyegi aur dozakhiyon ke ghham mein izãfa ho jãyega.” [Muslim
2849, Bukhari 6548]
Saiyyadna Abu Huraira (Razi Allahu anhu) bayãn karte hain ke Allah ke
Rasool (ﷺ) ne farmãya: “jo
shakhs jannat meini dãkhil hoga woh hamesha aish mai rahega (ranj o ghaam se use kabhi wãsta naheen padega) uske kapde kabhi purãne naheen honge aur uski jawãni kabhi zãyil naheen
hogi.” [Muslim 2836]
Saiyyadna Abu Saeed Khudri aur Saiyyadna Abu Huraira
(Razi Allahu anhu) bayãn karte hain ke Allah ke
Rasool (ﷺ) ne farmãya: “ek manãdi nida karega (ae ahle jannat!) beshak tum ab tandurust rahoge
kabhi bimaar naheen padoge, tum zinda rahoge tumhe kabhi maut naheen aayegi,
tum jawaan rahoge tumhe kabhi budhãpa naheen
aayega, tum aish mai zindagi guzãroge
tumhe hazn o malaal kabhi naheen hoga.”
Yãhi matlab
hai Allah tãla ke us
farmãn ka:
وَنُودُوٓاْ أَن تِلۡكُمُ ٱلۡجَنَّةُ
أُورِثۡتُمُوهَا بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ ٤٣
“Aur
unhen ãwaaz di jãegi ke yahi woh jannat hai jiske wãris tum iski wajah se banãye gaye ho jo tum kiya karte the.” [Al-A'raf
# 7:43]
Ayat 74 to 76
إِنَّ ٱلۡمُجۡرِمِينَ فِي
عَذَابِ جَهَنَّمَ خَٰلِدُونَ ٧٤ لَا يُفَتَّرُ عَنۡهُمۡ وَهُمۡ فِيهِ مُبۡلِسُونَ
٧٥ وَمَا ظَلَمۡنَٰهُمۡ وَلَٰكِن كَانُواْ هُمُ ٱلظَّٰلِمِينَ ٧٦
“Beshak
mujrim log jahannum ke azaab mein hamesha rehne wãle hain. Woh unse halka naheen kiya jãega aur woh usi mai nãumeed honge. Aur hamne un par zulm naheen
kiya aur lekin woh khud hi zãlim the.”
Sa’adat mand
logo ke zikr ke baad Allah tãla ne bad
bakhtiyon ka zikr shuru farma diya hai. Allah tãla ne farmãya ke jo
mujrim duniya mai kufr o shirk aur deegar ma’asi ka irtakaab karte hain aur isi
haal hai unki maut aajãti hai,
to woh hamesha ke liye jahannum mein daal diye jãenge. Unka azaab kabhi halka naheen kiya jãyega aur unke dilon par hamesha ke liye yaas o nãumeedi ka gehra sãya pad jãega, jaisa ke irshãd farmãya:
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ
وَمَاتُواْ وَهُمۡ كُفَّارٌ أُوْلَٰٓئِكَ عَلَيۡهِمۡ لَعۡنَةُ ٱللَّهِ وَٱلۡمَلَٰٓئِكَةِ
وَٱلنَّاسِ أَجۡمَعِينَ ١٦١ خَٰلِدِينَ
فِيهَا لَا يُخَفَّفُ عَنۡهُمُ ٱلۡعَذَابُ وَلَا هُمۡ يُنظَرُونَ ١٦٢
“Beshak
woh log jinhone kufr kiya aur is haal mein mar gaye ke woh kãfir the, aise log hain jin par Allah ki aur farishto aur logon ki,
sab ki lãnat
hai. Hamesha us mein rehne wãle hain, na unse azaab halka kiya jãega aur na unhen mohlat di jãegi.” [Al-Baqarah # 2: 161 to 162] Aur farmãya:
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ
لَهُمۡ نَارُ جَهَنَّمَ لَا يُقۡضَىٰ عَلَيۡهِمۡ فَيَمُوتُواْ وَلَا يُخَفَّفُ
عَنۡهُم مِّنۡ عَذَابِهَاۚ كَذَٰلِكَ نَجۡزِي كُلَّ كَفُورٖ ٣٦
“Aur
woh log jinhone kufr kiya unke liye jahannum ki aag hai, na unka kaam tamaam
kiya jãega ke
woh mar jãye aur na
unse uska kuchh azaab hi halka kiya jãega. Ham aise hi har nãshukre ko badla diya karte hain.” [Fatir
# 35:36]
Aakhri ãyat mein farmãya ke
Allah ne unhein dozakh mai bhej kar un par zulm naheen kiya, balke woh duniya
ki zindagi meini Allah tãla ki nãfarmãni karke
apni jãnon par
khud zulm karte rahe. Na woh Allah tãla ki nãfarmãni karte
aur na dozakh mein jãte. Unhone dozakh mein jãne ka
sabab khud paida kiya, lihãza dozakh
ke azaab ke woh khud zimmedaar hai, jaisa ke Allah tãla ne irshãd farmãya:
إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَظۡلِمُ
ٱلنَّاسَ شَيۡٔٗا وَلَٰكِنَّ ٱلنَّاسَ أَنفُسَهُمۡ يَظۡلِمُونَ ٤٤
“Beshak
Allah logon par kuch bhi zulm naheen karta aur lekin log apne aap par zulm
karte hain.” [Yunus # 10:44]
Saiyyadna
Abuzar (Razi Allahu anhu) bayãn karte
hain ke Allah Ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “Allah
tãla farmãta hai, ae mere bando! maine apne aap par zulm haraam kiya hai aur
maine use tum par bhi haraam kar diya hai, so tum aapas mai ek doosre pe zulm
na karo.” [Muslim 2577]
Ayat 77 & 78
وَنَادَوۡاْ يَٰمَٰلِكُ
لِيَقۡضِ عَلَيۡنَا رَبُّكَۖ قَالَ إِنَّكُم مَّٰكِثُونَ ٧٧ لَقَدۡ جِئۡنَٰكُم بِٱلۡحَقِّ
وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَكُمۡ لِلۡحَقِّ كَٰرِهُونَ ٧٨
“Aur woh
pukãrenge ae
mãlik! tera
rab hamãra kaam
tamaam hi kar de. Woh kahege beshak tum (yaheen) theharne wãle ho. Bilãshuba ham to tumhãre paas haq le kar aaye hain aur lekin
tum mein se aksar haq ko nãpasand karne wãle hain.”
Ahle
Jahannum khazãn e
jahannum ko pukãrenge aur
kahenge, ae mãlik ! tum hamãre liye
apne rab se sawaal karo ke woh hamen maar dãle, tãke azaab
se nijaat mil jãye. To ek
taweel muddat ke bad mãlik unhen
jawaab dega, mere rab ka kehna hai ke tum log ab isi mein rahoge, jaisa ke irshãd farmãya:
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ
لَهُمۡ نَارُ جَهَنَّمَ لَا يُقۡضَىٰ عَلَيۡهِمۡ فَيَمُوتُواْ وَلَا يُخَفَّفُ
عَنۡهُم مِّنۡ عَذَابِهَاۚ كَذَٰلِكَ نَجۡزِي كُلَّ كَفُورٖ ٣٦ وَهُمۡ
يَصۡطَرِخُونَ فِيهَا رَبَّنَآ أَخۡرِجۡنَا نَعۡمَلۡ صَٰلِحًا غَيۡرَ ٱلَّذِي
كُنَّا نَعۡمَلُۚ أَوَ لَمۡ نُعَمِّرۡكُم مَّا يَتَذَكَّرُ فِيهِ مَن تَذَكَّرَ
وَجَآءَكُمُ ٱلنَّذِيرُۖ فَذُوقُواْ فَمَا لِلظَّٰلِمِينَ مِن نَّصِيرٍ ٣٧
“Aur woh log jinhone kufr kiya unke liye jahannum
ki aag hai, na unka kaam tamaam kiya jãega ke woh mar jãyen aur
na hi unse uska kuchh azaab hi halka kiya jãega. Ham aise hi nãshukre ko
badla diya karte hain. Aur woh usmein chillãyenge, ae hamãre rab!
hamein nikãl le, ham
nek amal karenge, uske khilaf jo ham kiya karte the. Aur kiya hamne tumhe itni
umar naheen di ke usmein jo nasihat hãsil karna chãhata, hãsil kar leta aur tumhãre paas khaas darãne wãle bhi aaya. Bas chakho ke zãlimo ka koi madadgaar naheen.” [Fatir
# 35: 36 to 37]
Aage farmãya ke ham ne tumhãre paas
kitãben
bhejen aur ambiya mabo’os kiye, jinhone tumhãre saamne haq ki dãwat pesh
ki to tumne izhaar e nafrat kiya aur imaan naheen lãye. Ab kãfir Allah
ke sãmne ko
hujjat pesh naheen kar sakte, kyunke rasoolon ka aana hi Allah ki taraf se tamaam
hujjat hota hai, jaisa ke irshãd farmãya:
رُّسُلٗا مُّبَشِّرِينَ
وَمُنذِرِينَ لِئَلَّا يَكُونَ لِلنَّاسِ عَلَى ٱللَّهِ حُجَّةُۢ بَعۡدَ ٱلرُّسُلِۚ
وَكَانَ ٱللَّهُ عَزِيزًا حَكِيمٗا ١٦٥
“Aise
rasool jo khushkhabri dene wãle aur
darãne wãle the, tãke logon
ke paas rasoolon ke baad Allah ke muqãble mein koi hujjat na reh jãye aur Allah hamesha se sab par ghhãlib, kamaal hikmat wãla hai.” [An-Nisa # 4:165]
وَنَادَوۡاْ
يَٰمَٰلِكُ لِيَقۡضِ عَلَيۡنَا رَبُّكَۖ
Saiyyadna Samra bin Jindab (Razi Allahu anhu) se riwãyat hai ke ek din subah ki namãz ke baad Allah ke Rasool (ﷺ)
ne ek lamba khawãb bayãn kiya, usme aap (ﷺ) ne yeh bhi bayãn kiya: “phir ham aage badhe aur ek nihãyat badsurat aadmi ke paas pahunche. Itna ke jitne tumne dekhe hoge
unmein sab se ziyãda
badsurat, uske paas aag jal rahi thi aur use jala raha tha aur uske chaaron
taraf daud raha tha, maine un (Jibrãel aur
Mikãeel) se
pocha ke yeh kaun hai? To unhone kaha, woh shakhs jo jahannum ki aag bhadka
raha hai aur uske chaaron taraf chal phir raha hai woh jahannum ka darogha mãlik hai.” [Bukhari 7047]
Saiyyadna ALi (Razi Allahu anhu) bayãn karte hain ke Allah ke
Rasool (ﷺ) ne membar par is ãyat
kareema ki talãwat farmãi:
وَنَادَوۡاْ
يَٰمَٰلِكُ لِيَقۡضِ عَلَيۡنَا رَبُّكَۖ قَالَ إِنَّكُم مَّٰكِثُونَ
“Aur woh
pukãrenge ae
mãlik! tera
rab hamãra kaam
tamaam hi karde. Woh kahega beshak tum (yaheen) theherne wãle ho.” [Bukhari 4819]
Ayat 79
أَمۡ أَبۡرَمُوٓاْ أَمۡرٗا
فَإِنَّا مُبۡرِمُونَ ٧٩
“Ya
unhone kisi kaam ki pukhta tadbeer kar
li hai? To beshak ham bhi pukhta tadbeer karne wãle hain.”
Kãfir islaam ko aur Allah ke
Rasool (ﷺ) ko nuqsaan pahunchãne ke
liye mukhtalif qism ki sãzishen
kiya karte the. Allah tãla ne
farmãya ke
unhone ne kisi aisi hi sãzish ka
pakka irãda kar
liya hai to unhen khabardaar ho jãna chãhiye ke hamne bhi unki sãzish ko nãkam banãne ke
liye pakka irãda kar
liya hai, unki tadbeerein sab ulat jãengi aur
yeh khud hi apni tadbeeron ka shikaar ho jãenge, jaisa ke irshãd farmãya:
أَمۡ يُرِيدُونَ كَيۡدٗاۖ
فَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ هُمُ ٱلۡمَكِيدُونَ ٤٢
“Ya
woh koi chaal chalna chãhate hain? To jin logon ne kufr kiya wahi chaal mein aane wãle hain.” [At-Tur # 52:42]
Allah tãla ki tadbeer ke muqable mai kãfiron ki tadbeer naheen chalti, jaisa ke irshãd farmãya:
وَمَكَرُواْ مَكۡرٗا
وَمَكَرۡنَا مَكۡرٗا وَهُمۡ لَا يَشۡعُرُونَ ٥٠ فَٱنظُرۡ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ
مَكۡرِهِمۡ أَنَّا دَمَّرۡنَٰهُمۡ وَقَوۡمَهُمۡ أَجۡمَعِينَ ٥١ فَتِلۡكَ
بُيُوتُهُمۡ خَاوِيَةَۢ بِمَا ظَلَمُوٓاْۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لِّقَوۡمٖ
يَعۡلَمُونَ ٥٢
“Aur
unhone ek chaal chali aur hamne bhi ek chaal chali aur woh sonchte tak na the. Bas
dekh unki chaal ka anjaam kaisa hua ke beshak hamne unhein aur unki qaum, sab
ko halaak kar dãla. To yeh
hain unke ghar gire hue, uske bães jo
unhone zulm kiya. Beshak usmein un logon ke liye yaqeenan ek nishãni hai jo jãnte hain.” [An-Naml
# 27: 50 to 52]
Ayat 80
أَمۡ يَحۡسَبُونَ أَنَّا
لَا نَسۡمَعُ سِرَّهُمۡ وَنَجۡوَىٰهُمۚ بَلَىٰ وَرُسُلُنَا لَدَيۡهِمۡ يَكۡتُبُونَ
٨٠
“Ya woh
gumaan karte hain ke beshak ham unka raaz aur unki sargoshi naheen sunte, kyun
naheen aur hamãre bheje
hue unke paas likhte rehte hain.”
Allah tãla farma rahe hain ke kuffãr makka
samajhte hain ke ham unke dilon ke bhedon aur poshida jagãhon mein islaam aur Allah ke rasool (ﷺ) ke khilaaf unki sargoshiyon ko naheen sunte. Yeh unki kham
khayãli aur
nadãni hai, ham
unke dilon ke bhedon ko jãnte hain
aur unki sargoshiyon ko sunte hain. Hamãre farishte unke tamaam aqwaal ã afa’al likh lete hain, jaisa ke irshãd farmãya:
إِذۡ يَتَلَقَّى ٱلۡمُتَلَقِّيَانِ
عَنِ ٱلۡيَمِينِ وَعَنِ ٱلشِّمَالِ قَعِيدٞ ١٧
مَّا يَلۡفِظُ مِن قَوۡلٍ إِلَّا لَدَيۡهِ رَقِيبٌ عَتِيدٞ ١٨
“Jab
(uske har qaul o fail ko) do lene wãle lãte hain,
jo dãyen taraf
aur bãyen taraf
baithe hain. Woh koi bhi baat naheen bolta magar uske paas ek tayyaar nigraan
hota hai.” [Qaf # 50: 17 to 18]
Ayat 81 & 82
قُلۡ إِن كَانَ
لِلرَّحۡمَٰنِ وَلَدٞ فَأَنَا۠ أَوَّلُ ٱلۡعَٰبِدِينَ ٨١ سُبۡحَٰنَ رَبِّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ
وَٱلۡأَرۡضِ رَبِّ ٱلۡعَرۡشِ عَمَّا يَصِفُونَ ٨٢
“Keh de
agar rahmãn ki koi
aulaad ho to main sabse pehle ibãdat karne wãla hoon. Paak hai asmãnon aur zameen ka rab, jo arsh ka rab
hai, usse jo woh bayãn karte
hain.”
Kuffãr makka ne farishton ko Allah tãla ki betiyãn qaraar
diya tha, to Allah tãla ne
kuffãr ke is
aqeede ki tardeed karte hue Nabi kareem
(ﷺ) ki zubãni kaha
ke agar bafraz mahaal Allah ki koi aulaad hoti, to sab se pehle main uski ibãdat karta, lekin chunke uski aulaad naheen hai, isliye main uske
siwa kisi ki ibãdat naheen
karta. Agli ãyat mein
Allah tãla ne
mazkor bãla
mushrikãna khayãl se apni paaki bayãn ki hai,
yãni uski
zaat us aib se paak hai ke koi uski aulaad hai, woh to asmãnon aur zameen ka aur arsh bãren ka rab aur mãlik hai.
Har cheez uski ke qabza e qudrat mein hai.
Ayat 83
فَذَرۡهُمۡ يَخُوضُواْ
وَيَلۡعَبُواْ حَتَّىٰ يُلَٰقُواْ يَوۡمَهُمُ ٱلَّذِي يُوعَدُونَ ٨٣
“Bas unhen
chhorh de fizool behas karte rahen aur khelte rahen, yahãn tak
ke apne us din ko ja milein jiska unse wãda kiya jãta hai.”
Nabi kareem (ﷺ) se kaha gaya hai ke agar mushrikan makka aap
ki dãwat e
tauheed ko qubool naheen karte aur apne shirk par israar karte hain, to aap
unhen unki bãtil
parasti mai bhatka chhorh dijiye aur laho o laab mai mashghhool rehne dijiye,
yahãn tak ki
qayãmat ka
din aajãye, jab
Allah unhe unki iftra pardazi ki wajah se jahannum mein daal dega, jaisa ke
irshãd farmãya:
فَوَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ
لِّلۡمُكَذِّبِينَ ١١ ٱلَّذِينَ هُمۡ فِي
خَوۡضٖ يَلۡعَبُونَ ١٢ يَوۡمَ يُدَعُّونَ إِلَىٰ نَارِ جَهَنَّمَ دَعًّا ١٣ هَٰذِهِ ٱلنَّارُ ٱلَّتِي كُنتُم بِهَا
تُكَذِّبُونَ١٤
“To us
din jhutlãne wãlo ke liye badi halãkat hai.
Woh jo fizool behas mein khel rahe hain. Jis din unhe jahannum ki aag ki taraf
dhakela jãega sakht
dhakela jãna. Yahi
hai woh aag jise tum jhutlãte the.” [At-Tur
# 52: 11 to 14]
Ayat 84 & 85
وَهُوَ ٱلَّذِي فِي ٱلسَّمَآءِ
إِلَٰهٞ وَفِي ٱلۡأَرۡضِ إِلَٰهٞۚ وَهُوَ ٱلۡحَكِيمُ ٱلۡعَلِيمُ ٨٤ وَتَبَارَكَ ٱلَّذِي
لَهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَا وَعِندَهُۥ عِلۡمُ ٱلسَّاعَةِ
وَإِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ ٨٥
“Aur wahi
hai jo asmãnon mein
ma’abood hai aur zameen mein bhi ma’abood hai aur wahi kamaal hikmat wãla, sab kuchh jãnne wãla hai. Aur bahot barkat wãla hai woh jiske paas asmãnon ki aur zameen ki bãdshãhi hai aur uski bhi jo un dono ke darmiyãn hai aur usi ke paas qayãmat ka ilm hai aur usi ki taraf tum lautãye jãoge.”
Allah ki
zaat e barhaq hi arz o sama mai ibãdat kiye
jãne ke lãyaq hai, har ta’azeem o mohabbat ka wahi tanha mustahiq hai aur har
bande ki zillat o ãjizi sirf
usi ke liye jãyez hai.
Uska har fail mubni bar hikmat aur uska ilm makhlooq ke tamaam ahwaal ko ghere
hue hai. Uski zaat biwi aur aulaad ki mohtaaj naheen hai, woh is aib se bartar o
bãla hai.
Asmãnon aur zameen aur unke darmiyãn ki har shae ka wahi tanha mãlik hai, uske siwa kisi ko khabar naheen ke qayãmat kab waqae hogi? Sab ko usi ke paas laut kar jãna hai, jahãn woh har
ek ko uske kiye ka badla dega.
Ayat 86
وَلَا يَمۡلِكُ ٱلَّذِينَ
يَدۡعُونَ مِن دُونِهِ ٱلشَّفَٰعَةَ إِلَّا مَن شَهِدَ بِٱلۡحَقِّ وَهُمۡ
يَعۡلَمُونَ ٨٦
“Aur woh
log jinhein yeh uske siwa pukãrte hain, woh sifãrish ka ikhtiyaar naheen rakhte magar
jisne haq ke saath shahãdat di
aur woh jãnte hain.”
Is ãyat kareema mein mushrikeen arab ke us mushrikãna aqeeda ki tardeed hai ke farishte aur unke deegar jhute ma’abood
qayãmat ke
din unke liye sifãrishi
banege. Farmãya ke
shifa’at to Allah ki ijãzat se
sirf uske woh bande karenge, jo Allah ki wahdãniyat ke siddaq dil se qãyal honge
aur kisi ko uska shareek naheen thaehrãenge.
Ayat 87
وَلَئِن سَأَلۡتَهُم مَّنۡ
خَلَقَهُمۡ لَيَقُولُنَّ ٱللَّهُۖ فَأَنَّىٰ يُؤۡفَكُونَ ٨٧
“Aur yaqeenan
agar tu unse pochhe ke unhe kis ne paida
kiya to bilãshuba zaroor
kahenge ke Allah ne, phir kahãn behkãye jãte hain.”
Allah tãla ne Nabi kareem (ﷺ)
se kaha hai ke agar aap mushrikeen se pochhen ke unhe kisne paida kiya hai? To
woh jawaab denge ke hamein Allah ne paida kiya hai. Yãni yeh baat itni zãhir hai
ke woh kisi haal mein bhi iska inkaar naheen kar pãte, to phir unki yeh kitni badi nãdãni hai ke
ibãdat uske
siwa ghhairon ki karte hain. Isiliye ãyat ke aakhir
mein kaha gaya hai ke yeh jãnte hue
ke unka khãliq Allah hai, uske siwa ghhairon ki ibãdat kaise karte hain?
Ayat 88 & 89
وَقِيلِهِۦ يَٰرَبِّ إِنَّ
هَٰٓؤُلَآءِ قَوۡمٞ لَّا يُؤۡمِنُونَ ٨٨
فَٱصۡفَحۡ عَنۡهُمۡ وَقُلۡ سَلَٰمٞۚ فَسَوۡفَ يَعۡلَمُونَ ٨٩
“Qasam
hai rasool ke “ya rab” kehne ki! ke beshak yeh aise log hain jo imaan naheen lãyenge. Bas unse darguzar kar aur keh salaam
hai, Bas anqareeb woh jaan lenge.”
Allah tãa ne farmãya ke use
apne Rasool (ﷺ) ki us dard bhãri baat ka ilm hai ke ae mere rab! yeh mushrikeen makka imaan naheen
lãyege,
jaisa ki doosri jaga irshãd farmãya:
وَقَالَ ٱلرَّسُولُ
يَٰرَبِّ إِنَّ قَوۡمِي ٱتَّخَذُواْ هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانَ مَهۡجُورٗا ٣٠
“Aur
rasool kahega ae mere rab ! beshak meri qaum ne is qurãn ko chhorha hua bana rakha
tha.” [Al-Furqan # 25:30]
Agli ãyat mein irshãd farmãya ke unka inad aur unke dil ki sakhti had se badhi hui hai, bas ae
mere rasool! aap unhen unke haal par chhor dijiye aur unse alag ho jãiye, unhen anqareeb hi apna anjaam mãloom ho jãega,
jaisa ke irshãd farmãya:
قُلۡ يَٰقَوۡمِ ٱعۡمَلُواْ
عَلَىٰ مَكَانَتِكُمۡ إِنِّي عَامِلٞۖ فَسَوۡفَ تَعۡلَمُونَ مَن تَكُونُ لَهُۥ
عَٰقِبَةُ ٱلدَّارِۚ إِنَّهُۥ لَا يُفۡلِحُ ٱلظَّٰلِمُونَ ١٣٥
“Keh
de ae meri qaum! tum apni jagah par amal karo, beshak main (bhi) amal karne wãla hoon, to tum anqareeb jaan loge woh kaun hai jiske liye us ghar
ka achchha anjaam hota hai. Bilã shuba
haqeeqat yeh hai k zãlim log
falãh naheen
pãte.” [Al-An'am
# 6:135]